الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الغسل
Kitab: Ghusl ke ahkam o masail
باب إذا جامع ثم عاد، ومن دار على نسائه فى غسل واحد:
Bab: Jis ne jima’ kiya aur phir dobara kiya aur jis ne apni kayi biwiyon se hum-bistar ho kar ek hi ghusl kiya us ka bayan.
Hadith Number: 268
حدثنا محمد بن بشار، قال: حدثنا معاذ بن هشام، قال: حدثني ابي، عن قتادة، قال: حدثنا انس بن مالك، قال:" كان النبي صلى الله عليه وسلم يدور على نسائه في الساعة الواحدة من الليل والنهار وهن إحدى عشرة"، قال: قلت لانس: اوكان يطيقه، قال: كنا نتحدث انه اعطي قوة ثلاثين، وقال سعيد: عن قتادة، إن انسا حدثهم: تسع نسوة.
Hum se Muhammed bin Bashshaar ne bayan kiya. Unhon ne kaha hum se Mu’aaz bin Hisham ne bayan kiya, unhon ne kaha mujh se mere waalid ne Qatadah ke waaste se, kaha hum se Anas bin Malik ne ke Nabi-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam din aur raat ke ek hi waqt mein apni tamaam azwaaj-e-mutahharaat ke paas gaye aur yeh giyaarah thein. (Nau mankooha aur do laundiyaan) rawi ne kaha, main ne Anas se poocha ke Nabi-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam is ki taaqat rakhte the. To aap ne farmaaya ke hum aapas mein kaha karte the ke Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ko tees mardon ke barabar taaqat di gayi hai aur Sa’eed ne kaha Qatadah ke waasta se ke hum kehte the ke Anas ne un se nau azwaaj ka zikr kiya.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 284
حدثنا عبد الاعلى بن حماد، قال: حدثنا يزيد بن زريع، قال: حدثنا سعيد، عن قتادة، ان انس بن مالك حدثهم،" ان نبي الله صلى الله عليه وسلم كان يطوف على نسائه في الليلة الواحدة وله يومئذ تسع نسوة".
Hum se Abdul A’laa bin Hammad ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Yazeed bin Zurai’ ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Sa’eed bin Abi Aroobah ne bayan kiya, unhon ne Qatadah se, ke Anas bin Malik Radhiallahu Anhu ne un se bayan kiya ke Nabi-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam apni tamaam azwaaj ke paas ek hi raat mein tashreef le gaye. Us waqt Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke azwaaj mein nau biwiyaan thein.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5068
حدثنا مسدد، حدثنا يزيد بن زريع، حدثنا سعيد، عن قتادة، عن انس رضي الله عنه، ان النبي صلى الله عليه وسلم" كان يطوف على نسائه في ليلة واحدة وله تسع نسوة"، وقال لي خليفة: حدثنا يزيد بن زريع، حدثنا سعيد، عن قتادة، ان انسا حدثهم، عن النبي صلى الله عليه وسلم.
Hum se Musaddad ne byaan kiya . Kaha hum se Yazid bin Zuray ne byaan kiya , kaha hum se Saeed ne byaan kiya , un se Qatadah ne , un se Anas razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ek martaba ek hi raat mein apni tamam biwiyon ke paas gaye Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke paas nau biwiyaan thien . Imam Bukhari rahmahullah ne kaha ke mujh se Khaleefa bin Khayyat ne byaan kiya , kaha hum se Saeed ne byaan kiya , un se Qatadah ne aur un se Anas razi Allahu anhu ne byaan kiya , unhon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se phir yahi hadees byaan ki .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6215
حدثنا ابن ابي مريم، حدثنا محمد بن جعفر، قال: اخبرني شريك، عن كريب، عن ابن عباس رضي الله عنهما، قال:" بت في بيت ميمونة والنبي صلى الله عليه وسلم عندها، فلما كان ثلث الليل الآخر او بعضه قعد فنظر إلى السماء، فقرا إن في خلق السموات والارض واختلاف الليل والنهار لآيات لاولي الالباب سورة آل عمران آية 190.
Hum se Ibn Abi Maryam ne bayan kiya, kaha hum se Muhammad bin Jafar ne bayan kiya, kaha ke mujhe Shareek ne khabar di, unhein Kurayb ne aur in se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke main ne ek raat Maymoonah razi Allahu anha (khala) ke ghar guzari, Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam bhi is raat wahien thehre huay thay. Jab raat ka aakhri tihayi hissa hua ya is ka baaz hissa reh gaya to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam uth baithe aur aasman ki taraf dekha phir is aayat ki tilawat ki «inna fee khalqis-samawaati wal-ardi wakhtilaafil-laili wan-nahaari la-aayaatil-li-oolil-albaabi» ”bilashubha aasman ki aur zameen ki paidaish mein aur din raat ke badalte rehne mein aql walon ke liye nishaniyaan hain.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة