الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الأدب
Kitab: Akhlaq ke bayan mein
باب قول الرجل للرجل اخسأ:
Kisi ka kisi ko yun kehna chal door ho.
Hadith Number: 6175
قال سالم: قال عبد الله: قام رسول الله صلى الله عليه وسلم في الناس فاثنى على الله بما هو اهله، ثم ذكر الدجال: فقال:" إني انذركموه، وما من نبي إلا وقد انذره قومه لقد انذره نوح قومه، ولكني ساقول لكم فيه قولا لم يقله نبي لقومه، تعلمون انه اعور وان الله ليس باعور" قال ابو عبد الله: خسات الكلب، بعدته خاسئين مبعدين.
Salim ne bayan kiya ke Abdullah ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam logon ke majma mein kharay huay aur Allah ki is ki shaan ke mutabiq tareef karne ke baad Aap salla Allahu alaihi wasallam ne Dajjal ka zikr kiya aur farmaya ke main tumhein is se darata hoon. Koi Nabi aisa nahi guzra jis ne apni qaum ko is se na daraya ho. Nooh alaihissalam ne apni qaum ko is se daraya lekin main is ki tumhein ek aaisi nishani bataoon ga jo kisi Nabi ne apni qaum ko nahi batayi tum jaante ho ke woh kaana ho ga aur Allah kaana nahi hai.
تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة