الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الزكاة
Kitab: Zakat ke masail ka bayan
باب ما يستخرج من البحر:
Jo maal samandar se nikala jaaye.
Hadith Number: 1498
وقال الليث حدثني جعفر بن ربيعة عن عبد الرحمن بن هرمز عن ابي هريرة رضي الله عنه عن النبي صلى الله عليه وسلم: «ان رجلا من بني إسرائيل سال بعض بني إسرائيل بان يسلفه الف دينار، فدفعها إليه، فخرج في البحر، فلم يجد مركبا، فاخذ خشبة فنقرها فادخل فيها الف دينار، فرمى بها في البحر، فخرج الرجل الذي كان اسلفه، فإذا بالخشبة فاخذها لاهله حطبا- فذكر الحديث- فلما نشرها وجد المال» .
Aur Layth ne kaha ke mujh se Jafar bin Rabiah ne byaan kiya ‘ unhon ne Abdul Rahman bin Hurmuz se ‘ unhon ne Abu Hurairah razi Allahu anhu se ‘ unhon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se ke Bani Israel mein ek shakhs tha jis ne doosre Bani Israel ke shakhs se hazar ashrafiyan qarz maangi . Us ne Allah ke bharose par us ko de dein . Ab jis ne qarz liya tha woh samundar par gaya ke sawar ho jaye aur qarz-khwah ka qarz ada kare lekin sawari na mili . Aakhir us ne qarz-khwah tak puhanchne se na-umeed ho kar ek lakri li us ko kareeda aur hazar ashrafiyan is mein bhar kar woh lakri samundar mein phenk di . Ittifaq se qarz-khwah kaam-kaaj ko bahar nikla ‘ samundar par puhancha to ek lakri dekhi aur us ko ghar mein jalane ke khayal se le aaya . Phir poori hadees byaan ki . Jab lakri ko cheera to is mein ashrafiyan paayin .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2291
قال ابو عبد الله: وقال الليث: حدثني جعفر بن ربيعة، عن عبد الرحمن بن هرمز، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن رسول الله صلى الله عليه وسلم:" انه ذكر رجلا من بني إسرائيل، سال بعض بني إسرائيل ان يسلفه الف دينار، فقال: ائتني بالشهداء اشهدهم، فقال: كفى بالله شهيدا، قال: فاتني بالكفيل، قال: كفى بالله كفيلا، قال: صدقت، فدفعها إليه إلى اجل مسمى، فخرج في البحر فقضى حاجته، ثم التمس مركبا يركبها يقدم عليه للاجل الذي اجله، فلم يجد مركبا فاخذ خشبة، فنقرها فادخل فيها الف دينار وصحيفة منه إلى صاحبه، ثم زجج موضعها، ثم اتى بها إلى البحر، فقال: اللهم إنك تعلم اني كنت تسلفت فلانا الف دينار فسالني كفيلا، فقلت: كفى بالله كفيلا، فرضي بك وسالني شهيدا، فقلت: كفى بالله شهيدا فرضي بك، واني جهدت ان اجد مركبا ابعث إليه الذي له فلم اقدر، وإني استودعكها فرمى بها في البحر، حتى ولجت فيه، ثم انصرف وهو في ذلك يلتمس مركبا يخرج إلى بلده، فخرج الرجل الذي كان اسلفه ينظر، لعل مركبا قد جاء بماله، فإذا بالخشبة التي فيها المال فاخذها لاهله حطبا، فلما نشرها وجد المال والصحيفة، ثم قدم الذي كان اسلفه فاتى بالالف دينار، فقال: والله ما زلت جاهدا في طلب مركب لآتيك بمالك، فما وجدت مركبا قبل الذي اتيت فيه، قال: هل كنت بعثت إلي بشيء؟ قال: اخبرك اني لم اجد مركبا قبل الذي جئت فيه، قال: فإن الله قد ادى عنك الذي بعثت في الخشبة، فانصرف بالالف الدينار راشدا".
Abu Abdullah (Imam Bukhari Rahimahullah) ne kaha ke Laith ne bayan kiya, un se Jafar Bin Rabia ne, un se Abdur Rahman Bin Hurmuz ne aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Bani Israel ke ek shakhs ka zikar farmaya ke unhon ne Bani Israel ke ek doosre aadmi se ek hazar dinar qarz mange. Unhon ne kaha ke pehle aise gawah la jin ki gawahi par mujhe aitibar ho. Qarz mangne wala bola ke gawah to bas Allah hi kafi hai phir unhon ne kaha ke accha koi zaamin la. Qarz mangne wala bola ke zaamin bhi Allah hi kafi hai. Unhon ne kaha ke tu ne sacchi baat kahi. Chunanche us ne ek muqarrara muddat ke liye is ko qarz day diya. Ye saahib qarz lay kar daryayi safar par rawan hue aur phir apni zaroorat poori kar ke kisi sawari (kashti waghairah) ki talash ki taake us se darya paar kar ke is muqarrara muddat tak qarz dene wale ke paas pahunch sakay jo is se taye payi thi. (Aur is ka qarz ada kar day) lekin koi sawari nahi mili. Aakhir ek lakri li aur is mein surakh kiya. Phir ek hazar dinar aur ek (is mazmoon ka) khat ke is ki taraf se qarz dene wale ki taraf (ye dinar bheje ja rahe hain) aur is ka munh band kar diya. Aur ise darya par lay aaye, phir kaha, ay Allah! tu khoob janta hai ke mein ne falan shakhs se ek hazar dinar qarz liye thay. Us ne mujh se zaamin manga to mein ne keh diya tha ke mera zaamin Allah Ta'ala kafi hai aur wo bhi tujh par razi hua. Us ne mujh se gawah manga to is ka bhi jawab mein ne yahi diya ke Allah paak gawah kafi hai to wo mujh par razi ho gaya aur (tu janta hai ke) mein ne bahut koshish ki ke koi sawari milay jis ke zariya mein is ka qarz is tak (muddat muqarrara mein) pahuncha sakoon. Lekin mujhe is mein kamyabi nahi hui. Is liye ab mein is ko tere hi hawale karta hoon (ke tu is tak pahuncha day) chunanche us ne wo lakri jis mein raqam thi darya mein baha di. Ab wo darya mein thi aur wo saahib (qarz-dar) wapas ho chuke thay. Agarchay fikr ab bhi yahi tha ke kis tarah koi jahaz milay. Jis ke zariya wo apne shehar mein ja sakein. Doosri taraf wo saahib jinhon ne qarz diya tha isi talash mein (bandar-gah) aaye ke mumkin hai koi jahaz un ka maal lay kar aya ho. Lekin wahan unhein ek lakri mili. Wahi jis mein maal tha. Unhon ne lakri apne ghar mein indhan ke liye lay li. Lekin jab ise cheera to is mein se dinar nikle aur ek khat bhi nikla. (Kuch dinon ke baad jab wo saahib apne shehar aaye) to qarz-khwah ke ghar aaye. Aur (ye khayal kar ke shayad wo lakri na mil saki ho dobara) ek hazar dina un ki khidmat mein pesh kar diye. Aur kaha ke qasam Allah ki! mein to barabar isi koshish mein raha ke koi jahaz milay to tumhare paas tumhara maal lay kar pahunchoon lekin is din se pehle jab ke mein yahan pahunchne ke liye sawar hua. Mujhe apni koshishon mein kamyabi nahi hui. Phir unhon ne poocha accha ye to batao ke koi cheez kabhi tum ne mere naam bheji thi ? Maqrooz ne jawab diya bata to raha hoon aap ko ke koi jahaz mujhe is jahaz se pehle nahi mila jis se mein aaj pahuncha hoon. Is par qarz-khwah ne kaha ke phir Allah ne bhi aap ka wo qarza ada kar diya. Jise aap ne lakri mein bheja tha. Chunanche wo saahib apna hazar dinar lay kar khush khush wapas laut gaye
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2430
وقال الليث: حدثني جعفر بن ربيعة، عن عبد الرحمن بن هرمز، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن رسول الله صلى الله عليه وسلم، انه" ذكر رجلا من بني إسرائيل وساق الحديث، فخرج ينظر لعل مركبا قد جاء بماله، فإذا هو بالخشبة، فاخذها لاهله حطبا، فلما نشرها وجد المال والصحيفة".
Aur Laith Bin Saad ne bayan kiya ke mujh se Jafar Bin Rabia ne bayan kiya, un se Abdur Rahman Bin Hurmuz ne aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Bani Israel ke ek mard ka zikar kiya. Phir poori hadees bayan ki (jo is se pehle guzar chuki hai) ke (qarz dene wala) bahar ye dekhne ke liye nikla ke mumkin hai koi jahaz is ka rupiyah lay kar aya ho. (Darya ke kinare par jab wo pahuncha) to ise ek lakri mili jise us ne apne ghar ke indhan ke liye utha liya. Lekin jab ise cheera to is mein rupiyah aur khat paya
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2734
وقال الليث حدثني جعفر بن ربيعة عن عبد الرحمن بن هرمز عن ابي هريرة رضي الله عنه عن رسول الله صلى الله عليه وسلم انه ذكر رجلا سال بعض بني إسرائيل ان يسلفه الف دينار، فدفعها إليه إلى اجل مسمى.
Aur Laith ne kaha ke mujh se Jafar Bin Rabeeah ne bayan kiya ' un se Abdur Rahman Bin Hurmuz ne bayan kiya ' un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne ek shakhs ka zikr kiya jinhon ne Bani Israel ke kisi doosre shakhs se ek hazar ashrafi qarz manga aur us ne ek muqarrara muddat tak ke liye de diya
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4166
حدثنا آدم بن ابي إياس , حدثنا شعبة , عن عمرو بن مرة , قال: سمعت عبد الله بن ابي اوفى , وكان من اصحاب الشجرة قال:" كان النبي صلى الله عليه وسلم إذا اتاه قوم بصدقة , قال:" اللهم صل عليهم" , فاتاه ابي بصدقته , فقال:" اللهم صل على آل ابي اوفى".
Hum se Adam Bin Abi Iyas ne bayan kiya ‘ kaha hum se Shuba ne bayan kiya ‘ in se Amr Bin Murrah ne ‘ unhon ne kaha ke mein ne Abdullah Bin Abi Aufa Radi Allahu Anhu se suna ‘ wo Baiat-e-Rizwan mein shareek thay. Unhon ne bayan kiya ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ki khidmat mein jab koi sadqa le kar hazir hota to Aap dua karte ke Ai Allah! Is par apni rahmat nazil farma. Chunancha mere walid bhi apna sadqa le kar hazir hue to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne dua ki ke Ai Allah! Aal-e-Abi Aufa Radi Allahu Anhu par apni rahmat nazil farma
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6261
وقال الليث: حدثني جعفر بن ربيعة، عن عبد الرحمن بن هرمز، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن رسول الله صلى الله عليه وسلم: انه ذكر رجلا من بني إسرائيل اخذ خشبة، فنقرها فادخل فيها الف دينار وصحيفة منه إلى صاحبه.
Layth ne bayan kiya ke mujh se Jafar bin Rabee ne bayan kiya in se Abd-ur-Rahman bin Hurmuz ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne Bani Israeel ke ek shakhs ka zikr kiya ke unhon ne lakri ka ek lat-tha liya aur is mein surakh kar ke ek hazar dinar aur khat rakh diya woh in ki taraf se in ke saathi (qarz-khwah) ki taraf thu aur Amr bin Abi Salamah ne bayan kiya ke in se un ke walid ne aur unhon ne Abu Hurairah razi Allahu anhu se suna ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke unhon ne lakri ke ek lat-the mein surakh kiya aur maal is ke andar rakh diya aur in ke paas ek khat likha, falan ki taraf se falan ko mile.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6332
حدثنا مسلم، حدثنا شعبة، عن عمرو هو ابن مرة، سمعت ابن ابي اوفى رضي الله عنهما، كان النبي صلى الله عليه وسلم، إذا اتاه رجل بصدقة قال:" اللهم صل على آل فلان، فاتاه ابي، فقال: اللهم صل على آل ابي اوفى".
Hum se Muslim bin Ibrahim ne bayan kiya, kaha hum se Shubah ne bayan kiya, in se Amr bin Murrah ne, kaha main ne Abdullah bin Abi Aufa razi Allahu anhuma se suna ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein agar koi shakhs sadqa laata to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam farmate thay ke Ae Allah! Falan ki aal-aulad par apni rahmatein nazil farma. Mere walid sadqa laaye to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Ae Allah! Abi Aufa ki aal-aulad par rahmatein nazil farma.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6359
حدثنا سليمان بن حرب، حدثنا شعبة، عن عمرو بن مرة، عن ابن ابي اوفى، قال: كان إذا اتى رجل النبي صلى الله عليه وسلم بصدقته، قال:" اللهم صل عليه"، فاتاه ابي بصدقته، فقال:" اللهم صل على آل ابي اوفى".
`Hum se Sulaiman bin Harb ne bayan kiya, kaha hum se Shu'ba ne bayan kiya, un se Amr bin Murra ne aur un se Ibn Abi Aufa Radi Allahu Anhu ne bayan kiya jab Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ke paas koi shakhs apni zakat le kar aata to Aap farmate «Allahumma salli alaihi» ”Ae Allah! is par apni rehmat nazil farma.“ Mere walid bhi apni zakat le kar aaye to Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya «Allahumma salli ala aali Abi Aufa» ”Ae Allah! Aal-e-Abi Aufa par apni rehmat nazil farma.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2063
وقال الليث، حدثني جعفر بن ربيعة، عن عبد الرحمن بن هرمز، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن رسول الله صلى الله عليه وسلم: انه ذكر" رجلا من بني إسرائيل خرج إلى البحر فقضى حاجته"، وساق الحديث. حدثني عبد الله بن صالح، قال: حدثني الليث، بهذا.
Liath ne kaha ke mujh se Jafar Bin Rabia ne bayan kiya, un se Abdur Rahman Bin Hurmuz ne aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Bani Israel ke ek shakhs ka zikr kiya. Jis ne samandar ka safar kiya tha aur apni zaroorat poori ki thi. Phir poori hadees bayan ki
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة