الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب النكاح
Kitab: Nikah ke masail ka bayan
باب من قال لا نكاح إلا بولي:
Bab: Bighair wali ke nikah sahi nahi hota.
Show diacritics
Hadith Number: 5129
حدثنا عبد الله بن محمد، حدثنا هشام، اخبرنا معمر، حدثنا الزهري، قال: اخبرني سالم، ان ابن عمر اخبره،" ان عمر حين تايمت حفصة بنت عمر من ابن حذافة السهمي وكان من اصحاب النبي صلى الله عليه وسلم من اهل بدر توفي بالمدينة، فقال عمر: لقيت عثمان بن عفان فعرضت عليه، فقلت: إن شئت، انكحتك حفصة، فقال: سانظر في امري، فلبثت ليالي ثم لقيني، فقال: بدا لي ان لا اتزوج يومي هذا، قال عمر: فلقيت ابا بكر، فقلت: إن شئت انكحتك حفصة".
Hum se Abdullah bin Muhammad ne byaan kiya , kaha hum se Hisham ne byaan kiya , kaha hum ko Mamar ne khabar di , kaha hum se Zuhri ne byaan kiya , kaha ke mujhe Salim ne khabar di , unhein Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne khabar di ke jab Hafsa bint Umar razi Allahu anhuma Ibn Huzaifa Sahmi se bewa huien . Ibn Huzaifa razi Allahu anhuma Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke as-haab mein se thay aur Badr ki jang mein shareek thay in ki wafat Madinah Munawwarah mein hui thi to Umar razi Allahu anhu ne byaan kiya ke main Usman bin Affan razi Allahu anhu se mila aur unhein pesh-kash ki aur kaha ke agar Aap chahein to main Hafsa ka nikah Aap se karoon . Unhon ne jawab diya ke main is muamla mein ghaur karoon ga chand din main ne intizar kiya is ke baad woh mujh se milay aur kaha ke main is nateeja par pahuncha hoon ke abhi nikah na karoon . Umar razi Allahu anhu ne byaan kiya ke phir main Abu Bakr razi Allahu anhu se mila aur in se kaha ke agar Aap chahein to main Hafsa ka nikah Aap se karoon .


تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Famous Name
Rank
Ahadith
عبد الله بن عمر العدوي، أبو عبد الرحمنصحابي
سالم بن عبد الله العدوي، أبو عبيد الله، أبو عبد الله، أبو عمرثقة ثبت
محمد بن شهاب الزهري، أبو بكرالفقيه الحافظ متفق على جلالته وإتقانه
معمر بن أبي عمرو الأزدي، أبو عروةثقة ثبت فاضل
هشام بن يوسف الأبناوي، أبو عبد الرحمنثقة
عبد الله بن محمد الجعفي، أبو جعفرثقة حافظ