الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الطلاق
Kitab: Talaq ke masail ka bayan
باب: {وبعولتهن أحق بردهن} :
Bab: Aur Allah ka Surah Al-Baqarah mein ye farmana ke iddat ke andar auraton ke khandaan ke zyada haqdaar hain yani rujoo’ kar ke.
Show diacritics
Hadith Number: 5331
وحدثني محمد بن المثنى، حدثنا عبد الاعلى، حدثنا سعيد، عن قتادة، حدثنا الحسن،" ان معقل بن يسار كانت اخته تحت رجل، فطلقها، ثم خلى عنها حتى انقضت عدتها، ثم خطبها، فحمي معقل من ذلك انفا، فقال: خلى عنها وهو يقدر عليها، ثم يخطبها، فحال بينه وبينها، فانزل الله: وإذا طلقتم النساء فبلغن اجلهن فلا تعضلوهن سورة البقرة آية 232 إلى آخر الآية، فدعاه رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقرا عليه، فترك الحمية واستقاد لامر الله".
Mujh se Muhammad bin Musanna ne byaan kiya , kaha hum se Abd-ul-A'la ne byaan kiya , kaha hum se Saeed bin Abi Aroobah ne , in se Qatadah ne , kaha hum se Imam Hasan Basri ne byaan kiya ke Maqal bin Yasar razi Allahu anhu ki behen ek aadmi ke nikah mein thien , phir unhon ne unhein talaq de di , is ke baad unhon ne tanhayi mein iddat guzari . Iddat ke din jab khatam ho gaye to in ke pehle shohar ne hi phir Maqal razi Allahu anhu ke paas in ke liye nikah ka paigham bheja . Maqal ko is par bari ghairat aayi . Unhon ne kaha jab woh iddat guzar rahi thi to usay is par quwwat thi (ke dauran e iddat mein ruju kar lein lekin aisa nahi kiya) aur ab meere paas nikah ka paigham bhejta hai . Chunanche woh in ke aur apni behen ke darmiyan mein haail ho gaye . Is par yeh aayat nazil hui «wa izha tallaqtum-un-nisa'a fabalaghna ajala-hunna fala tazuloohunna» ”aur jab tum apni auraton ko talaq de chuko aur woh apni muddat ko pahunch chukein to tum unhein mat roko .“ Aakhir aayat tak phir Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne unhein bula kar yeh aayat sunayi to unhon ne zidd chhor di aur Allah ke hukm ke samne jhuk gaye .


تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Famous Name
Rank
Ahadith
الحسن البصري، أبو سعيدثقة يرسل كثيرا ويدلس
قتادة بن دعامة السدوسي، أبو الخطابثقة ثبت مشهور بالتدليس
سعيد بن أبي عروبة العدوي، أبو النضرثقة حافظ
عبد الأعلى بن عبد الأعلى القرشي، أبو محمدثقة
محمد بن المثنى العنزي، أبو موسىثقة ثبت
Referencing of the Hadith:
Book Name
Number
Short Arabic Text
صحيح البخاري
5331
دعاه رسول الله فقرأ عليه فترك الحمية واستقاد لأمر الله