الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الزكاة
Kitab: Zakat ke masail ka bayan
باب مثل المتصدق والبخيل:
Sadaqa dene wale ki aur bukheel ki misaal ka bayaan.
Show diacritics
Hadith Number: 1443
حدثنا موسى، حدثنا وهيب، حدثنا ابن طاوس، عن ابيه، عن ابي هريرة رضي الله عنه , قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:"مثل البخيل , والمتصدق كمثل رجلين عليهما جبتان من حديد". وحدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، حدثنا ابو الزناد، ان عبد الرحمن حدثه، انه سمع ابا هريرة رضي الله عنه، انه سمع رسول الله صلى الله عليه وسلم , يقول:" مثل البخيل , والمنفق كمثل رجلين عليهما جبتان من حديد من ثديهما إلى تراقيهما، فاما المنفق فلا ينفق إلا سبغت او وفرت على جلده حتى تخفي بنانه وتعفو اثره، واما البخيل فلا يريد ان ينفق شيئا إلا لزقت كل حلقة مكانها فهو يوسعها ولا تتسع" تابعه الحسن بن مسلم، عن طاوس في الجبتين
Hum se Musa bin Ismail ne byaan kiya ‘ kaha ke hum se Wuhaib ne byaan kiya ‘ kaha ke hum se Abdullah bin Ta'oos ne byaan kiya ‘ un se un ke baap Ta'oos ne aur un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke bukhil aur sadqa dene wale ki misal aise do shakhson ki tarah hai jin ke badan par lohe ke do kurte hain . (Doosri sanad) Imam Bukhari rahmahu Allah ne kaha aur hum se Abul Yaman ne byaan kiya ‘ kaha ke humein Shuayb ne khabar di ‘ kaha ke humein Abul Zinad ne khabar di ke Abdullah bin Hurmuz Aaraj ne un se byaan kiya aur unhon ne Abu Hurairah razi Allahu anhu se suna aur Abu Hurairah razi Allahu anhu ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko yeh kehte suna ke bukhil aur kharch karne wale ki misal aise do shakhson ki si hai jin ke badan par lohe ke do kurte hon chhatiyon se hansli tak . Kharch karne ka aadi (sakhi) kharch karta hai to us ke tamam jism ko (woh kurta) chhupa leta hai ya (rawi ne yeh kaha ke) tamam jism par woh phail jata hai aur is ki ungliyan is mein chhup jati hai aur chalne mein is ke paaon ka nishan mitta jata hai . Lekin bukhil jab bhi kharch karne ka irada karta hai to is kurte ka har halqa apni jagah se chimat jata hai . Bukhil isay kushada karne ki koshish karta hai lekin woh kushada nahi ho paata . Abdullah bin Ta'oos ke saath is hadees ko Hasan bin Muslim ne bhi Ta'oos se riwayat kiya ‘ is mein do kurte hain .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1444
وقال حنظلة، عن طاوس، جنتان وقال الليث: حدثني جعفر، عن ابن هرمز، سمعت ابا هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم جنتان.
Aur Hanzalah ne Ta'oos se do zarhein naqal kiya hai aur Layth bin Saad ne kaha mujh se Jafar bin Rabiah ne byaan kiya ‘ unhon ne Abdul Rahman bin Hurmuz se suna kaha ke maine Abu Hurairah razi Allahu anhu se suna unhon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se phir yahi hadees byaan ki is mein do zarhein hain .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2917
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا وهيب، حدثنا ابن طاوس، عن ابيه، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" مثل البخيل والمتصدق مثل رجلين عليهما جبتان من حديد قد اضطرت ايديهما إلى تراقيهما، فكلما هم المتصدق بصدقته اتسعت عليه حتى تعفي اثره، وكلما هم البخيل بالصدقة انقبضت كل حلقة إلى صاحبتها وتقلصت عليه، وانضمت يداه إلى تراقيه، فسمع النبي صلى الله عليه وسلم، يقول: فيجتهد ان يوسعها، فلا تتسع".
Hum se Musa Bin Ismail ne bayan kiya, kaha hum se Wuhaib ne bayan kiya, kaha hum se Abdullah Bin Taous ne bayan kiya, un se un ke baap ne aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Bakheel (jo zakat nahi deta) aur zakat dene wale (sakhi) ki misal do aadmiyon jaisi hai, donon lohe ke kurte (zarah) pehne hue hain, donon ke hath gardan se bandhe hue hain zakat dene wala (sakhi) jab bhi zakat ka irada karta hai to us ka kurta itna kushada ho jata hai ke zameen par chalte mein ghasitta jata hai lekin jab bakheel sadaqah ka irada karta hai to us ki zarah ka ek ek halqa us ke badan par tang ho jata hai aur is tarah sukur jata hai ke us ke hath us ki gardan se jurr jate hain." Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko ye farmate suna "Phir bakheel ise dheela karna chahta hai lekin wo dheela nahi hota."
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5299
وقال الليث: حدثني جعفر بن ربيعة، عن عبد الرحمن بن هرمز، سمعت ابا هريرة، قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" مثل البخيل والمنفق كمثل رجلين عليهما جبتان من حديد من لدن ثدييهما إلى تراقيهما، فاما المنفق فلا ينفق شيئا إلا مادت على جلده حتى تجن بنانه وتعفو اثره، واما البخيل فلا يريد ينفق إلا لزمت كل حلقة موضعها فهو يوسعها فلا تتسع"، ويشير بإصبعه إلى حلقه.
Aur Layth ne byaan kiya ke in se Jafar bin Rabee ne byaan kiya , in se Abdur Rahman bin Hurmuz ne , unhon ne Abu Hurairah razi Allahu anhu se suna ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke bakheel aur sakhi ki misal do aadmiyon jaisi hai jin par lohe ki do zirahein seene se gardan tak hain . Sakhi jab bhi koi cheez kharch karta hai to zirah is ke chamray par dheeli ho jati hai aur is ke paon ki ungliyon tak pahunch jati hai (aur phail kar itni barh jati hai ke) is ke nishan e qadam ko mitati chalti hai lekin bakheel jab bhi kharch ka irada karta hai to is ki zirah ka har halqa apni apni jagah chimat jata hai , woh usay dheela karna chahta hai lekin woh dheela nahi hota . Is waqt Aap ne apni ungli se apne halaq ki taraf isharah kiya .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5797
حدثنا عبد الله بن محمد، حدثنا ابو عامر، حدثنا إبراهيم بن نافع، عن الحسن، عن طاوس، عن ابي هريرة، قال:" ضرب رسول الله صلى الله عليه وسلم مثل البخيل والمتصدق، كمثل رجلين عليهما جبتان من حديد، قد اضطرت ايديهما إلى ثديهما وتراقيهما، فجعل المتصدق كلما تصدق بصدقة انبسطت عنه حتى تغشى انامله، وتعفو اثره، وجعل البخيل كلما هم بصدقة قلصت واخذت كل حلقة بمكانها"، قال ابو هريرة: فانا رايت رسول الله صلى الله عليه وسلم، يقول: بإصبعه هكذا في جيبه فلو رايته يوسعها ولا تتوسع، تابعه ابن طاوس، عن ابيه، وابو الزناد، عن الاعرج، في الجبتين، وقال حنظلة، سمعت طاوسا، سمعت ابا هريرة يقول: جبتان، وقال جعفر بن حيان، عن الاعرج، جبتان.
Hum se Abdullah bin Muhammad ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Abu Aamir ne bayan kiya , kaha hum se Ibrahim bin Nafi ne bayan kiya , in se Imam Hasan Basri ne , in se Taoos ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne bakheel aur sadqa dene wale ki misal bayan kiya ke do aadmiyon jaisi hai jo lohe ke jubbe hath , seena aur halaq tak pehne huay hain . Sadqa dene wala jab bhi sadqa karta hai to is ke jubbe mein kushadgi ho jati hai aur woh is ki ungliyon tak barh jata hai aur qadam ke nishanat ko dhak leta hai aur bakheel jab bhi kabhi sadqa ka irada karta hai to is ka jubba usay aur chimat jata hai aur har halqa apni jagah par jam jata hai . Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke main ne dekha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam is tarah apni mubarak ungliyon se apne gureban ki taraf isharah kar ke bata rahe thay ke tum dekho ge ke woh is mein wusat paida karna chahe ga lekin wusat paida nahi ho gi . Is ki mutabia-t Ibn Taoos ne apne walid se ki hai aur Abu al-Zinad ne Aaraj se ki ”do jubbon“ ke zikr ke saath aur Hanzalah ne bayan kiya ke main ne Taoos se suna , unhon ne Abu Hurairah razi Allahu anhu se suna , unhon ne kaha «jub-bataan» aur Jafar ne Aaraj ke wasta se «jub-bataan» ka lafz bayan kiya hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة