الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الاعتصام بالكتاب والسنة
Kitab: Allah aur Sunnat-e-Rasool (S.A.W) ko mazbooti se thame rehna
باب الحجة على من قال إن أحكام النبى صلى الله عليه وسلم كانت ظاهرة:
Is shakhs ka radd jo yeh samajhta hai ke Nabi Karim Sallallahu alaihi wasallam ke tamam ahkaam har ek Sahaabi ko maloom rehte the.
Show diacritics
Hadith Number: Q7353
وما كان يغيب بعضهم من مشاهد النبي صلى الله عليه وسلم وامور الإسلام.
Is baab mein yeh bhi bayan hai ke bahut se sahabah Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ke paas se gayab rehte thay aur un ko Islam ki kai baton ki khabar na hoti thi.


تخریج الحدیث:
Show diacritics
Hadith Number: 7353
حدثنا مسدد، حدثنا يحيى، عن ابن جريج، حدثني عطاء، عن عبيد بن عمير، قال:" استاذن ابو موسى على عمر فكانه وجده مشغولا، فرجع، فقال عمر: الم اسمع صوت عبد الله بن قيس ائذنوا له فدعي له، فقال: ما حملك على ما صنعت، فقال: إنا كنا نؤمر بهذا، قال: فاتني على هذا ببينة او لافعلن بك، فانطلق إلى مجلس من الانصار، فقالوا: لا يشهد إلا اصاغرنا فقام ابو سعيد الخدري، فقال: قد كنا نؤمر بهذا، فقال عمر: خفي علي هذا من امر النبي صلى الله عليه وسلم الهاني الصفق بالاسواق".
`Hum se Masaddad bin Masarhad ne bayan kiya, kaha hum se Yahya bin Saeed Qattan ne bayan kiya, un se Ibn Jurayj ne, un se Ata bin Abi Rabah ne, un se Ubaid bin Umair ne bayan kiya ke Abu Musa Ash'ari Radi Allahu Anhu ne Umar Radi Allahu Anhu se (milne ki) ijazat chahi aur yeh dekh kar ke Umar Radi Allahu Anhu mashgool hain aap jaldi se wapas chale gaye. Phir Umar Radi Allahu Anhu ne kaha ke kya mein ne abhi Abdullah bin Qais (Abu Musa Radi Allahu Anhu) ki aawaz nahi suni thi? Unhein bula lo. Chunancha unhein bulaya gaya to Umar Radi Allahu Anhu ne poocha ke aisa kyun kiya? (jaldi wapas ho gaye) Unhon ne kaha ke humein hadees mein is ka hukm diya gaya hai. Umar Radi Allahu Anhu ne kaha ke is hadees par koi gawah lao, warna mein tumhare saath yeh (sakhti) karoon ga. Chunancha Abu Musa Radi Allahu Anhu Ansar ki ek majlis mein gaye unhon ne kaha ke is ki gawahi hum mein sab se chhota de sakta hai. Chunancha Abu Said Khudri Radi Allahu Anhu khade hue aur kaha ke humein darbar-e-nabwi se is ka hukm diya jata tha. Is par Umar Radi Allahu Anhu ne kaha ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ka yeh hukm mujhe maloom nahi tha, mujhe bazaar ke kaamon khareed o farokht ne is hadees se gafil rakkha.


تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Famous Name
Rank
Ahadith
أبو سعيد الخدري، أبو سعيدصحابي
عبد الله بن قيس الأشعري، أبو موسىصحابي
عبيد بن عمير الجندعي، أبو عاصمثقة
عطاء بن أبي رباح القرشي، أبو محمدثبت رضي حجة إمام كبير الشأن
ابن جريج المكي، أبو خالد، أبو الوليدثقة
يحيى بن سعيد القطان، أبو سعيدثقة متقن حافظ إمام قدوة
مسدد بن مسرهد الأسدي، أبو الحسنثقة حافظ
Referencing of the Hadith:
Book Name
Number
Short Arabic Text
صحيح البخاري
7353
ألهاني الصفق بالأسواق