الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
باب: {إن الله لا يظلم مثقال ذرة} يعني زنة ذرة:
Bab: Ayat ki tafseer“Beshak Allah ek zarrah barabar bhi kisi par zulm nahi kare ga, «mithqal-e-zarrah» se zarrah barabar murad hai.
Show diacritics
Hadith Number: 4581
حدثني محمد بن عبد العزيز، حدثنا ابو عمر حفص بن ميسرة، عن زيد بن اسلم، عن عطاء بن يسار، عن ابي سعيد الخدري رضي الله عنه، النبي صلى الله عليه وسلم، قالوا: يا رسول الله، هل نرى ربنا يوم القيامة؟ قال النبي صلى الله عليه وسلم:" نعم، هل تضارون في رؤية الشمس بالظهيرة، ضوء ليس فيها سحاب؟" قالوا: لا، قال:" وهل تضارون في رؤية القمر ليلة البدر، ضوء ليس فيها سحاب؟" قالوا: لا، قال النبي صلى الله عليه وسلم:" ما تضارون في رؤية الله عز وجل يوم القيامة، إلا كما تضارون في رؤية احدهما، إذا كان يوم القيامة اذن مؤذن، تتبع كل امة ما كانت تعبد، فلا يبقى من كان يعبد غير الله من الاصنام والانصاب إلا يتساقطون في النار، حتى إذا لم يبق إلا من كان يعبد الله بر او فاجر، وغبرات اهل الكتاب، فيدعى اليهود، فيقال لهم: من كنتم تعبدون؟ قالوا: كنا نعبد عزير ابن الله، فيقال لهم: كذبتم، ما اتخذ الله من صاحبة ولا ولد، فماذا تبغون؟ فقالوا: عطشنا ربنا فاسقنا، فيشار الا تردون فيحشرون إلى النار كانها سراب يحطم بعضها بعضا فيتساقطون في النار، ثم يدعى النصارى، فيقال لهم: من كنتم تعبدون؟ قالوا: كنا نعبد المسيح ابن الله، فيقال لهم: كذبتم، ما اتخذ الله من صاحبة ولا ولد، فيقال لهم: ماذا تبغون؟ فكذلك مثل الاول، حتى إذا لم يبق إلا من كان يعبد الله من بر او فاجر، اتاهم رب العالمين في ادنى صورة من التي راوه فيها، فيقال: ماذا تنتظرون؟ تتبع كل امة ما كانت تعبد، قالوا: فارقنا الناس في الدنيا على افقر ما كنا إليهم ولم نصاحبهم، ونحن ننتظر ربنا الذي كنا نعبد، فيقول: انا ربكم، فيقولون: لا نشرك بالله شيئا، مرتين او ثلاثا".
Mujh se Muhammad bin Abdul Aziz ne byaan kiya , kaha hum se Abu Amr Hafs bin Maysarah ne byaan kiya , un se Zayd bin Aslam ne , un se Ata bin Yasar aur un se Abu Saeed Khudri razi Allahu anhu ne byaan kiya ke kuch sahabah razi Allahu anhum ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke zamana mein Aap salla Allahu alaihi wasallam se poocha: ya Rasool Allah! Kya Qayamat ke din hum apne Rabb ko dekh sakein ge ? Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke haan , kya sooraj ko dopahar ke waqt dekhne mein tumhein koi dushwari hoti hai , jabke is par baadal bhi na ho ? Sahabah razi Allahu anhum ne arz kiya ke nahi . Phir Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya aur kya chaudhween raat ke chaand ko dekhne mein tumhein kuch dushwari pesh aati hai , jabke is par baadal na ho ? Sahabah razi Allahu anhum ne arz kiya ke nahi . Phir Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke bas isi tarah tum bila kisi diqqat aur rukawat ke Allah Ta'ala ko dekho ge . Qayamat ke din ek munadi nida kare ga ke har ummat apne jhoote maboodon ke saath hazir ho jaye . Is waqt Allah ke siwa jitne bhi buton aur pattharon ki pooja hoti thi , sab ko jahannum mein jhonk diya jaye ga . Phir jab wahi log baqi reh jayein ge jo sirf Allah ki pooja kiya karte thay , khwah naik hon ya gunahgar aur Ahl e Kitab ke kuch log , to pehle Yahud ko bulaya jaye ga aur poocha jaye ga ke tum (Allah ke siwa) kis ki pooja karte thay ? Woh arz karein ge ke Uzair Ibn Allah ki , Allah Ta'ala un se farmaye ga lekin tum jhoote thay , Allah ne na kisi ko apni biwi banaya aur na beta , ab tum kya chahte ho ? Woh kahein ge , hamare Rabb! Hum pyaase hain , hamain pani pila de . Unhein isharah kiya jaye ga ke kya idhar nahi chalte . Chunanche sab ko jahannum ki taraf le jaya jaye ga . Wahan chamakti rait pani ki tarah nazar aaye gi , baaz baaz ke tukre kiye de rahi ho gi . Phir sab ko aag mein daal diya jaye ga . Phir Nasara ko bulaya jaye ga aur un se poocha jaye ga ke tum kis ki ibadat kiya karte thay ? Woh kahein ge ke hum Maseeh Ibn Allah ki ibadat karte thay . Un se bhi kaha jaye ga ke tum jhoote thay . Allah ne kisi ko biwi aur beta nahi banaya , phir un se poocha jaye ga ke kya chahte ho ? Aur un ke saath Yahudiyon ki tarah bartao kiya jaye ga . Yahan tak ke jab in logon ke siwa aur koi baqi na rahe ga jo sirf Allah ki ibadat karte thay , khwah woh naik hon ya gunahgar , to un ke paas un ka Rabb ek surat mein jalwa-gar ho ga , jo pehli surat se jis ko woh dekh chuke hon ge , milti julti ho gi (yeh woh surat na ho gi) ab un se kaha jaye ga . Ab tumhein kis ka intizar hai ? Har ummat apne maboodon ko saath le kar ja chuki , woh jawab dein ge ke hum duniya mein jab logon se (jinon ne kufr kiya tha) juda huay to hum in mein sab se zyada muhtaj thay , phir bhi hum ne un ka saath nahi diya aur ab hamain apne sache Rabb ka intizar hai jis ki hum duniya mein ibadat karte rahe . Allah Ta'ala farmaye ga ke tumhara Rabb main hi hoon . Is par tamam Musalman bol uthein ge ke hum apne Rabb ke saath kisi ko shareek nahi thehrate , do ya teen martaba yun kahein ge hum Allah ke saath kisi ko shareek karne wale nahi hain .


تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Famous Name
Rank
Ahadith
أبو سعيد الخدري، أبو سعيدصحابي
عطاء بن يسار الهلالي، أبو محمدثقة
زيد بن أسلم القرشي، أبو خالد، أبو أسامة، أبو عبد اللهثقة
حفص بن ميسرة العقيلي، أبو عمرو، أبو عمرثقة
محمد بن عبد العزيز الرملي، أبو عبد اللهصدوق يهم
Referencing of the Hadith:
Book Name
Number
Short Arabic Text
صحيح البخاري
4581
نعم هل تضارون في رؤية الشمس بالظهيرة ضوء ليس فيها سحاب قالوا لا قال وهل تضارون في رؤية القمر ليلة البدر ضوء ليس فيها سحاب قالوا لا قال النبي ما تضارون في رؤية الله يوم القيامة إلا كما تضارون في رؤية أحدهما إذا كان يوم الق
صحيح مسلم
454
هل تضارون في رؤية الشمس بالظهيرة صحوا ليس معها سحاب وهل تضارون في رؤية القمر ليلة البدر صحوا ليس فيها سحاب قالوا لا يا رسول الله قال ما تضارون في رؤية الله تبارك و يوم القيامة إلا كما تضارون في رؤية أحدهما إذا كان يوم القيامة أذن مؤذن ليتبع كل
سنن ابن ماجه
179
تضامون في رؤية الشمس في الظهيرة في غير سحاب قلنا لا قال فتضارون في رؤية القمر ليلة البدر في غير سحاب قالوا لا قال إنكم لا تضارون في رؤيته إلا كما تضارون في رؤيتهما