الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب البيوع
Kitab: Khareed o farokht ke masail ka bayan
باب من أجرى أمر الأمصار على ما يتعارفون بينهم فى البيوع والإجارة والمكيال، والوزن، وسننهم على نياتهم ومذاهبهم المشهورة:
Bab: Khareed o farokht aur ijare mein har mulk ke dastur ke mutabiq hukm diya jaye ga isi tarah maap aur tol aur doosre kamon mein un ki niyat aur rasm o riwaj ke mutabiq.
Hadith Number: 2211
حدثنا ابو نعيم، حدثنا سفيان، عن هشام، عن عروة، عن عائشة رضي الله عنها، قالت هند ام معاوية لرسول الله صلى الله عليه وسلم:" إن ابا سفيان رجل شحيح، فهل علي جناح ان آخذ من ماله سرا؟ قال: خذي انت وبنوك ما يكفيك بالمعروف".
Hum se Abu Nuaim ne bayan kiya, kaha ke hum se Sufyan ne bayan kiya, un se Hisham ne, un se Urwah ne aur un se Aisha (Radi Allahu Anha) ne ke Muawiyah (Radi Allahu Anhu) ki walida Hinda (Radi Allahu Anha) ne Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) se kaha ke Abu Sufyan bakheel aadmi hai. To kya agar mein un ke mal se chupa kar kuch le liya karoon to koi haraj hai ? Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke tum apne liye aur apne beton ke liye naik niyate ke sath itna le sakti ho jo tum sab ke liye kafi ho jaya kare
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2460
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، عن الزهري، حدثني عروة، ان عائشة رضي الله عنها، قالت: جاءت هند بنت عتبة بن ربيعة، فقالت" يا رسول الله، إن ابا سفيان رجل مسيك، فهل علي حرج ان اطعم من الذي له عيالنا؟ فقال: لا حرج عليك ان تطعميهم بالمعروف".
Hum se Abul Yaman ne bayan kiya, kaha hum ko Shuayb ne khabar di, unhein Zuhri ne, un se Urwah ne bayan kiya, aur un se Aisha (Radi Allahu Anha) ne ke Utbah Bin Rabia ki beti Hind (Radi Allahu Anha) hazir khidmat huiein aur arz kiya, Ya Rasul Allah! Abu Sufyan (jo in ke shohar hain wo) bakheel hain. To kya is mein koi haraj hai agar mein un ke maal mein se lay kar apne baal bacchon ko khilaya karoon ? Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke tum dastoor ke mutabiq un ke maal se lay kar khilao to is mein koi haraj nahi
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3825
وقال عبدان: اخبرنا عبد الله، اخبرنا يونس، عن الزهري، حدثني عروة، ان عائشة رضي الله عنها، قالت: جاءت هند بنت عتبة، قالت: يا رسول الله ما كان على ظهر الارض من اهل خباء احب إلي ان يذلوا من اهل خبائك، ثم ما اصبح اليوم على ظهر الارض اهل خباء احب إلي، ان يعزوا من اهل خبائك، قال:" وايضا والذي نفسي بيده"، قالت: يا رسول الله إن ابا سفيان رجل مسيك فهل علي حرج ان اطعم من الذي له عيالنا، قال:" لا اراه إلا بالمعروف"
Aur Abdan ne bayan kiya, unhein Abdullah ne khabar di unhein Yunus ne khabar di, unhein Zuhri ne, un se Urwah ne bayan kiya ke Aisha Radi Allahu Anha ne bayan kiya: Hind Bint Utbah Radi Allahu Anha Rasul Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ki khidmat mein Islam lane ke baad) hazir huin aur kehne lagein ya Rasul Allah! Roye zameen par kisi gharane ki zillat aap ke gharane ki zillat si zyada mere liye khushi ka bais nahi thi lekin aaj kisi gharane ki izzat roye zameen par aap ke gharane ki izzat se zyada mere liye khushi ki wajah nahi hai. Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya " Is mein abhi aur taraqqi ho gi. Is zaat ki qasam! Jis ke hath mein meri jaan hai " phir Hind ne kaha: Ya Rasul Allah! Abu Sufyan bahut bakheel hain to kya is mein kuch haraj hai agar mein un ke mal mein se (un ki ijazat ke baghair) baal bacchon ko khila diya aur pila diya karoon? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam farmaya haan lekin mein samajhta hoon ke ye dastoor ke mutabiq hona chahiye
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5359
حدثنا ابن مقاتل، اخبرنا عبد الله، اخبرنا يونس، عن ابن شهاب، اخبرني عروة، ان عائشة رضي الله عنها، قالت:" جاءت هند بنت عتبة، فقالت: يا رسول الله، إن ابا سفيان رجل مسيك، فهل علي حرج ان اطعم من الذي له عيالنا؟ قال: لا، إلا بالمعروف".
Hum se Muhammad bin Muqatil ne byaan kiya , kaha hum ko Abdullah bin Mubarak ne khabar di , unhein Yunus bin Yazid ne , unhein Ibn Shihab ne , unhein Urwah ne khabar di aur in se Aisha razi Allahu anha ne byaan kiya ke Hind bint Utbah razi Allahu anha hazir huien aur arz kiya: ya Rasool Allah! Abu Sufyan (in ke shohar) bahut bakheel hain , to kiya meere liye is mein koi gunah hai agar main in ke maal mein se (is ke peeth peeche) apne bachon ko khilaoon ? Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke nahi , lekin dastoor ke mutabiq hona chahiye .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5364
حدثنا محمد بن المثنى، حدثنا يحيى، عن هشام، قال: اخبرني ابي، عن عائشة، ان هند بنت عتبة، قالت:" يا رسول الله، إن ابا سفيان رجل شحيح وليس يعطيني ما يكفيني وولدي إلا ما اخذت منه وهو لا يعلم، فقال: خذي ما يكفيك وولدك بالمعروف".
Hum se Muhammad bin Musanna ne byaan kiya , kaha hum se Yahya ne byaan kiya , in se Hisham ne , kaha ke mujhe mere walid (Urwah ne) khabar di aur unhein Aisha razi Allahu anha ne ke Hind bint Utbah ne arz kiya: ya Rasool Allah! Abu Sufyan (in ke shohar) bakheel hain aur mujhe itna nahi dete jo mere aur mere bachon ke liye kafi ho sake . Haan agar main in ki la-ilmi mein in ke maal mein se le loon (to kaam chalta hai) . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke tum dastoor ke muwafiq itna le sakti ho jo tumhare aur tumhare bachon ke liye kafi ho sake .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5370
حدثنا محمد بن يوسف، حدثنا سفيان، عن هشام بن عروة، عن ابيه، عن عائشة رضي الله عنها، قالت هند:" يا رسول الله، إن ابا سفيان رجل شحيح، فهل علي جناح ان آخذ من ماله ما يكفيني وبني؟ قال: خذي بالمعروف".
Hum se Muhammad bin Yusuf ne byaan kiya , in se Sufyan Sawri ne byaan kiya , in se Hisham bin Urwah ne , in se un ke walid ne aur in se Aisha razi Allahu anha ne byaan kiya ke Hind ne arz kiya: ya Rasool Allah! Abu Sufyan bakheel hain . Agar main in ke maal se itna (in se poochay baghair) le liya karoon jo meere aur meere bachon ko kafi ho to kiya is mein koi gunah hai ? Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke dastoor ke mutabiq le liya karo .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6641
حدثنا يحيى بن بكير حدثنا الليث عن يونس عن ابن شهاب حدثني عروة بن الزبير ان عائشة رضي الله عنها قالت إن هند بنت عتبة بن ربيعة قالت يا رسول الله ما كان مما على ظهر الارض اهل اخباء- او خباء- احب إلي ان يذلوا من اهل اخبائك- او خبائك، شك يحيى- ثم ما اصبح اليوم اهل اخباء- او خباء- احب إلي من ان يعزوا من اهل اخبائك او خبائك. قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: «وايضا والذي نفس محمد بيده» . قالت يا رسول الله إن ابا سفيان رجل مسيك، فهل علي حرج ان اطعم من الذي له قال: «لا إلا بالمعروف» .
Hum se Yahya bin Bukayr ne bayan kiya, kaha hum se Layth bin Saad ne, unhon ne Yunus se, unhon ne Ibn Shihab se, kaha mujh se Urwah bin Zubayr ne bayan kiya ke Aisha razi Allahu anha ne kaha ke Hind bint Utbah bin Rabee-a (Muawiyah razi Allahu anhu ki maan) ne arz kiya: ya Rasool Allah! Saari zameen par jitne deray wale hain (yani Arab log jo aksar deron aur khaimon mein raha karte thay) main kisi ka zhaleel o khwar hona mujhko itna pasand nahi tha jitna Aap ka. Yahya bin Bukayr rawi ko shak hai (ke deray ka lafz ba-seegah e mufrad kaha ya ba-seegah e jama) ab koi dera wala ya deray wale un ko izzat aur aabroo haasil hona mujhko Aap ke deron walon se zyada pasand nahi hai (yani ab main Aap ki aur Musalmanon ki sab se zyada khair-khwah hoon) Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke abhi kya hai tu aur bhi zyada khair-khwah bane gi. Qasam hai is ki jis ke hath mein Muhammad (salla Allahu alaihi wasallam) ki jaan hai. Phir Hind kehne lagi ya Rasool Allah! Abu Sufyan to ek bakheel aadmi hai mujh par gunah to nahi ho ga agar main is ke maal mein se (apne baal bachon ko khilaoon) Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya nahi agar tu dastoor ke muafiq kharch kare.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7161
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، عن الزهري، حدثني عروة، ان عائشة رضي الله عنها، قالت:" جاءت هند بنت عتبة بن ربيعة، فقالت: يا رسول الله، والله ما كان على ظهر الارض اهل خباء احب إلي ان يذلوا من اهل خبائك، وما اصبح اليوم على ظهر الارض اهل خباء احب إلي ان يعزوا من اهل خبائك، ثم قالت: إن ابا سفيان رجل مسيك، فهل علي من حرج ان اطعم من الذي له عيالنا؟، قال لها: لا حرج عليك ان تطعميهم من معروف".
`Hum se Abul Yaman ne bayan kiya, kaha hum ko Shuaib ne khabar di, unhein Zuhri ne, unhein Urwa ne bayan kiya aur un se Aisha Radi Allahu Anha ne ke Hind bint Utba bin Rabi'a aayin aur kaha: ya Rasul Allah! roo-e-zameen ka koi gharana aisa nahi tha jis ke mutalliq is darja mein zillat ki khwahish-mand hoon jitna Aap ke gharana ki zillat o ruswayi ki mein khwahish-mand thi lekin ab mera yeh haal hai ke mein sab se zyada khwahish-mand hoon ke roo-e-zameen ke tamam gharano mein Aap ka gharana izzat o sar-bulandi wala ho. Phir unhon ne kaha ke Abu Sufyan Radi Allahu Anhu bakheel aadmi hain, to kya mere liye koi haraj hai agar mein un ke maal mein se (un ki ijazat ke bagair le kar) apne ahl o ayal ko khilaon? Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne un se farmaya ke tumhare liye koi haraj nahi hai, agar tum unhein dastoor ke mutabiq khilao.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7180
حدثنا محمد بن كثير، اخبرنا سفيان، عن هشام، عن ابيه، عن عائشة رضي الله عنها، ان هندا، قالت للنبي صلى الله عليه وسلم: إن ابا سفيان رجل شحيح فاحتاج ان آخذ من ماله، قال:" خذي ما يكفيك وولدك بالمعروف".
`Hum se Muhammad bin Kaseer ne bayan kiya, kaha hum ko Sufyan ne khabar di, unhein Hisham ne, unhein un ke walid ne aur un se Aisha Radi Allahu Anha ne ke Hind ne Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se kaha ke (un ke shohar) Abu Sufyan bakheel hain aur mujhe un ke maal mein se lene ki zaroorat hoti hai. Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke dastoor ke mutabiq itna le liya karo jo tumhare aur tumhare bachon ke liye kafi ho.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة