الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْأَدَبِ
The Book of Al-Adab (Good Manners)
بَابُ قَوْلِ اللَّهِ تَعَالَى: {يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا اتَّقُوا اللَّهَ وَكُونُوا مَعَ الصَّادِقِينَ} وَمَا يُنْهَى عَنِ الْكَذِبِ:
Chapter. The Staement of Allah:“O you who believe! Be afraid of Allah, and be with those who are true (in words and deeds).”(V.9:119) And what is forbidden as regards telling of lies.
Hadith Number: 6094
حدثنا عثمان بن ابي شيبة، حدثنا جرير، عن منصور، عن ابي وائل، عن عبد الله رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" إن الصدق يهدي إلى البر وإن البر يهدي إلى الجنة، وإن الرجل ليصدق حتى يكون صديقا، وإن الكذب يهدي إلى الفجور وإن الفجور يهدي إلى النار، وإن الرجل ليكذب حتى يكتب عند الله كذابا".
Hum se Usman bin Abi Shaybah ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Jareer ne bayan kiya, in se Mansoor ne bayan kiya, in se Abu Wail ne bayan kiya aur in se Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”bilashubha sach aadmi ko naiki ki taraf bulata hai aur naiki jannat ki taraf le jati hai aur ek shakhs sach bolta rehta hai yahan tak ke woh Siddiq ka laqab aur martaba haasil kar leta hai aur bilashubha jhoot burayi ki taraf le jata hai aur burayi jahannum ki taraf aur ek shakhs jhoot bolta rehta hai, yahan tak ke woh Allah ke yahan bahut jhoota likh diya jata hai.“
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6095
حدثني محمد بن سلام، حدثنا إسماعيل بن جعفر، عن ابي سهيل نافع بن مالك بن ابي عامر، عن ابيه، عن ابي هريرة، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم قال:" آية المنافق ثلاث: إذا حدث كذب، وإذا وعد اخلف، وإذا اؤتمن خان".
Hum se Muhammad bin Salam ne bayan kiya, kaha hum se Ismail bin Jafar ne bayan kiya, in se Abi Suhayl Nafi bin Malik bin Abi Aamir ne, in se un ke walid Malik bin Abi Aamir ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”munafiq ki teen nishaniyaan hain, jab bolta hai jhoot bolta hai, jab wada karta hai khilaf karta hai aur jab usay ameen banaya jata hai to khiyanat karta hai.“
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6096
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا جرير، حدثنا ابو رجاء، عن سمرة بن جندب رضي الله عنه، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" رايت الليلة رجلين اتياني قالا: الذي رايته يشق شدقه فكذاب يكذب بالكذبة تحمل عنه حتى تبلغ الآفاق فيصنع به إلى يوم القيامة".
Hum se Musa bin Ismail ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Jareer ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Abu Rajaa ne bayan kiya, in se Samura bin Jundub razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”mere paas guzashta raat khwab mein do aadmi aaye unhon ne kaha ke jise Aap ne dekha ke is ka jabra cheera ja raha tha woh bara hi jhoota tha, jo ek baat ko leta aur saari duniya mein phaila deta tha, Qayamat tak is ko yahi saza milti rahe gi.“
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة