الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الأدب
Kitab: Akhlaq ke bayan mein
باب قول النبى صلى الله عليه وسلم: يسروا ولا تعسروا :
Nabi Karim Sallallahu alaihi wasallam ka farmaan ke aasani karo, sakhti na karo.
Hadith Number: 6127
حدثنا ابو النعمان، حدثنا حماد بن زيد، عن الازرق بن قيس، قال:" كنا على شاطئ نهر بالاهواز قد نضب عنه الماء، فجاء ابو برزة الاسلمي على فرس فصلى وخلى فرسه، فانطلقت الفرس فترك صلاته وتبعها حتى ادركها فاخذها، ثم جاء فقضى صلاته، وفينا رجل له راي، فاقبل يقول: انظروا إلى هذا الشيخ ترك صلاته من اجل فرس، فاقبل فقال: ما عنفني احد منذ فارقت رسول الله صلى الله عليه وسلم، وقال: إن منزلي متراخ فلو صليت وتركته لم آت اهلي إلى الليل، وذكر انه قد صحب النبي صلى الله عليه وسلم فراى من تيسيره".
Hum se Abu al-Nu-man bin Muhammad bin Fadl Sadoosi ne bayan kiya, kaha hum se Hammad bin Zayd ne bayan kiya, in se Azraq bin Qays ne ke Ahwaaz naami Irani shehar mein hum ek nehar ke kinare thay jo khushk pari ku, phir Abu Barzah Aslami sahabi ghore par tashreef laaye aur namaz parhi aur ghora chhorr diya. Ghora bhaagne laga to Aap ne namaz torr di aur is ka peecha kiya, aakhir is ke qareeb pahunche aur usay pakar liya. Phir wapas aa kar namaz qaza ki, wahan ek shakhs Khariji thu, woh kehne laga ke is burhay ko dekho is ne ghore ke liye namaz torr daali. Abu Barzah Aslami razi Allahu anhu namaz se farigh ho kar aaye aur kaha jab se main Rasool Allahsalla Allahu alaihi wasallam se juda hua hoon, kisi ne mujhko malamat nahi ki aur unhon ne kaha ke mera ghar yahan se door hai, agar main namaz parhta rehta aur ghore ko bhaagne deta to apne ghar raat tak bhi na pahunch paata aur unhon ne bayan kiya ke woh Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki suhbat mein rahe hain aur main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko aasaan suraton ko ikhtiyar karte dekha hai.
تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Famous Name | Rank | Ahadith |
|---|---|---|
| نضلة بن عمرو الأسلمي، أبو برزة | صحابي | |
| الأزرق بن قيس الحارثي | ثقة | |
| حماد بن زيد الأزدي، أبو إسماعيل | ثقة ثبت فقيه إمام كبير مشهور | |
| محمد بن الفضل السدوسي، أبو النعمان | ثقة ثبت تغير في آخر عمره |