الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
باب: {لا ترفعوا أصواتكم فوق صوت النبي} الآية:
Bab: Ayat ki tafseer“Ay imaan walo! Nabi ki awaz se apni awazon ko ooncha na kiya karo”.
Show diacritics
Hadith Number: Q4845-2
وقال مجاهد: لا تقدموا: لا تفتاتوا على رسول الله صلى الله عليه وسلم حتى يقضي الله على لسانه، امتحن: اخلص، ولا تنابزوا: يدعى بالكفر بعد الإسلام، يلتكم: ينقصكم التنا نقصنا.
‏‏‏‏ Mujahid ne kaha «la tuqaddimoo» ka matlab yeh hai ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke samne barh kar baatein na karo . (balkay adab se «qaalallahu wa qaalar-rasoolu» suna karo) yahan tak ke jo hukm Allah ko dena hai woh apne Rasool ki zaban se tumhein pahunchaye . «imtahana» ka maani saaf kiya , parakh liya . «la tanaabazhu bil-alqaabi» ka maani yeh hai ke Musalman hone ke baad phir is ko kafir , Yahudi ya Esaayi keh kar na pukaro . «la yalitkum» tumhara sawab kuch kam nahi kare ga Surah at-Toor mein «wa ma alatnaahum» is liye hai ke hum ne un ke amal ka sawab kuch kam nahi kiya .


تخریج الحدیث:
Show diacritics
Hadith Number: Q4845
تشعرون: تعلمون ومنه الشاعر.
‏‏‏‏ «tash'uroona» ka maani jaante ho is se lafz «sha'irun» nikla hai yani janne wala .


تخریج الحدیث:
Show diacritics
Hadith Number: 4845
حدثنا يسرة بن صفوان بن جميل اللخمي، حدثنا نافع بن عمر، عن ابن ابي مليكة، قال: كاد الخيران ان يهلكا ابو بكر وعمر رضي الله عنهما رفعا اصواتهما عند النبي صلى الله عليه وسلم، حين قدم عليه ركب بني تميم، فاشار احدهما بالاقرع بن حابس اخي بني مجاشع، واشار الآخر برجل آخر، قال نافع: لا احفظ اسمه، فقال ابو بكر لعمر: ما اردت إلا خلافي، قال: ما اردت خلافك، فارتفعت اصواتهما في ذلك، فانزل الله:يايها الذين آمنوا لا ترفعوا اصواتكم سورة الحجرات آية 2 الآية، قال ابن الزبير: فما كان عمر يسمع رسول الله صلى الله عليه وسلم بعد هذه الآية حتى يستفهمه، ولم يذكر ذلك عن ابيه يعني ابا بكر.
Hum se Yusrah bin Safwan bin Jamil Lakhmi ne byaan kiya , kaha hum se Nafi bin Amr ne , un se Ibn Abi Mulaykah ne byaan kiya ke qareeb tha ke woh sab se behtar afraad tabah ho jayein yani Abu Bakr aur Umar razi Allahu anhuma in donon hazrat ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke samne apni aawaz buland kar di thi . Yeh is waqt ka waqia hai jab Bani Tamim ke sawar aaye thay (aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se unhon ne darkhwast ki thi ke hamara koi ameer bana dein) in mein se ek (Umar razi Allahu anhu) ne Mujashay ke Aqra bin Habis ke intikhab ke liye kaha tha aur doosre (Abu Bakr razi Allahu anhu) ne ek doosre ka naam pesh kiya tha . Nafi ne kaha ke un ka naam mujhe yaad nahi . Is par Abu Bakr razi Allahu anhu ne Umar razi Allahu anhu se kaha ke Aap ka irada mujh se ikhtilaf karna hi hai . Umar razi Allahu anhu ne kaha ke mera irada Aap se ikhtilaf karna nahi hai . Is par in donon ki aawaz buland ho gayi . Phir Allah Ta'ala ne yeh aayat utari «ya ayyuhallazhina aamanu la tarfa'oo aswaatakum» ”Ae Iman Walo! Apni aawaz ko Nabi ki aawaz se buland na kiya karo“ al-kh . Abdullah bin Zubayr razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke is aayat ke nazil hone ke baad Umar razi Allahu anhu Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke samne itni aahista aahista baat karte ke Aap saaf sun bhi na sakte thay aur dobara poochna parta tha . Unhon ne apne nana yani Abu Bakr razi Allahu anhu ke mutalliq is silsile mein koi cheez byaan nahi ki .


تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Famous Name
Rank
Ahadith
عبد الله بن الزبير الأسدي، أبو بكر، أبو خبيبصحابي
عبد الله بن أبي مليكة القرشي، أبو محمد، أبو بكرثقة
نافع بن عمر الجمحي، أبو معشرثقة ثبت
يسرة بن صفوان اللخمي، أبو صفوان، أبو عبد الرحمنثقة
Referencing of the Hadith:
Book Name
Number
Short Arabic Text
صحيح البخاري
4845
قدم عليه ركب بني تميم فأشار أحدهما بالأقرع بن حابس أخي بني مجاشع وأشار الآخر برجل آخر قال نافع لا أحفظ اسمه فقال أبو بكر لعمر ما أردت إلا خلافي قال ما أردت خلافك فارتفعت أصواتهما في ذلك فأنزل الله يأيها الذين آمنوا لا ترفعوا أصواتكم الآية قال ابن الزبير ف
صحيح البخاري
7302
قدم على النبي وفد بني تميم أشار أحدهما بالأقرع بن حابس التميمي الحنظلي أخي بني مجاشع وأشار الآخر بغيره فقال أبو بكر لعمر إنما أردت خلافي فقال عمر ما أردت خلافك فارتفعت أصواتهما عند النبي صلى الله