الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْكَفَالَةِ
The Book of Al-Kafala
بَابُ الْكَفَالَةِ فِي الْقَرْضِ وَالدُّيُونِ بِالأَبْدَانِ وَغَيْرِهَا:
Chapter. Al-Kafala (i.e., the pledge given by somebody to the creditor to gurantee that the debtor will be present at a certain specific place to pay his debt or fine, or to undergo a punishment, etc.) in loans and debts with oneself or other things (e.g., one’s money).
Show diacritics
Hadith Number: 2290
وقال ابو الزناد: عن محمد بن حمزة بن عمرو الاسلمي، عن ابيه: ان عمر رضي الله عنه، بعثه مصدقا، فوقع رجل على جارية امراته، فاخذ حمزة من الرجل كفيلا، حتى قدم على عمر، وكان عمر قد جلده مائة جلدة فصدقهم وعذره بالجهالة، وقال جرير، والاشعث لعبد الله بن مسعود في المرتدين: استتبهم وكفلهم، فتابوا وكفلهم عشائرهم، وقال حماد: إذا تكفل بنفس فمات، فلا شيء عليه، وقال الحكم: يضمن.
Aur Abuz Zanad ne bayan kiya, un se Muhammad Bin Hamza Bin Amr Al-Aslami ne aur un se un ke walid (Hamza) ne ke Umar (Radi Allahu Anhu) ne (apne ahad-e-khilafat mein) unhein Zakat wasool karne ke liye bheja. (Jahan wo Zakat wasool kar rahe thay wahan ke) ek shakhs ne apni biwi ki bandi se hum-bistari kar li. Hamza ne is ki ek shakhs se pehle zamant li, yahan tak ke wo Umar (Radi Allahu Anhu) ki khidmat mein hazir hue. Umar (Radi Allahu Anhu) ne is shakhs ko so koron ki saza di thi. Is aadmi ne jo jurm us par laga tha is ko qabool kiya tha lekin jahalat ka uzar kiya tha. Umar (Radi Allahu Anhu) ne is ko mazoor rakkha tha aur Jarir aur Ashath ne Abdullah Bin Masood se murtadon ke baare mein kaha ke un se tauba karaiye aur un ki zamant talab kijiye (ke dobara murtad na honge) chunanche unhon ne tauba kar li aur zamant khud unhein ke qabeela walon ne day di. Hammad ne kaha jis ka hazir zaamin ho agar wo mar jaye to zaamin par kuch tawan na hoga. Lekin Hakam ne kaha ke zimma ka maal dena parega
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 2291
قال ابو عبد الله: وقال الليث: حدثني جعفر بن ربيعة، عن عبد الرحمن بن هرمز، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن رسول الله صلى الله عليه وسلم:" انه ذكر رجلا من بني إسرائيل، سال بعض بني إسرائيل ان يسلفه الف دينار، فقال: ائتني بالشهداء اشهدهم، فقال: كفى بالله شهيدا، قال: فاتني بالكفيل، قال: كفى بالله كفيلا، قال: صدقت، فدفعها إليه إلى اجل مسمى، فخرج في البحر فقضى حاجته، ثم التمس مركبا يركبها يقدم عليه للاجل الذي اجله، فلم يجد مركبا فاخذ خشبة، فنقرها فادخل فيها الف دينار وصحيفة منه إلى صاحبه، ثم زجج موضعها، ثم اتى بها إلى البحر، فقال: اللهم إنك تعلم اني كنت تسلفت فلانا الف دينار فسالني كفيلا، فقلت: كفى بالله كفيلا، فرضي بك وسالني شهيدا، فقلت: كفى بالله شهيدا فرضي بك، واني جهدت ان اجد مركبا ابعث إليه الذي له فلم اقدر، وإني استودعكها فرمى بها في البحر، حتى ولجت فيه، ثم انصرف وهو في ذلك يلتمس مركبا يخرج إلى بلده، فخرج الرجل الذي كان اسلفه ينظر، لعل مركبا قد جاء بماله، فإذا بالخشبة التي فيها المال فاخذها لاهله حطبا، فلما نشرها وجد المال والصحيفة، ثم قدم الذي كان اسلفه فاتى بالالف دينار، فقال: والله ما زلت جاهدا في طلب مركب لآتيك بمالك، فما وجدت مركبا قبل الذي اتيت فيه، قال: هل كنت بعثت إلي بشيء؟ قال: اخبرك اني لم اجد مركبا قبل الذي جئت فيه، قال: فإن الله قد ادى عنك الذي بعثت في الخشبة، فانصرف بالالف الدينار راشدا".
Abu Abdullah (Imam Bukhari Rahimahullah) ne kaha ke Laith ne bayan kiya, un se Jafar Bin Rabia ne, un se Abdur Rahman Bin Hurmuz ne aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Bani Israel ke ek shakhs ka zikar farmaya ke unhon ne Bani Israel ke ek doosre aadmi se ek hazar dinar qarz mange. Unhon ne kaha ke pehle aise gawah la jin ki gawahi par mujhe aitibar ho. Qarz mangne wala bola ke gawah to bas Allah hi kafi hai phir unhon ne kaha ke accha koi zaamin la. Qarz mangne wala bola ke zaamin bhi Allah hi kafi hai. Unhon ne kaha ke tu ne sacchi baat kahi. Chunanche us ne ek muqarrara muddat ke liye is ko qarz day diya. Ye saahib qarz lay kar daryayi safar par rawan hue aur phir apni zaroorat poori kar ke kisi sawari (kashti waghairah) ki talash ki taake us se darya paar kar ke is muqarrara muddat tak qarz dene wale ke paas pahunch sakay jo is se taye payi thi. (Aur is ka qarz ada kar day) lekin koi sawari nahi mili. Aakhir ek lakri li aur is mein surakh kiya. Phir ek hazar dinar aur ek (is mazmoon ka) khat ke is ki taraf se qarz dene wale ki taraf (ye dinar bheje ja rahe hain) aur is ka munh band kar diya. Aur ise darya par lay aaye, phir kaha, ay Allah! tu khoob janta hai ke mein ne falan shakhs se ek hazar dinar qarz liye thay. Us ne mujh se zaamin manga to mein ne keh diya tha ke mera zaamin Allah Ta'ala kafi hai aur wo bhi tujh par razi hua. Us ne mujh se gawah manga to is ka bhi jawab mein ne yahi diya ke Allah paak gawah kafi hai to wo mujh par razi ho gaya aur (tu janta hai ke) mein ne bahut koshish ki ke koi sawari milay jis ke zariya mein is ka qarz is tak (muddat muqarrara mein) pahuncha sakoon. Lekin mujhe is mein kamyabi nahi hui. Is liye ab mein is ko tere hi hawale karta hoon (ke tu is tak pahuncha day) chunanche us ne wo lakri jis mein raqam thi darya mein baha di. Ab wo darya mein thi aur wo saahib (qarz-dar) wapas ho chuke thay. Agarchay fikr ab bhi yahi tha ke kis tarah koi jahaz milay. Jis ke zariya wo apne shehar mein ja sakein. Doosri taraf wo saahib jinhon ne qarz diya tha isi talash mein (bandar-gah) aaye ke mumkin hai koi jahaz un ka maal lay kar aya ho. Lekin wahan unhein ek lakri mili. Wahi jis mein maal tha. Unhon ne lakri apne ghar mein indhan ke liye lay li. Lekin jab ise cheera to is mein se dinar nikle aur ek khat bhi nikla. (Kuch dinon ke baad jab wo saahib apne shehar aaye) to qarz-khwah ke ghar aaye. Aur (ye khayal kar ke shayad wo lakri na mil saki ho dobara) ek hazar dina un ki khidmat mein pesh kar diye. Aur kaha ke qasam Allah ki! mein to barabar isi koshish mein raha ke koi jahaz milay to tumhare paas tumhara maal lay kar pahunchoon lekin is din se pehle jab ke mein yahan pahunchne ke liye sawar hua. Mujhe apni koshishon mein kamyabi nahi hui. Phir unhon ne poocha accha ye to batao ke koi cheez kabhi tum ne mere naam bheji thi ? Maqrooz ne jawab diya bata to raha hoon aap ko ke koi jahaz mujhe is jahaz se pehle nahi mila jis se mein aaj pahuncha hoon. Is par qarz-khwah ne kaha ke phir Allah ne bhi aap ka wo qarza ada kar diya. Jise aap ne lakri mein bheja tha. Chunanche wo saahib apna hazar dinar lay kar khush khush wapas laut gaye
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain