الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب النفقات
Kitab: Kharcha dene ke bayan mein
باب نفقة المرأة إذا غاب عنها زوجها ونفقة الولد:
Kisi aurat ka shauhar agar ghaib ho to us ki aurat kyun kar kharch kare aur aulaad ke kharch ka bayaan.
Hadith Number: Q5359
وقال يونس: عن الزهري،" نهى الله ان تضار والدة بولدها وذلك ان تقول الوالدة لست مرضعته وهي امثل له غذاء واشفق عليه وارفق به من غيرها، فليس لها ان تابى بعد ان يعطيها من نفسه ما جعل الله عليه وليس للمولود له ان يضار بولده والدته، فيمنعها ان ترضعه ضرارا لها إلى غيرها فلا جناح عليهما ان يسترضعا عن طيب نفس الوالد والوالدة، فإن ارادا فصالا عن تراض منهما وتشاور فلا جناح عليهما بعد ان يكون ذلك عن تراض منهما وتشاور فصاله فطامه".
Aur Allah Ta'ala ka farman «wal-waalidaatu yurdi'na auladahunna haulayni kaamilayni liman araada ay-yutimmar-rada-ata» ”aur maayein apne bachon ko doodh pilayein poore do saal (yeh muddat) is ke liye hai jo doodh ki muddat poori karna chahe .“ Se irshad «bima ta'maloona baseer-un» tak . Aur Surah al-Ahqaf mein farmaya «wa hamluhu wa fisaaluhu salaasoona shahran» ”aur is ka hamal aur is ka doodh chhorna tees mahinon mein hota hai .“ Aur Surah at-Talaq mein farmaya «wa in ta'aasartum fasaturdi'u lahu ukhra * liyunfiq zhoo sa'atim min sa'atihi wa man qudira alayhi rizquhu» ke ”aur agar tum miyan biwi aapas mein zidd karo ge to bache ko doodh koi doosri aurat pilaye gi . Wusat wale ko kharch doodh pilane ke liye apni wusat ke mutabiq karna chahiye aur jis ki amdani kam ho usay chahiye ke usay Allah ne jitna diya ho is mein kharch kare .“ Allah Ta'ala ke irshad «ba'da usrin yusran» tak aur Yunus ne Zuhri se byaan kiya ke Allah Ta'ala ne is se mana kiya hai ke maan is ke bache ki wajah se baap ko takleef pahunchaye aur is ki surat yeh hai maslan ke maan keh de ke main isay doodh nahi pilaoon gi haalan ke is ki ghiza bache ke zyada muwafiq hai . Woh bache par zyada meherban hoti hai aur doosre ke muqabla mein bache ke saath woh zyada lutf o narmi kar sakti hai . Is liye is ke liye jaiz nahi ke woh bache ko doodh pilane se is waqt bhi inkar kar de jabke bache ka walid usay (naan nafaqa mein) apni taraf se woh sab kuch dene ko tayyar ho jo Allah ne is par farz kiya hai . Isi tarah farmaya ke baap apne bache ki wajah se maan ko nuqsan na pahunchaye . Is ki surat yeh hai maslan baap maan ko doodh pilane se roke aur khwah-makhwah kisi doosri aurat ko doodh pilane ke liye muqarrar kare . Albatta agar maan aur baap apni khushi se kisi doosri aurat ko doodh pilane ke liye muqarrar karein to donon par kuch gunah na ho ga aur agar woh walid aur walda donon apni raza-mandi aur mashwara se bache ka doodh chhrana chahein to phir un par kuch gunah na ho ga (go abhi muddat e rukhsat baqi ho) «fisaalun» ke maani doodh chhorana .
تخریج الحدیث:
Hadith Number: 5359
حدثنا ابن مقاتل، اخبرنا عبد الله، اخبرنا يونس، عن ابن شهاب، اخبرني عروة، ان عائشة رضي الله عنها، قالت:" جاءت هند بنت عتبة، فقالت: يا رسول الله، إن ابا سفيان رجل مسيك، فهل علي حرج ان اطعم من الذي له عيالنا؟ قال: لا، إلا بالمعروف".
Hum se Muhammad bin Muqatil ne byaan kiya , kaha hum ko Abdullah bin Mubarak ne khabar di , unhein Yunus bin Yazid ne , unhein Ibn Shihab ne , unhein Urwah ne khabar di aur in se Aisha razi Allahu anha ne byaan kiya ke Hind bint Utbah razi Allahu anha hazir huien aur arz kiya: ya Rasool Allah! Abu Sufyan (in ke shohar) bahut bakheel hain , to kiya meere liye is mein koi gunah hai agar main in ke maal mein se (is ke peeth peeche) apne bachon ko khilaoon ? Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke nahi , lekin dastoor ke mutabiq hona chahiye .
تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Famous Name | Rank | Ahadith |
|---|---|---|
| عائشة بنت أبي بكر الصديق، أم عبد الله | صحابي | |
| عروة بن الزبير الأسدي، أبو عبد الله | ثقة فقيه مشهور | |
| محمد بن شهاب الزهري، أبو بكر | الفقيه الحافظ متفق على جلالته وإتقانه | |
| يونس بن يزيد الأيلي، أبو يزيد، أبو بكر | ثقة | |
| عبد الله بن المبارك الحنظلي، أبو عبد الرحمن | ثقة ثبت فقيه عالم جواد مجاهد جمعت فيه خصال الخير | |
| محمد بن مقاتل المروزي، أبو الحسن | ثقة |
Referencing of the Hadith:
Book Name | Number | Short Arabic Text |
|---|---|---|
صحيح البخاري |
5370
| خذي بالمعروف |
صحيح البخاري |
7180
| خذي ما يكفيك وولدك بالمعروف |
صحيح البخاري |
2460
| لا حرج عليك أن تطعميهم بالمعروف |
صحيح البخاري |
7161
| لا حرج عليك أن تطعميهم من معروف |
صحيح البخاري |
5364
| خذي ما يكفيك وولدك بالمعروف |
صحيح البخاري |
5359
| لا إلا بالمعروف |
صحيح البخاري |
2211
| خذي أنت وبنوك ما يكفيك بالمعروف |
سنن أبي داود | 3532 | خذي ما يكفيك وبنيك بالمعروف |
سنن أبي داود | 3533 | لا حرج عليك أن تنفقي بالمعروف |
سنن النسائى الصغرى | 5422 | خذي ما يكفيك وولدك بالمعروف |
سنن ابن ماجه | 2293 | خذي ما يكفيك وولدك بالمعروف |
بلوغ المرام | 975 | خذي من ماله بالمعروف ما يكفيك ويكفي بنيك |
مسندالحميدي | 244 | خذي ما يكفيك وولدك بالمعروف |