الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الأذان (صفة الصلوة)
Kitab: Azan ke masail ke bayan mein (Sifat-us-Salat)
باب الجهر بقراءة صلاة الفجر:
Bab: Fajr ki namaz mein buland awaaz se Quran Majeed parhna.
Show diacritics
Hadith Number: 774
حدثنا مسدد، قال: حدثنا إسماعيل، قال: حدثنا ايوب، عن عكرمة، عن ابن عباس، قال:" قرا النبي صلى الله عليه وسلم فيما امر وسكت فيما امر، وما كان ربك نسيا لقد كان لكم في رسول الله اسوة حسنة".
Ubaydullah bin Umar ne Thabit razi Allahu anhu se unhon ne Anas razi Allahu anhu se naql kiya ke Ansar mein se ek shakhs (Kulthoom bin Hidm) Quba ki masjid mein logon ki imamat kiya karta tha . Woh jab bhi koi surat (Surah Fatihah ke baad) shuru karta to pehle «Qul huwa Allahu ahad» parh leta . Phir koi doosri surat parhta . Har rakat mein us ka yahi amal tha . Us ke saathiyon ne us silsile mein us par itiraz kiya aur kaha ke tum pehle yeh surat parhte ho aur sirf isi ko kaafi khayal nahi karte balkay doosri surat bhi (us ke saath) zaroor parhte ho . Ya to tumhein sirf isi ko parhna chahiye warna isay chhor dena chahiye aur bajaye is ke koi doosri surat parhni chahiye . Us shakhs ne kaha ke main isay nahi chhor sakta ab agar tumhein pasand hai ke main tumhein namaaz parhaoon to barabar parhta rahoon ga warna main namaaz parhana chhor doon ga . Log samajhte thay ke yeh un sab se afzal hain is liye woh nahi chahte thay ke un ke ilawa koi aur shakhs namaaz parhaye . Jab Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam tashreef laye to un logon ne Aap ko waqia ki khabar di . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne un ko bula kar poocha ke aye falan! tumhare saathiyon jis tarah kehte hain us par amal karne se tum ko kaun si rukawat hai aur har rakat mein is surat ko zaroori qaraar de lene ka sabab kya hai . Unhon ne kaha ke ya Rasool Allah! main is surat se mohabbat rakhta hoon . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke is surat ki mohabbat tumhein jannat mein le jayegi .


تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Famous Name
Rank
Ahadith
عبد الله بن العباس القرشي، أبو العباسصحابي
عكرمة مولى ابن عباس، أبو مجالد، أبو عبد اللهثقة
أيوب السختياني، أبو عثمان، أبو بكرثقة ثبتت حجة
إسماعيل بن علية الأسدي، أبو بشرثقة حجة حافظ
مسدد بن مسرهد الأسدي، أبو الحسنثقة حافظ
Referencing of the Hadith:
Book Name
Number
Short Arabic Text
صحيح البخاري
774
قرأ النبي فيما أمر وسكت فيما أمر وما كان ربك نسيا لقد كان لكم في رسول الله أسوة حسنة