الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الحج
Kitab: Hajj ke masail ka bayan
باب من لبد رأسه عند الإحرام وحلق:
Bab: Is ke mutalliq jis ne ihram ke waqt sar ke baalon ko jama liya aur ihram kholte waqt sar mundwa liya.
Show diacritics
Hadith Number: 1725
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، عن نافع، عن ابن عمر، عن حفصة رضي الله عنهم، انها قالت: يا رسول الله،" ما شان الناس حلوا بعمرة، ولم تحلل انت من عمرتك؟ قال: إني لبدت راسي، وقلدت هديي، فلا احل حتى انحر".
Hum se Abdullah Bin Yusuf ne bayan kiya, kaha ke hum ko Imam Malik ne khabar di, unhein Nafi ne, unhein Ibn Umar (Radi Allahu Anhuma) ne ke Hafsa (Radi Allahu Anha) ne arz ki Ya Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) kya wajah hui ke aur log to Umrah kar ke halal ho gaye aur Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Umrah kar liya aur halal na hue? Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke mein ne apne sar ke baal jama liye thay aur qurbani ke gale mein qiladah pehna kar mein (apne sath) laya hoon, is liye jab tak mein nahr na kar loon ga mein ihram nahi kholoon ga
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1566
حدثنا إسماعيل، قال: حدثني مالك. ح وحدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، عن نافع، عن ابن عمر، عن حفصة رضي الله عنهم زوج النبي صلى الله عليه وسلم، انها قالت:" يا رسول الله، ما شان الناس حلوا بعمرة ولم تحلل انت من عمرتك؟ , قال: إني لبدت راسي , وقلدت هديي، فلا احل حتى انحر".
Hum se Ismail bin Abi Uwais ne byaan kiya , kaha ke mujh se Imam Malik rahmatullah alaihi ne byaan kiya (doosri sanad) aur Imam Bukhari rahmahu Allah ne kaha ke hum se Abdullah bin Yusuf ne byaan kiya , kaha ke humein Imam Malik rahmatullah alaihi ne khabar di , unhein Nafi ne aur unhein Ibn Umar razi Allahu anhuma ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki zauja-e-mutahharah Hafsah razi Allahu anha ne byaan kiya ke unhon ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se daryaft kiya Ya Rasool Allah! Kya baat hai aur log to Umrah kar ke halal ho gaye lekin Aap halal nahi hue ? Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke maine apne sar ki talbeed (baalon ko jamane ke liye ek lais-dar cheez ka istemal karna) ki hai aur apne saath hadi (qurbani ka jaanwar) laya hoon is liye main qurbani karne se pehle ahram nahi khool sakta .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1697
حدثنا مسدد، حدثنا يحيى، عن عبيد الله، قال: اخبرني نافع، عن ابن عمر، عن حفصة رضي الله عنهم، قالت: قلت: يا رسول الله، ما شان الناس حلوا ولم تحلل انت، قال:" إني لبدت راسي، وقلدت هديي، فلا احل حتى احل من الحج".
Hum se Musaddad ne bayan kiya, kaha hum se Yahya ne bayan kiya, un se Ubaidullah ne ke mujhe Nafi ne khabar di unhein Ibn Umar (Radi Allahu Anhuma) ne ke Hafsa (Radi Allahu Anha) ne bayan kiya, kaha mein ne kaha: Ya Rasul Allah! Aur log to halal ho gaye lekin aap halal nahi hue, is ki kya wajah hai? Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke mein ne apne sar ke balon ko jama liya hai aur apni hadyi ko qiladah pehna diya hai, is liye jab tak Haj se bhi halal na ho jaoon mein (darmiyan mein) halal nahi ho sakta, (gond laga kar sar ke balon ka jama lena is ko talbeed kehte hain)
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4398
حدثني إبراهيم بن المنذر، اخبرنا انس بن عياض، حدثنا موسى بن عقبة، عن نافع، ان ابن عمر اخبره، ان حفصة رضي الله عنها زوج النبي صلى الله عليه وسلم اخبرته: ان النبي صلى الله عليه وسلم:" امر ازواجه ان يحللن عام حجة الوداع"، فقالت حفصة: فما يمنعك؟ فقال:" لبدت راسي، وقلدت هديي، فلست احل حتى انحر هديي".
Mujh se Ibrahim bin al-Munzhir ne byaan kiya , kaha hum ko Anas bin Ayadh ne khabar di , kaha hum se Musa bin Uqbah ne byaan kiya , un se Nafi ne unhein Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne khabar di ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki zauja mutahhara Hafsa razi Allahu anha ne unhein khabar di ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne Hajjat al-Wida ke mauqa par apni biwiyon ko hukm diya ke (umrah karne ke baad) halal ho jayein (yani ihram khol dein) Hafsa razi Allahu anha ne arz kiya (ya Rasool Allah!) phir Aap kyun nahi halal hote ? Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke main ne to apne baalon ko jama liya hai aur apni qurbani ko haar pehna diya hai , is liye main jab tak qurbani na kar loon is waqt tak ihram nahi khol sakta .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5916
حدثني إسماعيل، قال: حدثني مالك، عن نافع، عن عبد الله بن عمر، عن حفصة رضي الله عنها زوج النبي صلى الله عليه وسلم، قالت: قلت: يا رسول الله، ما شان الناس حلوا بعمرة ولم تحلل انت من عمرتك؟ قال:" إني لبدت راسي وقلدت هديي، فلا احل حتى انحر".
Mujh se Ismail bin Ibn Abi Oways ne bayan kiya, kaha ke mujh se Imam Malik ne bayan kiya, in se Nafi ne, in se Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne aur in se Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki zauja mutahhara Hafsa razi Allahu anha ne bayan kiya ke main ne arz kiya: ya Rasool Allah! kiya baat hai ke log Umrah kar ke ihram khol chuke hain haalan ke Aap ne ihram nahi khola. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya kyunke main ne apne sar ke baal jama liye hain aur apni hadyi (qurbani ke janwar) ke gale mein qilada daal diya hai. Is liye jab tak meri qurbani ka nahar na ho le main ihram nahi khol sakta.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1066
وقال الاوزاعي وغيره: سمعت الزهري، عن عروة، عن عائشة رضي الله عنها، ان الشمس خسفت على عهد رسول الله صلى الله عليه وسلم فبعث مناديا بالصلاة جامعة، فتقدم، فصلى اربع ركعات في ركعتين واربع سجدات، واخبرني عبد الرحمن بن نمر، سمع ابن شهاب مثله، قال الزهري: فقلت: ما صنع اخوك ذلك عبد الله بن الزبير ما صلى إلا ركعتين مثل الصبح إذ صلى بالمدينة، قال: اجل إنه اخطا السنة، تابعه سفيان بن حسين، وسليمان بن كثير، عن الزهري في الجهر.
Aur Imam Awzai rahimahullah ne kaha ke main ne Zuhri se suna , unhon ne Urwah se aur Urwah ne Ayesha razi Allahu anha se ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke ahd mein sooraj grahan laga to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne aik aadmi se elaan kara diya ke namaaz hone wali hai phir Aap salla Allahu alaihi wasallam ne do rakaten chaar ruku aur chaar sajdon ke saath parhin . Waleed bin Muslim ne byaan kiya ke mujhe Abdur Rahman bin Nimr ne khabar di aur unhon ne Ibn Shihab se suna , isi hadees ki tarah Zuhri (Ibn Shihab) ne byaan kiya ke is par main ne (Urwah se) poocha ke phir tumhare bhai Abdullah bin Zubair ne jab Madina mein «kusoof» ki namaaz parhayi to kyun aisa kiya ke jis tarah subah ki namaaz parhi jati hai . Isi tarah yeh namaaz «kusoof» bhi unhon ne parhayi . Unhon ne jawab diya ke haan unhon ne sunnat ke khilaaf kiya . Abdur Rahman bin Nimr ke saath is hadees ko Sulaiman bin Kaseer aur Sufyan bin Hussain ne bhi Zuhri se riwayat kiya , is mein bhi jahri qiraat karne ka byaan hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة