الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب المزارعة
Kitab: Kheti bari aur batai ka bayan
باب اقتناء الكلب للحرث:
Bab: Kheti ke liye kutta paalna.
Show diacritics
Hadith Number: 2322
حدثنا معاذ بن فضالة، حدثنا هشام، عن يحيى بن ابي كثير، عن ابي سلمة، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" من امسك كلبا فإنه ينقص كل يوم من عمله قيراط، إلا كلب حرث او ماشية". قال ابن سيرين، وابو صالح: عن ابي هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، إلا كلب غنم او حرث او صيد. وقال ابو حازم: عن ابي هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، كلب صيد او ماشية.
Hum se Muaz Bin Fadalah ne bayan kiya, kaha ke hum se Hisham ne bayan kiya, un se Yahya Bin Abi Kaseer ne bayan kiya, un se Abu Salama ne aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, jis shakhs ne koi kutta rakkha, us ne rozana apne amal se ek qiraat ki kami kar li. Albatta kheti ya maveshi (ki hifazat ke liye) kutte is se alag hain. Ibn Sirin aur Abu Salih ne Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ke waste se bayan kiya bahawala Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke bakri ke rewar, kheti aur shikar ke kutte alag hain. Abu Hazim ne kaha Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se ke shikari aur maveshi ke kutte (alag hain)
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2323
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، عن يزيد بن خصيفة، ان السائب بن يزيد حدثه، انه سمع سفيان بن ابي زهير رجلا من ازد شنوءة، وكان من اصحاب النبي صلى الله عليه وسلم، قال: سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم، يقول:" من اقتنى كلبا لا يغني عنه زرعا ولا ضرعا، نقص كل يوم من عمله قيراط". قلت: انت سمعت هذا من رسول الله صلى الله عليه وسلم؟ قال: إي ورب هذا المسجد.
Hum se Abdullah Bin Yusuf ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum ko Imam Malik ne khabar di, unhon ne kaha ke humein Yazid Bin Khusaifah ne, un se Saib Bin Yazid ne bayan kiya ke Sufyan Bin Zuhair ne Azdshanwah qabeele ke ek buzurg se suna jo Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke Sahabi thay. Unhon ne kaha ke mein ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se suna tha ke jis ne kutta pala, jo na kheti ke liye hai aur na maveshi ke liye, to is ki naikiyon se rozana ek qiraat kam ho jata hai. Mein ne poocha ke kya aap ne Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) se ye suna hai ? Unhon ne kaha han han! is masjid ke Rabb ki qasam! (mein ne zaroor Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) se ye suna hai)
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2324
حدثنا محمد بن بشار، حدثنا غندر، حدثنا شعبة، عن سعد بن إبراهيم، قال: سمعت ابا سلمة، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" بينما رجل راكب على بقرة التفتت إليه، فقالت: لم اخلق لهذا خلقت للحراثة، قال: آمنت به انا، وابو بكر، وعمر، واخذ الذئب شاة، فتبعها الراعي، فقال له الذئب: من لها يوم السبع، يوم لا راعي لها غيري، قال: آمنت به انا، وابو بكر، وعمر". قال ابو سلمة: وما هما يومئذ في القوم.
Hum se Muhammad Bin Bashar ne bayan kiya, kaha ke hum se Ghundar ne bayan kiya, kaha hum se Shuba ne bayan kiya, un se Saad Bin Ibrahim ne unhon ne Abu Salama se suna aur unhon ne Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) se ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya (Bani Israel mein se) ek shakhs bail par sawar ho kar ja raha tha ke is bail ne is ki taraf dekha aur is sawar se kaha ke mein is ke liye nahi paida hua hoon. Meri paidaish to khet jotne ke liye hui hai. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke mein is par iman laya aur Abu Bakr aur Umar bhi iman laye. Aur ek dafa ek bhediye ne ek bakri pakar li thi to gadriye ne is ka peecha kiya. Bhediya bola! aaj to tu ise bachata hai. Jis din (Madinah ujaar hoga) darinde hi darinde reh jayeinge. Is din mere siwa kaun bakriyon ka charane wala hoga. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke mein is par iman laya aur Abu Bakr aur Umar bhi. Abu Salama ne kaha ke Abu Bakr aur Umar (Radi Allahu Anhuma) is majlis mein maujood nahi thay
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3324
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا همام، عن يحيى، قال: حدثني ابو سلمة، ان ابا هريرة رضي الله عنه حدثه، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" من امسك كلبا ينقص من عمله كل يوم قيراط إلا كلب حرث او كلب ماشية".
Hum se Musa Bin Ismail ne bayan kiya, kaha hum se Hammam ne bayan kiya, un se Yahya ne bayan kiya, un se Abu Salama ne bayan kiya aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Jo shakhs kutta paale, is ke amal-e-naik mein se rozana ek qiraat (sawab) kam kar diya jata hai, khet ke liye ya maweshi ke liye jo kutte paale jayein wo is se alag hain."
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3325
حدثنا عبد الله بن مسلمة، حدثنا سليمان، قال: اخبرني يزيد بن خصيفة، قال: اخبرني السائب بن يزيد سمع سفيان بن ابي زهير الشنئي، انه سمع رسول الله صلى الله عليه وسلم، يقول:" من اقتنى كلبا لا يغني عنه زرعا ولا ضرعا نقص من عمله كل يوم قيراط، فقال: السائب انت سمعت هذا من رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال: إي ورب هذه القبلة".
Hum se Abdullah Bin Muslima ne bayan kiya, kaha hum se Sulaiman ne bayan kiya, kaha ke mujhe Yazid Bin Khaseefa ne khabar di, kaha ke mujhe Sa'ib Bin Yazid ne khabar di, unhon ne Sufyan Bin Abi Zuhair Shanwi (Radi Allahu Anhu) se suna, unhon ne Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) se suna, Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Jis ne koi kutta paala, na to paalne wale ka maqsad khet ki hifazat hai aur na maweshiyon ki, to rozana is ke naik amal mein se ek qiraat (sawab) ki kami ho jati hai." Sa'ib ne pucha, kya tum ne khud ye hadees Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) se suni thi? Unhon ne kaha, haan! Is qibla ke Rabb ki qasam (mein ne khud is hadees ko Rasul Allah Sallallahu Alaihi Wasallam se suna hai)
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5480
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا عبد العزيز بن مسلم، حدثنا عبد الله بن دينار، قال: سمعت ابن عمر رضي الله عنهما، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" من اقتنى كلبا ليس بكلب ماشية او ضارية، نقص كل يوم من عمله قيراطان".
Hum se Muslim bin Ismail ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Abdul Aziz bin Muslim ne bayan kiya, in se Abdullah bin Dinar ne bayan kiya, unhon ne kaha ke main ne Ibn Umar razi Allahu anhuma se suna ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jis ne aisa kutta pala jo na maveshi ki hifazat ke liye hai aur na shikar karne ke liye to rozana is ki nekiyon mein se do qiraat ki kami ho jati hai.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5481
حدثنا المكي بن إبراهيم، اخبرنا حنظلة بن ابي سفيان، قال: سمعت سالما، يقول: سمعت عبد الله بن عمر، يقول: سمعت النبي صلى الله عليه وسلم، يقول:" من اقتنى كلبا إلا كلبا ضاريا لصيد او كلب ماشية فإنه ينقص من اجره كل يوم قيراطان".
Hum se Makki bin Ibrahim ne bayan kiya, unhon ne kaha hum ko Hanzalah bin Abi Sufyan ne khabar di, unhon ne kaha ke main ne Salim se suna, unhon ne bayan kiya ke main ne Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma se suna, unhon ne bayan kiya ke main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se suna, Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke shikariyon aur maveshi ki hifazat ki gharz ke siwa jis ne kutta pala to is ke sawab mein se rozana do qiraat ki kami ho jati hai.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5482
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، عن نافع، عن عبد الله بن عمر، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" من اقتنى كلبا إلا كلب ماشية او ضاريا نقص من عمله كل يوم قيراطان".
Hum se Abdullah bin Yusuf ne bayan kiya, kaha hum ko Imam Malik ne khabar di, unhein Nafi ne aur in se Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jis ne maveshi ki hifazat ya shikar ki gharz ke siwa kisi aur wajah se kutta pala is ke sawab se rozana do qiraat ki kami ho jati hai.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة