الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الزكاة
Kitab: Zakat ke masail ka bayan
باب الاستعفاف عن المسألة:
Sawaal se bachne ka bayaan.
Hadith Number: 1470
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، عن ابي الزناد، عن الاعرج، عن ابي هريرة رضي الله عنه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم , قال:" والذي نفسي بيده لان ياخذ احدكم حبله فيحتطب على ظهره خير له من ان ياتي رجلا فيساله اعطاه او منعه".
Hum se Abdullah bin Yusuf ne byaan kiya ‘ kaha ke humein Imam Malik rahmatullah alaihi ne khabar di ‘ unhein Abul Zinad ne ‘ unhein Aaraj ne ‘ unhein Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya is zaat ki qasam jis ke haath mein meri jaan hai agar koi shakhs rassi se lakriyon ka bojh baandh kar apni peeth par jangal se utha laye (phir unhein bazaar mein baich kar apna rizq haasil kare) to woh is shakhs se behtar hai jo kisi ke paas aa kar sawal kare . Phir jis se sawal kiya gaya hai woh usay de ya na de .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1471
حدثنا موسى، حدثنا وهيب، حدثنا هشام، عن ابيه، عن الزبير بن العوام رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم , قال:"لان ياخذ احدكم حبله فياتي بحزمة الحطب على ظهره فيبيعها فيكف الله بها وجهه، خير له من ان يسال الناس اعطوه او منعوه".
Hum se Musa bin Ismail ne byaan kiya ‘ kaha ke hum se Wuhaib ne byaan kiya ‘ kaha ke hum se Hisham bin Urwah ne byaan kiya ‘ un se un ke walid ne ‘ un se Zubayr bin Awwam razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya tum mein se koi bhi agar (zaroorat mand ho to) apni rassi le kar aaye aur lakriyon ka gatha baandh kar apni peeth par rakh kar laye . Aur isay baiche . Is tarah Allah Ta'ala is ki izzat ko mehfooz rakh le to yeh is se accha hai ke woh logon se sawal karta phire ‘ usay woh dein ya na dein .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1480
حدثنا عمر بن حفص بن غياث، حدثنا ابي، حدثنا الاعمش، حدثنا ابو صالح، عن ابي هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" لان ياخذ احدكم حبله ثم يغدو , احسبه قال: إلى الجبل، فيحتطب فيبيع فياكل ويتصدق خير له من ان يسال الناس"، قال ابو عبد الله صالح بن كيسان: اكبر من الزهري وهو قد ادرك ابن عمر.
Hum se Umar bin Hafs bin Ghiyath ne byaan kiya ‘ kaha ke mujh se mere baap ne byaan kiya ‘ kaha ke hum se Aamash ne byaan kiya ‘ kaha ke hum se Abu Salih Zakwan ne byaan kiya ‘ aur un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ‘ ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya agar tum mein se koi shakhs apni rassi le kar (mera khayal hai ke Aap salla Allahu alaihi wasallam ne yun farmaya) paharon mein chala jaye phir lakriyan jama kar ke unhein farokht kare . Is se khaye bhi aur sadqa bhi kare . Yeh us ke liye is se behtar hai ke logon ke saamne haath phaila-ye .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2074
حدثنا يحيى بن بكير، حدثنا الليث، عن عقيل، عن ابن شهاب، عن ابي عبيد مولى عبد الرحمن بن عوف، انه سمع ابا هريرةرضي الله عنه، يقول: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" لان يحتطب احدكم حزمة على ظهره، خير له من ان يسال احدا فيعطيه او يمنعه".
Hum se Yahya Bin Bukair ne bayan kiya, kaha ke hum se Laith Bin Saad ne bayan kiya, un se Aqeel ne, un se Ibn Shihab ne, un se Abdur Rahman Bin Auf (Radi Allahu Anhu) ke ghulam Abi Ubaid ne, unhon ne Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ko ye kehte suna ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya wo shakhs jo lakri ka ghatta apni peeth par laad kar laye, is se behtar hai jo kisi ke samne hath phailaye chahiye wo usay kuch dede ya na de
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2075
حدثنا يحيى بن موسى، حدثنا وكيع، حدثنا هشام بن عروة، عن ابيه، عن الزبير بن العوام رضي الله عنه، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" لان ياخذ احدكم احبله".
Hum se Yahya Bin Musa ne bayan kiya, kaha ke hum se Wakee ne bayan kiya, kaha ke hum se Hisham Bin Urwah ne bayan kiya, un se un ke walid ne aur un se Zubair Bin Awam (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke agar koi apni rassiyon ko sambhal le aur un mein lakri bandh kar laye to wo is se behtar hai jo logon se mangta hai phirta hai
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2373
حدثنا معلى بن اسد، حدثنا وهيب، عن هشام، عن ابيه، عن الزبير بن العوام رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" لان ياخذ احدكم احبلا، فياخذ حزمة من حطب فيبيع، فيكف الله به وجهه خير من ان يسال الناس اعطي ام منع".
Hum se Mualla Bin Asad ne bayan kiya, kaha ke hum se Wuhaib ne bayan kiya, un se Hashim ne, un se un ke walid ne aur un se Zubair Bin Awwam ne (Radi Allahu Anhu) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya agar koi shakhs rassi lay kar lakriyon ka ghatta laye, phir ise beche aur is tarah Allah Ta'ala is ki aabru mahfooz rakkhe to ye is se behtar hai ke wo logon ke samne hath phailaye aur (bheek) ise di jaye ya na di jaye. Is ki bhi koi umeed na ho
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2374
حدثنا يحيى بن بكير، حدثنا الليث، عن عقيل، عن ابن شهاب، عن ابي عبيد مولى عبد الرحمن بن عوف، انه سمع ابا هريرة رضي الله عنه، يقول: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" لان يحتطب احدكم حزمة على ظهره، خير له من ان يسال احدا فيعطيه او يمنعه".
Hum se Yahya Bin Bukair ne bayan kiya, kaha ke hum se Laith ne bayan kiya, un se Aqeel ne, un se Ibn Shihab, un se Abdur Rahman Bin Auf (Radi Allahu Anhu) ke ghulam Abu Ubaid ne, aur unhon ne Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) se suna ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, agar koi shakhs lakriyon ka ghatta apni peeth par (bechne ke liye) liye phire to wo is se accha hai ke kisi ke samne hath phailaye. Phir khwah ise kuch day ya na day
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة