الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب المغازي
Kitab: Ghazwat ke bayan mein
باب قصة الأسود العنسي:
Bab: Aswad Ansi ka qissa.
Show diacritics
Hadith Number: 4379
قال عبيد الله بن عبد الله: سالت عبد الله بن عباس عن رؤيا رسول الله صلى الله عليه وسلم التي ذكر، فقال ابن عباس: ذكر لي ان رسول الله صلى الله عليه وسلم قال:" بينا انا نائم، اريت انه وضع في يدي سواران من ذهب، ففظعتهما وكرهتهما، فاذن لي فنفختهما فطارا، فاولتهما كذابين يخرجان"، فقال عبيد الله: احدهما العنسي الذي قتله فيروز باليمن، والآخر مسيلمة الكذاب.
Ubaydullah bin Abdullah ne kaha ke main ne Abdullah bin Abbas razi Allahu anhuma se Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke khwab ke mutalliq poocha jis ka zikr Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya tha to unhon ne bataya ke mujhe maloom hua hai ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya tha ke mujhe khwab mein dikhaya gaya tha ke mere hathon par sone ke do kangan rakh diye gaye hain . Main is se bahut ghabraya aur in kanganon se mujhe tashweesh hui , phir mujhe hukm hua aur main ne unhein phoonk diya to donon kangan urr gaye . Main ne is ki tabeer do jhooton se li jo khurooj karne wale hain . Ubaydullah ne byaan kiya ke in mein se ek Aswad Ansi tha , jise Feroz ne Yaman mein qatl kiya aur doosra Musaylamah Kazzab tha .


تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Famous Name
Rank
Ahadith
عبد الله بن العباس القرشي، أبو العباسصحابي