الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الزَّكَاة
The Book of Zakat
بَابُ مَثَلِ الْمُتَصَدِّقِ وَالْبَخِيلِ:
Chapter. The examples of an alms-giver and a miser.
Hadith Number: 1443
حدثنا موسى، حدثنا وهيب، حدثنا ابن طاوس، عن ابيه، عن ابي هريرة رضي الله عنه , قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:"مثل البخيل , والمتصدق كمثل رجلين عليهما جبتان من حديد". وحدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، حدثنا ابو الزناد، ان عبد الرحمن حدثه، انه سمع ابا هريرة رضي الله عنه، انه سمع رسول الله صلى الله عليه وسلم , يقول:" مثل البخيل , والمنفق كمثل رجلين عليهما جبتان من حديد من ثديهما إلى تراقيهما، فاما المنفق فلا ينفق إلا سبغت او وفرت على جلده حتى تخفي بنانه وتعفو اثره، واما البخيل فلا يريد ان ينفق شيئا إلا لزقت كل حلقة مكانها فهو يوسعها ولا تتسع" تابعه الحسن بن مسلم، عن طاوس في الجبتين
Hum se Musa bin Ismail ne byaan kiya ‘ kaha ke hum se Wuhaib ne byaan kiya ‘ kaha ke hum se Abdullah bin Ta'oos ne byaan kiya ‘ un se un ke baap Ta'oos ne aur un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke bukhil aur sadqa dene wale ki misal aise do shakhson ki tarah hai jin ke badan par lohe ke do kurte hain . (Doosri sanad) Imam Bukhari rahmahu Allah ne kaha aur hum se Abul Yaman ne byaan kiya ‘ kaha ke humein Shuayb ne khabar di ‘ kaha ke humein Abul Zinad ne khabar di ke Abdullah bin Hurmuz Aaraj ne un se byaan kiya aur unhon ne Abu Hurairah razi Allahu anhu se suna aur Abu Hurairah razi Allahu anhu ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko yeh kehte suna ke bukhil aur kharch karne wale ki misal aise do shakhson ki si hai jin ke badan par lohe ke do kurte hon chhatiyon se hansli tak . Kharch karne ka aadi (sakhi) kharch karta hai to us ke tamam jism ko (woh kurta) chhupa leta hai ya (rawi ne yeh kaha ke) tamam jism par woh phail jata hai aur is ki ungliyan is mein chhup jati hai aur chalne mein is ke paaon ka nishan mitta jata hai . Lekin bukhil jab bhi kharch karne ka irada karta hai to is kurte ka har halqa apni jagah se chimat jata hai . Bukhil isay kushada karne ki koshish karta hai lekin woh kushada nahi ho paata . Abdullah bin Ta'oos ke saath is hadees ko Hasan bin Muslim ne bhi Ta'oos se riwayat kiya ‘ is mein do kurte hain .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1444
وقال حنظلة، عن طاوس، جنتان وقال الليث: حدثني جعفر، عن ابن هرمز، سمعت ابا هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم جنتان.
Aur Hanzalah ne Ta'oos se do zarhein naqal kiya hai aur Layth bin Saad ne kaha mujh se Jafar bin Rabiah ne byaan kiya ‘ unhon ne Abdul Rahman bin Hurmuz se suna kaha ke maine Abu Hurairah razi Allahu anhu se suna unhon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se phir yahi hadees byaan ki is mein do zarhein hain .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة