الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب مواقيت الصلاة
Kitab: Auqat-e-namaz ke bayan mein
باب النوم قبل العشاء لمن غلب:
Bab: Agar neend ka ghalba ho jaye to isha se pehle bhi sona durust hai.
Show diacritics
Hadith Number: 571
وقال سمعت ابن عباس، يقول: اعتم رسول الله صلى الله عليه وسلم ليلة بالعشاء حتى رقد الناس واستيقظوا ورقدوا واستيقظوا، فقام عمر بن الخطاب، فقال: الصلاة، قال عطاء: قال ابن عباس: فخرج نبي الله صلى الله عليه وسلم كاني انظر إليه الآن يقطر راسه ماء واضعا يده على راسه، فقال: لولا ان اشق على امتي لامرتهم ان يصلوها هكذا، فاستثبت عطاء كيف وضع النبي صلى الله عليه وسلم على راسه يده كما انباه ابن عباس؟ فبدد لي عطاء بين اصابعه شيئا من تبديد، ثم وضع اطراف اصابعه على قرن الراس، ثم ضمها يمرها كذلك على الراس حتى مست إبهامه طرف الاذن مما يلي الوجه على الصدغ، وناحية اللحية لا يقصر ولا يبطش إلا كذلك، وقال: لولا ان اشق على امتي لامرتهم ان يصلوا هكذا.
To unhon ne farmaya ke mein ne Abdullah bin Abbas raziyallahu anhuma se suna tha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ne ek raat isha ki namaz mein der ki jis ke nateeje mein log masjid hi mein so gaye . Phir bedar hue phir so gaye phir bedar hue . Aakhir mein Umar bin Khattab raziyallahu anhu uthe aur pukara namaz Ata ne kaha ke Ibn Abbas raziyallahu anhuma ne batlaya ke is ke baad Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ghar se tashreef laye . Woh manzar meri nigahon ke samne hai jab ke aap salla Allahu alaihi wa sallam ke sar mubarak se pani ke qatre tapak rahe thay aur aap hath sar par rakhe hue thay . Aap ne farmaya ke agar meri ummat ke liye mushkil na ho jati , to mein unhein hukm deta ke isha ki namaz ko isi waqt parhen . Mein ne Ata se mazeed tahqeeq chahi ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ke hath sar par rakhne ki kaifiyat kya thi ? Ibn Abbas raziyallahu anhuma ne unhein is silsile mein kis tarah khabar di thi . Is par Ata ne apne hath ki ungliyan thori si khol di aur unhein sar ke ek kinare par rakha phir unhein mila kar yun sar par pherne lage ke un ka angutha kaan ke is kinare se jo chehre se qareeb hai aur darhi se ja laga . Na susti ki aur na jaldi , balkay is tarah kiya aur kaha ke phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ne farmaya ke agar meri ummat par mushkil na guzarti to mein hukm deta ke is namaz ko isi waqt parha karen .


تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Famous Name
Rank
Ahadith
عبد الله بن العباس القرشي، أبو العباسصحابي
عطاء بن أبي رباح القرشي، أبو محمدثبت رضي حجة إمام كبير الشأن
عبد الله بن العباس القرشي، أبو العباسصحابي