الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الطلاق
Kitab: Talaq ke masail ka bayan
باب الطلاق فى الإغلاق:
Bab: Zabardasti aur jabran talaq dene ka hukm.
Show diacritics
Hadith Number: Q5269-3
وقول الله تعالى: يايها الذين آمنوا إذا نكحتم المؤمنات ثم طلقتموهن من قبل ان تمسوهن فما لكم عليهن من عدة تعتدونها فمتعوهن وسرحوهن سراحا جميلا سورة الاحزاب آية 49. وقال ابن عباس:" جعل الله الطلاق بعد النكاح"، ويروى في ذلك عن علي وسعيد بن المسيب وعروة بن الزبير وابي بكر بن عبد الرحمن وعبيد الله بن عبد الله بن عتبة وابان بن عثمان وعلي بن حسين وشريح وسعيد بن جبير والقاسم وسالم وطاوس والحسن وعكرمة وعطاء وعامر بن سعد وجابر بن زيد ونافع بن جبير ومحمد بن كعب وسليمان بن يسار ومجاهد والقاسم بن عبد الرحمن وعمرو بن هرم والشعبي: انها لا تطلق.
Aur Allah Ta'ala ne (Surah al-Ahzab mein) farmaya «ya ayyuhal-lazhina aamanu izha nakahtum-ul-mu'minaati summa tallaqtumoohunna min qabli an tamassoohunna fama lakum alayhinna min iddatin t-tadoonaha famat-ti-oohunna wa sarrihoohunna saraahan jameelan» ”Ae Iman walon! Jab tum momin auraton se nikah karo phir tum unhein talaq de do . Qabal is ke ke tum ne unhein hath lagaya ho to ab un par koi iddat zaroori nahi hai jise tum shumar karne lago to un ke saath achha sulook kar ke achhi tarah rukhwat kar do .“ Aur Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha ke Allah Ta'ala ne talaq ko nikah ke baad rakkha hai . (is ko Imam Ahmad aur Baihaqi aur Ibn Khuzaima ne nikala) aur is silsile mein Ali razi Allahu anhu , Saeed bin Musayyab , Urwah bin Zubayr , Abu Bakr bin Abdur Rahman , Ubaidullah bin Abdullah bin Utbah , Aban bin Usman , Ali bin Husain , Shuraih , Saeed bin Jubayr , Qasim , Salim , Taoos , Hasan , Ikrimah , Ata , Aamir bin Saad , Jabir bin Zayd , Nafi bin Jubayr , Muhammad bin Kabb , Sulayman bin Kabb , Sulayman bin Yasar , Mujahid , Qasim bin Abdur Rahman , Amr bin Hazm aur Shabi rahmahullah alaihim in sab buzurgon se aaisi hi riwayatein aayi hain . Sab ne yahi kaha hai ke talaq nahi pare gi .


تخریج الحدیث:
Show diacritics
Hadith Number: Q5269-2
قال النبي صلى الله عليه وسلم:" قال إبراهيم لسارة: هذه اختي وذلك في ذات الله عز وجل".
Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Ibrahim alaihissalam ne apni biwi Sarah ko kaha ke yeh meri behen hai (yani Allah ki raah mein deeni behen) .


تخریج الحدیث:
Show diacritics
Hadith Number: Q5269
والكره والسكران والمجنون وامرهما، والغلط والنسيان في الطلاق والشرك وغيره، لقول النبي صلى الله عليه وسلم: «الاعمال بالنية ولكل امرئ ما نوى» . وتلا الشعبي: {لا تؤاخذنا إن نسينا او اخطانا} وما لا يجوز من إقرار الموسوس. وقال النبي صلى الله عليه وسلم للذي اقر على نفسه: «ابك جنون» . وقال علي بقر حمزة خواصر شارفي، فطفق النبي صلى الله عليه وسلم يلوم حمزة، فإذا حمزة قد ثمل محمرة عيناه، ثم قال حمزة هل انتم إلا عبيد لابي فعرف النبي صلى الله عليه وسلم انه قد ثمل، فخرج وخرجنا معه، وقال عثمان ليس لمجنون ولا لسكران طلاق. وقال ابن عباس طلاق السكران والمستكره ليس بجائز. وقال عقبة بن عامر لا يجوز طلاق الموسوس. وقال عطاء إذا بدا بالطلاق فله شرطه. وقال نافع طلق رجل امراته البتة إن خرجت، فقال ابن عمر إن خرجت فقد بتت منه، وإن لم تخرج فليس بشيء. وقال الزهري فيمن قال إن لم افعل كذا وكذا فامراتي طالق ثلاثا يسئل عما قال، وعقد عليه قلبه، حين حلف بتلك اليمين، فإن سمى اجلا اراده وعقد عليه قلبه حين حلف، جعل ذلك في دينه وامانته. وقال إبراهيم إن قال لا حاجة لي فيك. نيته، وطلاق كل قوم بلسانهم. وقال قتادة إذا قال إذا حملت فانت طالق. ثلاثا، يغشاها عند كل طهر مرة، فإن استبان حملها فقد بانت. وقال الحسن إذا قال الحقي باهلك. نيته. وقال ابن عباس الطلاق عن وطر، والعتاق ما اريد به وجه الله. وقال الزهري إن قال ما انت بامراتي. نيته، وإن نوى طلاقا فهو ما نوى. وقال علي الم تعلم ان القلم رفع عن ثلاثة عن المجنون حتى يفيق، وعن الصبي حتى يدرك، وعن النائم حتى يستيقظ. وقال علي وكل الطلاق جائز إلا طلاق المعتوه.
Isi tarah nasha ya junoon mein donon ka hukm ek hona , isi tarah bhool chook se talaq dena ya bhool chook se koi shirk (baazon ne yahan lafz waashka naqal kiya hai jo zyada qareen e qiyas hai) ka hukm nikaal baithna ya shirk ka koi kaam karna kyunke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke tamam kaam niyat sahih par hote hain aur har ek aadmi ko wahi mile ga jo niyat kare aur Aamir Shabi ne yeh aayat parhi «la tu'aakhizhna in naseena au akhta'na» aur is baab mein yeh bhi byaan hai ke waswasi aur majnoon aadmi ka iqrar sahih nahi hai kyunke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne is shakhs se farmaya jo zina ka iqrar kar raha tha . Kahin tujhko junoon to nahi hai aur Ali razi Allahu anhu ne kaha Janab e Ameer Hamzah ne meri oontniyon ke pait phaar daale (un ke gosht ke kabab banaye) Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne un ko malamat karni shuru ki phir Aap ne dekha ke woh nasha mein choor hain . Un ki aankhein surkh hain . Unhon ne (nashe ki halat mein) yeh jawab diya tum sab kiya meere baap ke ghulam nahi ho ? Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne pehchan liya ke woh bilkul nashe mein choor hain , Aap nikal kar chale aaye , hum bhi Aap ke saath nikal kharay huay . Aur Usman razi Allahu anhu ne kaha majnoon aur nashe wale ki talaq nahi pare gi (usay Ibn Abi Shaybah ne wasl kiya) . Aur Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha nashe aur zabardasti ki talaq nahi pare gi (is ko Saeed bin Mansoor aur Ibn Abi Shaybah ne wasl kiya) . Aur Uqbah bin Aamir Juhani sahabi razi Allahu anhu ne kaha agar talaq ka waswasa dilli mein aaye to jab tak zaban se na nikale talaq nahi pare gi . Aur Ata bin Abi Rabah ne kaha agar kisi ne pehle ( «anti taaliqun») kaha is ke baad shart lagayi ke agar tu ghar mein gayi to shart ke mutabiq talaq par jaye gi . Aur Nafi ne Ibn Umar razi Allahu anhuma se poocha agar kisi ne apni aurat se yun kaha tujhko talaq e baain hai agar tu ghar se nikli phir woh nikal khari hui to kiya hukm hai . Unhon ne kaha aurat par talaq e baain par jaye gi . Agar na nikle to talaq nahi pare gi aur Ibn Shihab Zuhri ne kaha (usay Abdur Razzaq ne nikala) . Agar koi mard yun kahe main aisa aisa na karoon to meri aurat par teen talaq hain . Is ke baad yun kahe jab main ne kaha tha to ek muddat muayyan ki niyat ki ku (yani ek saal ya do saal mein ya ek din ya do din mein) ab agar is ne aaisi hi niyat ki ku to muamla is ke aur Allah ke darmiyan rahe ga (woh jaane is ka kaam jaane) . Aur Ibrahim Nakhai ne kaha (usay Ibn Abi Shaybah ne nikala) agar koi apni joru se yun kahe ab mujhko teri zaroorat nahi hai to is ki niyat par madaar rahe ga . Aur Ibrahim Nakhai ne yeh bhi kaha ke doosri zaban walon ki talaq apni apni zaban mein ho gi . Aur Qatadah ne kaha agar koi apni aurat se yun kahe jab tujhko pait reh jaye to tujh par teen talaq hain is ko lazim hai ke har tuhr par aurat se ek baar sohbat kare aur jab maloom ho jaye ke is ko pait reh gaya , isi waqt woh mard se juda ho jaye gi . Aur Imam Hasan Basri ne kaha agar koi apni aurat se kaha ja apne maike chali ja aur talaq ki niyat ki to talaq par jaye gi . Aur Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha talaq to (majboori se) di jati hai zaroorat ke waqt aur ghulam ko aazad karna Allah ki raza-mandi ke liye hota hai . Aur Ibn Shihab Zuhri ne kaha agar kisi ne apni aurat se kaha tu meri joru nahi hai . Aur is ki niyat talaq ki thi to talaq par jaye gi aur Ali razi Allahu anhu ne farmaya (jise Baghwi ne Jadiyat mein wasl kiya) Umar! kiya tum ko yeh maloom nahi hai ke teen aadmi marfoo-ul-qalam hain (yani un ke aamal nahi likhe jaate) ek to pagal jab tak woh tandurust na ho , doosre bacha jab tak woh jawan na ho , teesre sone wala jab talak woh bedar na ho . Aur Ali razi Allahu anhu ne yeh bhi farmaya ke har ek ki talaq par jaye gi magar nadan , be-waqoof (jaise deewana , na-baligh , nasha mein mast waghaira) ki talaq nahi pare gi .


تخریج الحدیث:
Show diacritics
Hadith Number: 5269
حدثنا مسلم بن إبراهيم، حدثنا هشام، حدثنا قتادة، عن زرارة بن اوفى، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" إن الله تجاوز عن امتي ما حدثت به انفسها ما لم تعمل او تتكلم". قال قتادة: إذا طلق في نفسه، فليس بشيء.
Hum se Muslim bin Ibrahim ne byaan kiya , kaha hum se Hisham bin Urwah ne byaan kiya , kaha hum se Qatadah ne byaan kiya , in se Zurarah bin Aufa ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Allah Ta'ala ne meri ummat ko khayalaat e fasida ki had tak maaf kiya hai , jab tak ke is par amal na kare ya usay zaban se ada na kare . Qatadah rahmahullah ne kaha ke agar kisi ne apne dilli mein talaq de di to is ka itibar nahi ho ga jab tak zaban se na kahe .


تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Famous Name
Rank
Ahadith
أبو هريرة الدوسيصحابي
زرارة بن أوفى العامري، أبو حاجبثقة
قتادة بن دعامة السدوسي، أبو الخطابثقة ثبت مشهور بالتدليس
هشام بن أبي عبد الله الدستوائي، أبو بكرثقة ثبت وقد رمي بالقدر
مسلم بن إبراهيم الفراهيدي، أبو عمروثقة مأمون
Referencing of the Hadith:
Book Name
Number
Short Arabic Text
صحيح البخاري
6664
الله تجاوز لأمتي عما وسوست أو حدثت به أنفسها ما لم تعمل به أو تكلم
صحيح البخاري
5269
تجاوز عن أمتي ما حدثت به أنفسها ما لم تعمل أو تتكلم
صحيح البخاري
2528
الله تجاوز لي عن أمتي ما وسوست به صدورها ما لم تعمل أو تكلم
صحيح مسلم
332
الله تجاوز لأمتي عما حدثت به أنفسها ما لم تعمل أو تكلم به
صحيح مسلم
331
الله تجاوز لأمتي ما حدثت به أنفسها ما لم يتكلموا أو يعملوا به
جامع الترمذي
1183
تجاوز الله لأمتي ما حدثت به أنفسها ما لم تكلم به أو تعمل به
سنن أبي داود
2209
تجاوز لأمتي عما لم تتكلم به أو تعمل به وبما حدثت به أنفسها
سنن النسائى الصغرى
3465
الله تجاوز لأمتي عما حدثت به أنفسها ما لم تكلم أو تعمل به
سنن النسائى الصغرى
3463
الله تجاوز عن أمتي كل شيء حدثت به أنفسها ما لم تكلم به أو تعمل
سنن النسائى الصغرى
3464
الله تجاوز لأمتي ما وسوست به وحدثت به أنفسها ما لم تعمل أو تتكلم به
سنن ابن ماجه
2040
الله تجاوز لأمتي عما حدثت به أنفسها ما لم تعمل به أو تكلم به
سنن ابن ماجه
2044
الله تجاوز لأمتي عما توسوس به صدورها ما لم تعمل به أو تتكلم به ما استكرهوا عليه
مشكوة المصابيح
63
إن الله تعالى تجاوز عن امتي ما وسوست به صدورها ما لم تعمل به او تتكلم
مسند اسحاق بن راهويه
20
الله تجاوز عن أمتي ما حدثت به أنفسها ما لم تعمله أو تكلم به
مسند اسحاق بن راهويه
21
الله تجاوز عن أمتي ما حدثت به أنفسها ما لم تعمله أو تكلم به
مسند اسحاق بن راهويه
22
الله عفا عن أمتي ما حدثت به أنفسها ما لم تعمله أو تكلم به
بلوغ المرام
921
إن الله تعالى تجاوز عن أمتي ما حدثت به أنفسها ما لم تعمل أو تكلم
مسندالحميدي
1207
إن الله عز وجل تجاوز عن أمتي ما وسوست في صدورها، ما لم تعمل، أو تكلم