الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب المغازي
Kitab: Ghazwat ke bayan mein
باب بعث على بن أبى طالب- عليه السلام- وخالد بن الوليد رضى الله عنه إلى اليمن قبل حجة الوداع:
Bab: Hajjat-ul-Wada’ se pehle Ali bin Abi Talib aur Khalid bin Waleed Radiallahu Anhuma ko Yaman bhejna.
Hadith Number: 4350
حدثني محمد بن بشار، حدثنا روح بن عبادة، حدثنا علي بن سويد بن منجوف، عن عبد الله بن بريدة، عن ابيه رضي الله عنه، قال: بعث النبي صلى الله عليه وسلم عليا إلى خالد ليقبض الخمس، وكنت ابغض عليا وقد اغتسل، فقلت لخالد: الا ترى إلى هذا؟ فلما قدمنا على النبي صلى الله عليه وسلم ذكرت ذلك له، فقال:" يا بريدة، اتبغض عليا؟" فقلت: نعم، قال:" لا تبغضه، فإن له في الخمس اكثر من ذلك".
Mujh se Muhammad bin Bashar ne byaan kiya , kaha hum se Rauh bin Ubadah ne byaan kiya , kaha hum se Ali bin Suwayd bin Manjoof ne byaan kiya , un se Abdullah bin Buraydah ne aur un se un ke walid (Buraydah bin Hassayb) ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne Khalid bin Waleed razi Allahu anhu ki jagah Ali razi Allahu anhu ko (Yaman) bheja taake ghanimat ke khumus (paanchwan hissa) ko un se le aayein . Mujhe Ali razi Allahu anhu se bahut bughz tha aur main ne unhein ghusl karte dekha tha . Main ne Khalid razi Allahu anhu se kaha tum dekhte ho Ali razi Allahu anhu ne kya kiya (aur ek laundi se sohbat ki) phir jab hum Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir huay to main ne Aap se bhi is ka zikr kiya . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne daryaft farmaya (Buraydah) kya tumhein Ali razi Allahu anhu ki taraf se bughz hai ? Main ne arz kiya ke ji haan , farmaya Ali se dushmani na rakhna kyunke khumus (ghanimat ke paanchway hisse) mein is se bhi zyada haq hai .
تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Referencing of the Hadith:
Book Name | Number | Short Arabic Text |
|---|---|---|
صحيح البخاري |
4350
| أتبغض عليا فقلت نعم قال لا تبغضه فإن له في الخمس أكثر من ذلك |