الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الجهاد والسير
Kitab: Jihad ka bayan
باب قول الله تعالى: {من المؤمنين رجال صدقوا ما عاهدوا الله عليه فمنهم من قضى نحبه ومنهم من ينتظر وما بدلوا تبديلا} :
Bab: Allah Taala ka irshad ke“Momino mein kuch woh log bhi hain jinhon ne us wade ko sach kar dikhaya jo unhon ne Allah Taala se kiya tha, pas un mein kuch to aise hain jo (Allah ke raste mein shaheed ho kar) apna ahd poora kar chuke aur kuch aise hain jo intezar kar rahe hain aur apne ahd se woh phire nahi hain“.
Show diacritics
Hadith Number: 2805
حدثنا محمد بن سعيد الخزاعي، حدثنا عبد الاعلى، عن حميد، قال: سالت انسا، حدثنا عمرو بن زرارة، حدثنا زياد، قال: حدثني حميد الطويل، عن انس رضي الله عنه، قال: غاب عمي انس بن النضر، عن قتال بدر، فقال: يا رسول الله غبت عن اول قتال قاتلت المشركين لئن الله اشهدني، قتال المشركين ليرين الله ما اصنع، فلما كان يوم احد وانكشف المسلمون، قال: اللهم إني اعتذر إليك مما صنع هؤلاء يعني اصحابه، وابرا إليك مما صنع هؤلاء يعني المشركين، ثم تقدم فاستقبله سعد بن معاذ، فقال: يا سعد بن معاذ الجنة ورب النضر إني اجد ريحها من دون احد، قال سعد: فما استطعت يا رسول الله ما صنع، قال انس: فوجدنا به بضعا وثمانين ضربة بالسيف او طعنة برمح، او رمية بسهم ووجدناه قد قتل وقد مثل به المشركون فما عرفه احد إلا اخته ببنانه، قال انس: كنا نرى او نظن ان هذه الآية نزلت فيه وفي اشباهه من المؤمنين رجال صدقوا ما عاهدوا الله عليه سورة الاحزاب آية 23 إلى آخر الآية.
Hum se Muhammad Bin Saeed Khuzai ne bayan kiya, kaha hum se Abdur-ul-Ala ne bayan kiya, un se Humaid ne bayan kiya ke mein ne Anas (Radi Allahu Anhu) se poocha (doosri sanad) Hum se Amr Bin Zurarah ne bayan kiya, kaha hum se Ziyad ne bayan kiya, kaha ke mujh se Humaid Tawil ne bayan kiya aur un se Anas (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke mere chacha Anas Bin Nazr (Radi Allahu Anhu) Badr ki larai mein hazir na ho sake, is liye unhon ne arz kiya ya Rasul Allah! Mein pehli larai hi se ghaib raha jo Aap ne mushrikeen ke khilaf lari lekin agar ab Allah Ta'ala ne mujhe mushrikeen ke khilaf kisi larai mein haziri ka mauqa diya to Allah Ta'ala dekh le ga ke mein kya karta hoon. Phir jab Uhud ki larai ka mauqa aaya aur musalman bhag nikle to Anas Bin Nazr ne kaha ke ae Allah! Jo kuch musalmanon ne kiya mein us se mazrat karta hoon aur jo kuch in mushrikeen ne kiya hai mein us se bezar hoon. Phir wo aage barhe (mushrikeen ki taraf) to Saad Bin Maaz (Radi Allahu Anhu) se samna hua. Un se Anas Bin Nazr (Radi Allahu Anhu) ne kaha ae Saad Bin Maaz! Mein to jannat mein jana chahta hoon aur Nazr (un ke baap) ke Rab ki qasam mein jannat ki khushbu Uhud pahar ke qareeb pata hoon. Saad (Radi Allahu Anhu) ne kaha ya Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam)! Jo unhon ne kar dikhaya is ki mujh mein himmat na thi. Anas (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke is ke baad jab Anas Bin Nazr (Radi Allahu Anhu) ko hum ne paya to talwar neze aur teer ke taqreeban assi zakhm un ke jism par thay wo shaheed ho chuke thay mushrikon ne un ke aaza kaat diye thay aur koi shakhs unhein pehchan na saka tha, sirf un ki behen unglion se unhein pehchan saki thi. Anas (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya hum samajhte hain (ya Aap ne bajaye «nry» ke «nzn» kaha) matlab ek hi hai ke ye aayat un ke aur un jaise momineen ke bare mein nazil hui thi ke «mn almwmny n rjal sdqw ma eahdw allh elyh» "Mominon mein kuch wo log hain jinhon ne apne us wade ko sacha kar dikhaya jo unhon ne Allah Ta'ala se kiya tha." Aakhir aayat tak
.


تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Famous Name
Rank
Ahadith
أنس بن مالك الأنصاري، أبو حمزة، أبو النضرصحابي
حميد بن أبي حميد الطويل، أبو عبيدةثقة مدلس
زياد بن عبد الله البكائي، أبو يزيد، أبو محمدصدوق حسن الحديث
عمرو بن أبي عمرو الكلابى، أبو محمدثقة ثبت
أنس بن مالك الأنصاري، أبو حمزة، أبو النضرصحابي
حميد بن أبي حميد الطويل، أبو عبيدةثقة مدلس
عبد الأعلى بن عبد الأعلى القرشي، أبو محمدثقة
محمد بن سعيد الخزاعي، أبو بكر، أبو عمروثقة
Referencing of the Hadith:
Book Name
Number
Short Arabic Text
صحيح البخاري
2805
إني أجد ريحها من دون أحد قال سعد فما استطعت يا رسول الله ما صنع قال أنس فوجدنا به بضعا وثمانين ضربة بالسيف أو طعنة برمح أو رمية بسهم ووجدناه قد قتل وقد مثل به المشركون فما عرفه أحد إلا أخته ببنانه قال أنس كنا نرى أو نظن أن هذه الآية نزلت فيه وفي أشباهه من
صحيح البخاري
4048
إني أجد ريح الجنة دون أحد فمضى فقتل فما عرف حتى عرفته أخته بشامة أو ببنانه وبه بضع وثمانون من طعنة وضربة ورمية بسهم