الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْإِيمَانِ
The Book of Belief (Faith)
بَابُ عَلاَمَةِ الْمُنَافِقِ:
Chapter. The signs of a hypocrite.
Show diacritics
Hadith Number: 33
حدثنا سليمان ابو الربيع، قال: حدثنا إسماعيل بن جعفر، قال: حدثنا نافع بن مالك بن ابي عامر ابو سهيل، عن ابيه، عن ابي هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" آية المنافق ثلاث، إذا حدث كذب، وإذا وعد اخلف، وإذا اؤتمن خان".
Hum se Sulaiman Abur Rabee’ ne bayan kiya, un se Ismail bin Ja’far ne, un se Nafe’ bin Malik bin Abi Amir Abu Suhail ne, woh apne baap se, woh Abu Hurairah Radhiallahu Anhu se riwayat karte hain, woh Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam se naql karte hain ke Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya, munafiq ki alamatein teen hain. Jab baat kare jhoot bole, jab wa’da kare us ke khilaaf kare aur jab us ko ameen banaaya jaaye to khayanat kare.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 34
حدثنا قبيصة بن عقبة، قال: حدثنا سفيان، عن الاعمش، عن عبد الله بن مرة، عن مسروق، عن عبد الله بن عمرو، ان النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" اربع من كن فيه كان منافقا خالصا، ومن كانت فيه خصلة منهن كانت فيه خصلة من النفاق حتى يدعها إذا، اؤتمن خان، وإذا حدث كذب، وإذا عاهد غدر، وإذا خاصم فجر"، تابعه شعبة، عن الاعمش.
Hum se Qabisah bin ’Uqbah ne yeh Hadees bayan ki, un se Sufyan ne, woh A’mash bin Ubaidullah bin Murrah se naql karte hain, woh Masrooq se, woh Abdullah bin Umar Radhiallahu Anhuma se riwayat karte hain ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya ke chaar aadatein jis kisi mein hon to woh khaalis munafiq hai aur jis kisi mein un chaaron mein se ek aadat ho to woh (bhi) nifaaq hi hai, jab tak use na chor de. (Woh yeh hain) jab use ameen banaaya jaaye to (amanat mein) khayanat kare aur baat karte waqt jhoot bole aur jab (kisi se) ahed kare to use poora na kare aur jab (kisi se) lade to gaaliyon par utar aaye. Is Hadees ko Sho’bah ne (bhi) Sufyan ke saath A’mash se riwayat kiya hai.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain