الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب المغازي
Kitab: Ghazwat ke bayan mein
باب غزوة أحد:
Bab: Ghazwah-e-Uhud ka bayan.
Show diacritics
Hadith Number: 4048
اخبرنا حسان بن حسان , حدثنا محمد بن طلحة , حدثنا حميد , عن انس رضي الله عنه , ان عمه غاب عن بدر , فقال: غبت عن اول قتال النبي صلى الله عليه وسلم , لئن اشهدني الله مع النبي صلى الله عليه وسلم ليرين الله ما اجد , فلقي يوم احد فهزم الناس , فقال: اللهم إني اعتذر إليك مما صنع هؤلاء يعني المسلمين , وابرا إليك مما جاء به المشركون , فتقدم بسيفه فلقي سعد بن معاذ , فقال: اين يا سعد إني اجد ريح الجنة دون احد؟ فمضى فقتل فما عرف حتى عرفته اخته بشامة , او ببنانه وبه بضع وثمانون من طعنة وضربة ورمية بسهم.
Hum se Hassan Bin Hassan ne bayan kiya, kaha hum se Muhammad Bin Talha ne bayan kiya, kaha hum se Humaid Taweel ne bayan kiya aur un se Anas Radi Allahu Anhu ne ke in ke chacha (Anas Bin Nazr) Badr ki larayi mein shareek na ho sake thay, phir unhon ne kaha ke mein Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ke sath pehli hi larayi mein ghair hazir raha. Agar Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ke sath Allah Ta'ala ne mujhe kisi aur larayi mein shirkat ka mauqa diya to Allah dekhe ga ke mein kitni be-jigri se larrta hoon. Phir Ghazwa Uhud ke mauqe par jab musalmanon ki jamaat mein afra tafri paida ho gayi to unhon ne kaha: Ai Allah! Musalmanon ne aaj jo kuch kiya mein tere huzoor mein is ke liye mazrat khwah hoon aur mushrikeen ne jo kuch kiya mein tere huzoor mein is se apni bezari zahir karta hoon. Phir wo apni talwar le kar aage barhe. Raste mein Saad Bin Muaz Radi Allahu Anhu se mulaqat hui to unhon ne un se kaha, Saad! Kahan ja rahe ho? Mein to Uhud pahari ke daman mein jannat ki khushbu soongh raha hoon. Is ke baad wo aage barhe aur shaheed kar diye gaye. In ki lash pehchani nahi ja rahi thi. Aakhir in ki bahen ne ek til ya in ki ungliyon ke poar se in ki lash ko pehchana. Unko assi (80) se zyada zakham bhaale aur talwar aur teeron ke lage thay
.


تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Famous Name
Rank
Ahadith
أنس بن مالك الأنصاري، أبو حمزة، أبو النضرصحابي
حميد بن أبي حميد الطويل، أبو عبيدةثقة مدلس
محمد بن طلحة اليامي، أبو عبد اللهصدوق له أوهام
حسان بن حسان البصري، أبو عليصدوق يخطئ
Referencing of the Hadith:
Book Name
Number
Short Arabic Text
صحيح البخاري
2805
إني أجد ريحها من دون أحد قال سعد فما استطعت يا رسول الله ما صنع قال أنس فوجدنا به بضعا وثمانين ضربة بالسيف أو طعنة برمح أو رمية بسهم ووجدناه قد قتل وقد مثل به المشركون فما عرفه أحد إلا أخته ببنانه قال أنس كنا نرى أو نظن أن هذه الآية نزلت فيه وفي أشباهه من
صحيح البخاري
4048
إني أجد ريح الجنة دون أحد فمضى فقتل فما عرف حتى عرفته أخته بشامة أو ببنانه وبه بضع وثمانون من طعنة وضربة ورمية بسهم