الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الوصايا
Kitab: Wasiyaton ke masail ka bayan
باب قول الله تعالى: {من بعد وصية يوصي بها أو دين} :
Bab: Allah Taala ka (Surah Nisa mein) ye farmana ke“wasiyyat aur qarzon ki adaigi ke baad hisse baten ge“.
Hadith Number: 2749
حدثنا سليمان بن داود ابو الربيع، حدثنا إسماعيل بن جعفر، حدثنا نافع بن مالك بن ابي عامر ابو سهيل، عن ابيه، عن ابي هريرةرضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" آية المنافق ثلاث إذا حدث كذب، وإذا اؤتمن خان، وإذا وعد اخلف".
Hum se Sulaiman Bin Dawood Abu Rabi ne bayan kiya ' unhon ne kaha hum se Ismail Bin Jafar ne ' unhon ne kaha hum se Nafi Bin Malik Bin Abi Aamir Abu Suhail ne ' unhon ne apne baap se ' unhon ne Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) se unhon ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se ' Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Munafiq ki teen nishaniyan hain jab baat kahe to jhoot kahe aur jab us ke paas amanat rakhein to khiyanat kare aur jab waada kare to khilaf kare."
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 33
حدثنا سليمان ابو الربيع، قال: حدثنا إسماعيل بن جعفر، قال: حدثنا نافع بن مالك بن ابي عامر ابو سهيل، عن ابيه، عن ابي هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" آية المنافق ثلاث، إذا حدث كذب، وإذا وعد اخلف، وإذا اؤتمن خان".
Hum se Sulaiman Abur Rabee’ ne bayan kiya, un se Ismail bin Ja’far ne, un se Nafe’ bin Malik bin Abi Amir Abu Suhail ne, woh apne baap se, woh Abu Hurairah Radhiallahu Anhu se riwayat karte hain, woh Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam se naql karte hain ke Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya, munafiq ki alamatein teen hain. Jab baat kare jhoot bole, jab wa’da kare us ke khilaaf kare aur jab us ko ameen banaaya jaaye to khayanat kare.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 34
حدثنا قبيصة بن عقبة، قال: حدثنا سفيان، عن الاعمش، عن عبد الله بن مرة، عن مسروق، عن عبد الله بن عمرو، ان النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" اربع من كن فيه كان منافقا خالصا، ومن كانت فيه خصلة منهن كانت فيه خصلة من النفاق حتى يدعها إذا، اؤتمن خان، وإذا حدث كذب، وإذا عاهد غدر، وإذا خاصم فجر"، تابعه شعبة، عن الاعمش.
Hum se Qabisah bin ’Uqbah ne yeh Hadees bayan ki, un se Sufyan ne, woh A’mash bin Ubaidullah bin Murrah se naql karte hain, woh Masrooq se, woh Abdullah bin Umar Radhiallahu Anhuma se riwayat karte hain ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya ke chaar aadatein jis kisi mein hon to woh khaalis munafiq hai aur jis kisi mein un chaaron mein se ek aadat ho to woh (bhi) nifaaq hi hai, jab tak use na chor de. (Woh yeh hain) jab use ameen banaaya jaaye to (amanat mein) khayanat kare aur baat karte waqt jhoot bole aur jab (kisi se) ahed kare to use poora na kare aur jab (kisi se) lade to gaaliyon par utar aaye. Is Hadees ko Sho’bah ne (bhi) Sufyan ke saath A’mash se riwayat kiya hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2459
حدثنا بشر بن خالد، اخبرنا محمد بن جعفر، عن شعبة، عن سليمان، عن عبد الله بن مرة، عن مسروق، عن عبد الله بن عمرو رضي الله عنهما، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" اربع من كن فيه كان منافقا او كانت فيه خصلة من اربعة كانت فيه خصلة من النفاق حتى يدعها: إذا حدث كذب، وإذا وعد اخلف، وإذا عاهد غدر، وإذا خاصم فجر".
Hum se Bishr Bin Khalid ne bayan kiya kaha hum ko Muhammad ne khabar di Shuba se, unhein Sulaiman ne, unhein Abdullah Bin Murrah ne, unhein Masruq ne aur unhein Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya chaar khaslatein aisi hain ke jis shakhs mein bhi wo honge, wo munafiq ho ga. Ya in chaar mein se agar ek khaslat bhi is mein hai to is mein nifaq ki ek khaslat hai. Yahan tak ke wo ise chhor day. Jab bole to jhoot bole, jab waada kare to poora na kare, jab muahida kare to bay-wafayi kare, aur jab jhagrey to bad-zabani par utar aaye
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2682
حدثنا قتيبة بن سعيد، حدثنا إسماعيل بن جعفر، عن ابي سهيل نافع بن مالك بن ابي عامر، عن ابيه، عن ابي هريرة رضي الله عنه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" آية المنافق ثلاث: إذا حدث كذب، وإذا اؤتمن خان، وإذا وعد اخلف".
Hum se Qutaiba Bin Saeed ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Ismail Bin Jafar ne bayan kiya, un se Abu Suhail, Nafi Bin Malik Bin Abi Aamir ne bayan kiya, un se un ke baap ne bayan kiya aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Munafiq ki teen nishaniyan hain. Jab baat kahi to jhoot kahi, amanat di gayi to us ne is mein khayanat ki aur wada kiya to ise poora nahi kiya."
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3178
حدثنا قتيبة بن سعيد، حدثنا جرير، عن الاعمش، عن عبد الله بن مرة، عن مسروق، عن عبد الله بن عمرو رضي الله عنهما، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" اربع خلال من كن فيه كن منافقا خالصا من إذا حدث كذب، وإذا وعد اخلف، وإذا عاهد غدر، وإذا خاصم فجر، ومن كانت فيه خصلة منهن كانت فيه خصلة من النفاق حتى يدعها".
Hum se Qutaiba Bin Said ne bayan kiya, kaha hum se Jareer ne bayan kiya, un se Aamash ne, un se Abdullah Bin Murrah ne, un se Masrooq ne, un se Abdullah Bin Amr (Radi Allahu Anhuma) ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, char aadatein aisi hain ke agar ye charon kisi ek shakhs mein jama ho jayein to wo pakka munafiq hai. Wo shakhs jo baat kare to jhoot bole, aur jab waada kare, to waada khilafi kare, aur jab muahida kare to ise poora na kare. Aur jab kisi se lade to gali galoch par utar aaye aur agar kisi shakhs ke andar in charon aadaton mein se ek hi aadat hai, to is ke andar nifaq ki ek aadat hai jab tak ke wo ise chhod na de
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4929
حدثنا قتيبة بن سعيد، حدثنا جرير، عن موسى بن ابي عائشة، عن سعيد بن جبير، عن ابن عباس، في قوله: لا تحرك به لسانك لتعجل به سورة القيامة آية 16، قال: كان رسول الله صلى الله عليه وسلم إذا نزل جبريل بالوحي وكان مما يحرك به لسانه وشفتيه، فيشتد عليه وكان يعرف منه، فانزل الله الآية التي في لا اقسم بيوم القيامة سورة القيامة آية 1 لا تحرك به لسانك لتعجل به سورة القيامة آية 16 إن علينا جمعه وقرءانه سورة القيامة آية 17، قال: علينا ان نجمعه في صدرك وقرآنه فإذا قراناه فاتبع قرءانه سورة القيامة آية 18، فإذا انزلناه فاستمع ثم إن علينا بيانه سورة القيامة آية 19 علينا ان نبينه بلسانك، قال: فكان إذا اتاه جبريل اطرق فإذا ذهب قراه كما وعده الله عز وجل اولى لك فاولى توعد".
Hum se Qutaybah bin Saeed ne byaan kiya, kaha hum se Jareer ne byaan kiya, un se Musa bin Abi Aisha ne, un se Saeed bin Jubayr ne, un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne Allah Ta'ala ke irshad «la tuhar-rik bihi lisanaka lita'jala bihi» al-aayat yani ”Aap is ko jaldi jaldi lene ke liye is par zaban na hilaya karein“ ke mutalliq batlaya ke jab Jibraeel Aap par wahi nazil karte to Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam apni zaban aur hont hilaya karte thay aur Aap par yeh bahut sakht guzarta, yeh Aap ke chehre se bhi zahir hota thu. Is liye Allah Ta'ala ne woh aayat nazil ki jo Surah «la uqsimu bi-yawmil qiyamati» mein hai yani «la tuhar-rik bihi lisanaka» al-aayat yani ”Aap is ko jaldi jaldi lene ke liye is par zaban na hilaya karein. Yeh to hamare zimma hai is ka jama kar dena aur is ka parhwana, phir jab hum usay parhne lagein to Aap is ke peeche yaad karte jaya karein. Yani jab hum wahi nazil karein to Aap ghaur se sunein. Phir is ka byaan kara dena bhi hamare zimma hai.“ Yani yeh bhi hamare zimma hai ke hum usay Aap ki zabani logon ke samne byaan kara dein. Byaan kiya ke chunanche is ke baad jab Jibraeel alaihissalam wahi le kar aate to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam khamosh ho jate aur jab chale jate to parhte jaisa ke Allah Ta'ala ne Aap se waada kiya tha. Aayat «aula laka fa-aula» mein «tahdeedun» yani darana dhamkana murad hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6095
حدثني محمد بن سلام، حدثنا إسماعيل بن جعفر، عن ابي سهيل نافع بن مالك بن ابي عامر، عن ابيه، عن ابي هريرة، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم قال:" آية المنافق ثلاث: إذا حدث كذب، وإذا وعد اخلف، وإذا اؤتمن خان".
Hum se Muhammad bin Salam ne bayan kiya, kaha hum se Ismail bin Jafar ne bayan kiya, in se Abi Suhayl Nafi bin Malik bin Abi Aamir ne, in se un ke walid Malik bin Abi Aamir ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”munafiq ki teen nishaniyaan hain, jab bolta hai jhoot bolta hai, jab wada karta hai khilaf karta hai aur jab usay ameen banaya jata hai to khiyanat karta hai.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة