الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب النكاح
Kitab: Nikah ke masail ka bayan
باب الغيرة:
Bab: Ghayrat ka bayan.
Show diacritics
Hadith Number: 5224
حدثنا محمود، حدثنا ابو اسامة، حدثنا هشام، قال: اخبرني ابي، عن اسماء بنت ابي بكر رضي الله عنهما، قالت:" تزوجني الزبير وما له في الارض من مال ولا مملوك ولا شيء غير ناضح وغير فرسه، فكنت اعلف فرسه واستقي الماء واخرز غربه واعجن، ولم اكن احسن اخبز، وكان يخبز جارات لي من الانصار وكن نسوة صدق وكنت انقل النوى من ارض الزبير التي اقطعه رسول الله صلى الله عليه وسلم على راسي وهي مني على ثلثي، فرسخ، فجئت يوما والنوى على راسي، فلقيت رسول الله صلى الله عليه وسلم ومعه نفر من الانصار، فدعاني، ثم قال: إخ إخ، ليحملني خلفه فاستحييت ان اسير مع الرجال وذكرت الزبير وغيرته وكان اغير الناس، فعرف رسول الله صلى الله عليه وسلم اني قد استحييت، فمضى، فجئت الزبير، فقلت: لقيني رسول الله صلى الله عليه وسلم وعلى راسي النوى ومعه نفر من اصحابه، فاناخ لاركب فاستحييت منه وعرفت غيرتك، فقال: والله لحملك النوى كان اشد علي من ركوبك معه، قالت: حتى ارسل إلي ابو بكر بعد ذلك بخادم يكفيني سياسة الفرس فكانما اعتقني".
Hum se Mahmood bin Ghailan ne byaan kiya, kaha hum se Abu Usamah ne byaan kiya, kaha hum se Hisham bin Urwah ne byaan kiya, kaha ke mujhe mere walid ne khabar di aur un se Asmaa bint Abi Bakr razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke Zubayr razi Allahu anhu ne mujh se shadi ki to un ke paas ek oont aur un ke ghore ke siwa roo-e-zameen par koi maal, koi ghulam, koi cheez nahi thi. Main hi un ka ghora churrati, pani pilati, un ka dowl seeti aur aata goondhti. Main achhi tarah roti nahi paka sakti thi. Ansar ki kuch larkiyaan meri roti paka jaati thien. Yeh bari sachi aur ba-wafa auratein thien. Zubayr razi Allahu anhu ki woh zameen jo Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne unhein di thi, is se main apne sar par khajoor ki ghulliyaan ghar laya karti thi. Yeh zameen mere ghar se do meel door thi. Ek roz main aa rahi thi aur ghulliyaan mere sar par thien ke raste mein Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se mulaqat ho gayi. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke saath qabila Ansar ke kai aadmi thay. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne mujhe bulaya phir (apne oont ko bithane ke liye) kaha ikh ikh. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam chahte thay ke mujhe apni sawari par apne peeche sawar kar lein lekin mujhe mardon ke saath chalne mein sharam aayi aur Zubayr razi Allahu anhu ki ghairat ka bhi khayal aaya. Zubayr razi Allahu anhu bare hi ba-ghairat thay. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam bhi samajh gaye ke main sharam mehsoos kar rahi hoon. Is liye Aap aage barh gaye. Phir main Zubayr razi Allahu anhu ke paas aayi aur un se waqia ka zikr kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se meri mulaqat ho gayi thi. Mere sar par ghulliyaan thien aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke saath Aap ke chand sahabah bhi thay. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne apna oont mujhe bithane ke liye bithaya lekin mujhe is se sharam aayi aur tumhari ghairat ka bhi khayal aaya. Is par Zubayr ne kaha ke Allah ki qasam! Mujhko to is se bara ranj hua ke tu ghulliyaan laane ke liye nikle agar tu Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke saath sawar ho jaati to itni ghairat ki baat na thi (kyunke Asmaa razi Allahu anha Aap ki saali aur bhawaj donon hoti thien) is ke baad mere walid Abu Bakr razi Allahu anhu ne ek ghulam mere paas bhej diya woh ghore ka sab kaam karne laga aur main be-fikr ho gayi goya walid e majid Abu Bakr razi Allahu anhu ne (ghulam bhej kar) mujhko aazad kar diya.


تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Famous Name
Rank
Ahadith
أسماء بنت أبي بكر القرشية، أم عبد اللهصحابي
عروة بن الزبير الأسدي، أبو عبد اللهثقة فقيه مشهور
هشام بن عروة الأسدي، أبو المنذر، أبو عبد الله، أبو بكرثقة إمام في الحديث
حماد بن أسامة القرشي، أبو أسامةثقة ثبت
محمود بن غيلان العدوي، أبو أحمدثقة
Referencing of the Hadith:
Book Name
Number
Short Arabic Text
صحيح البخاري
5224
إخ إخ ليحملني خلفه فاستحييت أن أسير مع الرجال وذكرت الزبير وغيرته وكان أغير الناس فعرف رسول الله أني قد استحييت فمضى