الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب المغازي
Kitab: Ghazwat ke bayan mein
باب ذهاب جرير إلى اليمن:
Bab: Jareer bin Abdullah al-Bajali Radiallahu Anhu ka Yaman ki taraf jana.
Hadith Number: 4359
حدثني عبد الله بن ابي شيبة العبسي، حدثنا ابن إدريس، عن إسماعيل بن ابي خالد، عن قيس، عن جرير، قال: كنت باليمن فلقيت رجلين من اهل اليمن: ذا كلاع، وذا عمرو، فجعلت احدثهم عن رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقال له ذو عمرو: لئن كان الذي تذكر من امر صاحبك لقد مر على اجله منذ ثلاث، واقبلا معي حتى إذا كنا في بعض الطريق رفع لنا ركب من قبل المدينة، فسالناهم، فقالوا: قبض رسول الله صلى الله عليه وسلم، واستخلف ابو بكر والناس صالحون، فقالا: اخبر صاحبك انا قد جئنا ولعلنا سنعود إن شاء الله، ورجعا إلى اليمن، فاخبرت ابا بكر بحديثهم، قال:" افلا جئت بهم؟" فلما كان بعد، قال لي ذو عمرو: يا جرير، إن بك علي كرامة، وإني مخبرك خبرا:" إنكم معشر العرب لن تزالوا بخير ما كنتم إذا هلك امير تامرتم في آخر، فإذا كانت بالسيف كانوا ملوكا يغضبون غضب الملوك، ويرضون رضا الملوك".
Mujh se Abdullah bin Abi Shaybah Absi ne byaan kiya , kaha ke hum se Abdullah bin Idrees ne byaan kiya , un se Ismail bin Abi Khalid ne , un se Qays bin Abi Hazim ne aur un se Jareer bin Abdullah Bajali razi Allahu anhu ne byaan kiya ke (Yaman se wapsi par Madinah aane ke liye) main darya ke raste se safar kar raha tha . Is waqt Yaman ke do aadmiyon Zhul Kala aur Zhul Amr se meri mulaqat hui main un se Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki baatein karne laga is par Zhul Amr ne kaha: Agar tumhare sahib (yani Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam) wahi hain jin ka zikr tum kar rahe ho to un ki wafat ko bhi teen din guzar chuke . Yeh donon mere saath hi (Madinah) ki taraf chal rahe thay . Raste mein hamain Madinah ki taraf se aate huay kuch sawar dikhayi diye , hum ne un se poocha to unhon ne is ki tasdeeq ki ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam wafat pa gaye hain . Aap ke khaleefa Abu Bakr razi Allahu anhu muntakhab huay hain aur log ab bhi sab khairiyat se hain . In donon ne mujh se kaha ke apne sahib (Abu Bakr razi Allahu anhu) se kehna ke hum aaye thay aur In sha Allah phir Madinah aayein ge yeh keh kar donon Yaman ki taraf wapas chale gaye . Phir main ne Abu Bakr razi Allahu anhu ko un ki baaton ki ittila di to Aap ne farmaya ke phir unhein apne saath laye kyun nahi ? Bahut dinon baad khilafat e Umri mein Zhul Amr ne ek martaba mujh se kaha ke Jareer! Tumhara mujh par ihsan hai aur tumhein main ek baat bataoon ga ke tum Ahl e Arab is waqt tak khair o bhalayi ke saath raho ge jab tak tumhara tarz e amal yeh ho ga ke jab tumhara koi ameer wafat pa jaye ga to tum apna koi doosra ameer muntakhab kar liya karo ge . Lekin jab (amarat ke liye) talwar tak baat pahunch jaye to tumhare ameer baadshah ban jayein ge . Baadshahon ki tarah ghussa hua karein ge aur unhi ki tarah khush hua karein ge .
تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Famous Name | Rank | Ahadith |
|---|---|---|
| جرير بن عبد الله البجلي، أبو عبد الله، أبو عمرو | صحابي | |
| قيس بن أبي حازم البجلي، أبو عبد الله | ثقة | |
| إسماعيل بن أبي خالد البجلي، أبو عبد الله | ثقة ثبت | |
| عبد الله بن إدريس الأودي، أبو محمد | ثقة حجة | |
| ابن أبي شيبة العبسي، أبو بكر | ثقة حافظ صاحب تصانيف |
Referencing of the Hadith:
Book Name | Number | Short Arabic Text |
|---|---|---|
صحيح البخاري |
4359
| كنت باليمن فلقيت رجلين من أهل اليمن ذا كلاع وذا عمرو فجعلت أحدثهم عن رسول الله فقال له ذو عمرو لئن كان الذي تذكر من أمر صاحبك لقد مر على أجله منذ ثلاث وأقبلا معي حتى إذا كنا في بعض الطريق رفع لنا ركب من قبل المدينة فسألناهم فقالوا قبض رسول الله واستخلف أب |