الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب المغازي
Kitab: Ghazwat ke bayan mein
باب قصة عمان والبحرين:
Bab: Amman aur Bahrain ka qissa.
Show diacritics
Hadith Number: 4383
حدثنا قتيبة بن سعيد، حدثنا سفيان، سمع ابن المنكدر، جابر بن عبد الله رضي الله عنهما، يقول: قال لي رسول الله صلى الله عليه وسلم:" لو قد جاء مال البحرين لقد اعطيتك هكذا وهكذا ثلاثا"، فلم يقدم مال البحرين حتى قبض رسول الله صلى الله عليه وسلم، فلما قدم علىابي بكر امر مناديا، فنادى: من كان له عند النبي صلى الله عليه وسلم دين او عدة فلياتني، قال جابر: فجئت ابا بكر فاخبرته ان النبي صلى الله عليه وسلم قال:" لو جاء مال البحرين اعطيتك هكذا وهكذا ثلاثا"، قال: فاعطاني، قال جابر: فلقيت ابا بكر بعد ذلك، فسالته فلم يعطني، ثم اتيته فلم يعطني، ثم اتيته الثالثة فلم يعطني، فقلت له: قد اتيتك فلم تعطني، ثم اتيتك فلم تعطني، ثم اتيتك فلم تعطني، فإما ان تعطيني، وإما ان تبخل عني، فقال: اقلت تبخل عني واي داء ادوا من البخل قالها ثلاثا، ما منعتك من مرة إلا وانا اريد ان اعطيك، وعن عمرو، عن محمد بن علي، سمعت جابر بن عبد الله، يقول: جئته، فقال لي ابو بكر: عدها، فعددتها، فوجدتها خمس مائة، فقال: خذ مثلها مرتين.
Hum se Qutaybah bin Saeed ne byaan kiya , kaha hum se Sufyan bin Uyaynah ne byaan kiya ke unhon ne Muhammad bin al-Munkadir se suna , unhon ne Jabir bin Abdullah razi Allahu anhuma se suna , woh byaan karte thay ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne mujh se farmaya tha jab mere paas Bahrayn se rupiyah aaye ga to main tumhein itna itna teen lap bhar kar rupiyah doon ga , lekin Bahrayn se jis waqt rupiyah aaya to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki wafat ho chuki thi . Is liye woh rupiyah Abu Bakr Siddique razi Allahu anhu ke paas aaya aur unhon ne aalan karwa diya ke agar kisi ka Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam par qarz ya kisi se Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ka koi waada ho to woh mere paas aaye . Jabir razi Allahu anhu ne byaan kiya ke main un ke yahan aa gaya aur unhein bataya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne mujh se farmaya tha ke agar Bahrayn se mere paas rupiyah aaya to main tumhein itna itna teen lap bhar kar doon ga . Jabir razi Allahu anhu ne byaan kiya ke phir main ne un se mulaqat ki aur un se is ke mutalliq kaha lekin unhon ne is martaba mujhe nahi diya . Main phir un ke yahan gaya is martaba bhi unhon ne nahi diya . Main teesri martaba gaya , is martaba bhi unhon ne nahi diya . Is liye main ne un se kaha ke main Aap ke yahan ek martaba aaya . Aap ne nahi diya , phir aaya aur Aap ne nahi diya . Phir teesri martaba aaya hoon aur Aap is martaba bhi nahi de rahe hain . Agar Aap ko mujhe dena hai to de dijiye warna saaf keh dijiye ke mera dil dene ko nahi chahta , main bakheel hoon . Is par Abu Bakr razi Allahu anhu ne farmaya tum ne kaha hai ke mere muamla mein bukhl kar lo , bhala bukhl se barh kar aur kya aib ho sakta hai . Teen martaba unhon ne yeh jumla dohraya aur kaha main ne tumhein jab bhi taala to mera irada yahi tha ke bahar-haal tumhein dena hai . Aur isi sanad se Amr bin Dinar se riwayat hai , un se Muhammad bin Ali Baqir ne byaan kiya , unhon ne kaha ke main ne Jabir razi Allahu anhuma se suna , unhon ne byaan kiya ke main hazir hua to Abu Bakr razi Allahu anhu ne mujhe ek lap bhar kar rupiyah diya aur kaha ke usay gin lo . Main ne gina to paanch sau tha . Farmaya ke do martaba itna hi aur le lo .


تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Famous Name
Rank
Ahadith
جابر بن عبد الله الأنصاري، أبو محمد، أبو عبد الله، أبو عبد الرحمنصحابي
محمد الباقر، أبو جعفرثقة
عمرو بن دينار الجمحي، أبو محمدثقة ثبت
جابر بن عبد الله الأنصاري، أبو محمد، أبو عبد الله، أبو عبد الرحمنصحابي
محمد بن المنكدر القرشي، أبو عبد الله، أبو بكرثقة
سفيان بن عيينة الهلالي، أبو محمدثقة حافظ حجة
قتيبة بن سعيد الثقفي، أبو رجاءثقة ثبت
Referencing of the Hadith:
Book Name
Number
Short Arabic Text
صحيح البخاري
2683
وعدني رسول الله أن يعطيني هكذا وهكذا
صحيح البخاري
2296
لو قد جاء مال البحرين قد أعطيتك هكذا وهكذا وهكذا
صحيح البخاري
3164
لو قد جاءني مال البحرين لقد أعطيتك هكذا وهكذا وهكذا
صحيح البخاري
2598
لو جاء مال البحرين أعطيتك هكذا ثلاثا
صحيح البخاري
4383
لو قد جاء مال البحرين لقد أعطيتك هكذا وهكذا ثلاثا
صحيح مسلم
6023
لو قد جاءنا مال البحرين لقد أعطيتك هكذا وهكذا وهكذا
مسندالحميدي
1268
يا جابر لو قد جاء مال البحرين لأعطيتك هكذا، وهكذا، وهكذا
مسندالحميدي
1269
قلت تبخل عني، وأي الداء أدوأ من البخل؟ فما منعتك من مرة إلا وأنا أريد أن أعطيك