الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الجهاد والسير
Kitab: Jihad ka bayan
باب دعاء النبى صلى الله عليه وسلم إلى الإسلام والنبوة، وأن لا يتخذ بعضهم بعضا أربابا من دون الله:
Bab: Nabi Karim ﷺ ka (ghair muslimon ko) Islam ki taraf da’wat dena aur is baat ki da’wat ke woh Allah ko chhor kar baaham ek doosre ko apna rab na banayen.
Show diacritics
Hadith Number: 2941
قال: ابن عباس فاخبرني ابو سفيان بن حرب انه كان بالشام في رجال من قريش قدموا تجارا في المدة التي كانت بين رسول الله صلى الله عليه وسلم وبين كفار قريش، قال ابو سفيان: فوجدنا رسول قيصر ببعض الشام فانطلق بي وباصحابي حتى قدمنا إيلياء فادخلنا عليه فإذا هو جالس في مجلس ملكه وعليه التاج، وإذا حوله عظماء الروم، فقال: لترجمانه سلهم ايهم اقرب نسبا إلى هذا الرجل الذي يزعم انه نبي، قال: ابو سفيان، فقلت: انا اقربهم إليه نسبا، قال: ما قرابة ما بينك وبينه، فقلت: هو ابن عمي وليس في الركب يومئذ احد من بني عبد مناف غيري، فقال: قيصر ادنوه وامر باصحابي فجعلوا خلف ظهري عند كتفي، ثم قال: لترجمانه قل لاصحابه إني سائل هذا الرجل عن الذي يزعم انه نبي فإن كذب فكذبوه، قال ابو سفيان: والله لولا الحياء يومئذ من ان ياثر اصحابي عني الكذب لكذبته حين سالني عنه ولكني استحييت ان ياثروا الكذب عني فصدقته، ثم قال: لترجمانه قل له كيف نسب هذا الرجل فيكم، قلت: هو فينا ذو نسب، قال: فهل، قال: هذا القول احد منكم قبله، قلت: لا، فقال: كنتم تتهمونه على الكذب قبل ان يقول ما، قال قلت: لا، قال: فهل كان من آبائه من ملك، قلت: لا، قال: فاشراف الناس يتبعونه ام ضعفاؤهم، قلت: بل ضعفاؤهم، قال: فيزيدون او ينقصون، قلت: بل يزيدون، قال: فهل يرتد احد سخطة لدينه بعد ان يدخل فيه، قلت: لا، قال: فهل يغدر، قلت: لا ونحن الآن منه في مدة نحن نخاف ان يغدر، قال ابو سفيان: ولم يمكني كلمة ادخل فيها شيئا انتقصه به لا اخاف ان تؤثر عني غيرها، قال: فهل قاتلتموه او قاتلكم، قلت: نعم، قال: فكيف كانت حربه وحربكم، قلت: كانت دولا وسجالا يدال علينا المرة وندال عليه الاخرى، قال: فماذا يامركم، قال: يامرنا ان نعبد الله وحده لا نشرك به شيئا وينهانا عما كان يعبد آباؤنا، ويامرنا بالصلاة، والصدقة، والعفاف، والوفاء بالعهد، واداء الامانة، فقال: لترجمانه حين، قلت: ذلك له قل له إني سالتك، عن نسبه فيكم فزعمت انه ذو نسب وكذلك الرسل تبعث في نسب قومها وسالتك، هل قال احد منكم هذا القول قبله فزعمت ان لا، فقلت: لو كان احد منكم، قال: هذا القول قبله، قلت: رجل ياتم بقول قد قيل قبله، وسالتك هل كنتم تتهمونه بالكذب قبل ان يقول ما، قال: فزعمت ان لا فعرفت انه لم يكن ليدع الكذب على الناس ويكذب على الله، وسالتك هل كان من آبائه من ملك فزعمت ان لا، فقلت: لو كان من آبائه ملك، قلت: يطلب ملك آبائه وسالتك اشراف الناس يتبعونه، ام ضعفاؤهم فزعمت ان ضعفاءهم اتبعوه وهم اتباع الرسل، وسالتك هل يزيدون او ينقصون فزعمت انهم يزيدون وكذلك الإيمان حتى يتم، وسالتك هل يرتد احد سخطة لدينه بعد ان يدخل فيه فزعمت ان لا، فكذلك الإيمان حين تخلط بشاشته القلوب لا يسخطه احد، وسالتك هل يغدر فزعمت ان لا وكذلك الرسل لا يغدرون، وسالتك هل قاتلتموه وقاتلكم فزعمت ان قد فعل وان حربكم وحربه تكون دولا ويدال عليكم المرة وتدالون عليه الاخرى، وكذلك الرسل تبتلى وتكون لها العاقبة، وسالتك بماذا يامركم فزعمت انه يامركم ان تعبدوا الله، ولا تشركوا به شيئا وينهاكم عما كان يعبد آباؤكم، ويامركم بالصلاة، والصدقة، والعفاف، والوفاء بالعهد، واداء الامانة، قال: وهذه صفة النبي قد كنت اعلم انه خارج، ولكن لم اظن انه منكم وإن يك ما، قلت: حقا فيوشك ان يملك موضع قدمي هاتين، ولو ارجو ان اخلص إليه لتجشمت لقيه ولو كنت عنده لغسلت قدميه، قال ابو سفيان: ثم دعا بكتاب رسول الله صلى الله عليه وسلم فقرئ فإذا فيه بسم الله الرحمن الرحيم من محمد عبد الله ورسوله إلى هرقل عظيم الروم سلام على من اتبع الهدى اما بعد، فإني ادعوك بدعاية الإسلام، اسلم، تسلم، واسلم يؤتك الله اجرك مرتين، فإن توليت فعليك إثم الاريسيين و ياهل الكتاب تعالوا إلى كلمة سواء بيننا وبينكم الا نعبد إلا الله ولا نشرك به شيئا ولا يتخذ بعضنا بعضا اربابا من دون الله فإن تولوا فقولوا اشهدوا بانا مسلمون سورة آل عمران آية 64 قال ابو سفيان: فلما ان قضى مقالته علت اصوات الذين حوله من عظماء الروم، وكثر لغطهم فلا ادري ماذا قالوا وامر بنا، فاخرجنا فلما ان خرجت مع اصحابي وخلوت بهم، قلت لهم: لقد امر امر ابن ابي كبشة هذا ملك بني الاصفر يخافه، قال ابو سفيان: والله ما زلت ذليلا مستيقنا بان امره سيظهر حتى ادخل الله قلبي الإسلام، وانا كاره".
Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne bayan kiya ke mujhe Abu Sufyan (Radi Allahu Anhu) ne khabar di ke Quraish ke ek qafele ke sath wo in dinon Sham mein muqeem thay. Ye qafela is dour mein yahan tijarat ki gharaz se aaya tha jis mein Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) aur kuffar-e-Quraish mein baaham sulh ho chuki thi. (Sulh-e-Hudaibiyah) Abu Sufyan ne kaha ke Qaisar ke aadmi ki hum se Sham ke ek maqaam par mulaqat hui aur wo mujhe aur mere sathiyon ko apne (Qaisar ke darbar mein Bait-ul-Muqaddas) le kar chala phir jab hum Ailia (Bait-ul-Muqaddas) pahunche to Qaisar ke darbar mein hamari bazyabi hui. Is waqt Qaisar darbar mein baitha hua tha. Is ke sar par taj tha aur Room ke umara is ke ard-gird thay, us ne apne tarjuman se kaha ke in se poocho ke jinhon ne in ke yahan nabuwat ka dawa kiya hai nasab ke aitbar se in se qareeb in mein se kaun shakhs hai? Abu Sufyan ne bayan kiya ke mein ne kaha mein nasab ke aitbar se in ke ziyada qareeb hoon. Qaisar ne poocha tumhari aur in ki qarabt kya hai? Mein ne kaha (rishte mein) wo mere chachazad bhai hote hain, ittefaq tha ke is martaba qafele mein mere siwa Bani Abd Manaf ka aur aadmi maujood nahi tha. Qaisar ne kaha ke is shakhs (Abu Sufyan Radi Allahu Anhu) ko mujh se qareeb kar do aur jo log mere sath thay is ke hukm se mere peeche qareeb mein khare kar diye gaye. Is ke baad us ne apne tarjuman se kaha ke is shakhs (Abu Sufyan) ke sathiyon se keh do ke is se mein in sahab ke bare mein poochun ga jo Nabi hone ke muddai hain, agar ye in ke bare mein koi jhoot baat kahe to tum fauran is ki takzeeb kar do. Abu Sufyan ne bayan kiya ke Allah ki qasam! Agar is din is baat ki sharam na hoti ke kahin mere sathi meri takzeeb na kar baithein to mein in sawalat ke jawabat mein zaroor jhoot bol jata jo us ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke bare mein kiye thay, lekin mujhe to is ka khatra laga raha ke kahin mere sathi meri takzeeb na kar dein. Is liye mein ne sacchayi se kaam liya. Is ke baad us ne apne tarjuman se kaha is se poocho ke tum logon mein in sahab (Sallallahu Alaihi Wasallam) ka nasab kaisa samjha jata hai? Mein ne bataya ke hum mein in ka nasab bahut umdah samjha jata hai. Us ne poocha accha ye nabuwat ka dawa is se pehle bhi tumhare yahan kisi ne kiya tha? Mein ne kaha ke nahi. Us ne poocha kya is dawa se pehle in par koi jhoot ka ilzam tha? Mein ne kaha ke nahi, us ne poocha in ke baap dadon mein koi badshah guzra hai? Mein ne kaha nahi. Us ne poocha to ab bare ameer log in ki ittaba karte hain ya kamzor aur kam haisiyat ke log? Mein ne kaha ke kamzor aur mamooli haisiyat ke log hi in ke (ziyada-tar manne wale hain) us ne poocha ke is ke manne walon ki tadaad barhti rehti hai ya ghat-ti ja rahi hai? Mein ne kaha ji nahi tadaad barabar barhti ja rahi hai. Us ne poocha koi in ke deen se bezar ho kar Islam lane ke baad phir bhi gaya hai kya? Mein ne kaha ke nahi, us ne poocha unhon ne kabhi wada-khilafi bhi ki hai? Mein ne kaha ke nahi lekin aaj kal hamara in se ek muahida ho raha hai aur humein in ki taraf se muahida ki khilafat-warzi ka khatra hai. Abu Sufyan ne kaha ke poori guftagu mein siwa is ke aur koi aisa mauqa nahi mila jis mein mein koi aaisi baat (jhooti) mila sakun jis se Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki toheen ho. Aur apne sathiyon ki taraf se bhi jhutlane ka darr na ho. Us ne phir poocha kya tum ne kabhi in se larayi ki hai ya unhon ne tum se jung ki hai? Mein ne kaha ke haan, us ne poocha tumhari larayi ka kya nateeja nikalta hai? Mein ne kaha larayi mein hamesha kisi ek giroh ne fatah nahi hasil ki. Kabhi wo humein maghloob kar lete hain aur kabhi hum unhein, us ne poocha wo tumhein kin kaamon ka hukm dete hain? Kaha humein wo is ka hukm dete hain ke hum sirf Allah ki ibadat karein aur is ka kisi ko bhi shareek na thahrayein, humein in buton ki ibadat se mana karte hain jin ki hamare baap dada ibadat kiya karte thay, namaz, sadaqah, paak-baazi o murawat, wafa, ahd aur amanat ke ada karne ka hukm dete hain. Jab mein ise ye tamam batein bata chuka to us ne apne tarjuman se kaha, in se kaho ke mein ne tum se in (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke nasab ke mutalliq daryaft kiya to tum ne bataya ke wo tumhare yahan sahab-e-nasab aur shareef samjhe jate hain aur anbiya bhi yun hi apni qaum ke ala nasab mein paida kiye jate hain. Mein ne tum se ye poocha tha ke kya nabuwat ka dawa tumhare yahan is se pehle bhi kisi ne kiya tha tum ne bataya ke hamare yahan aisa dawa pehle kisi ne nahi kiya tha, is se mein ye samjha ke agar is se pehle tumhare yahan kisi ne nabuwat ka dawa kiya hota to mein ye bhi keh sakta tha ke ye sahab bhi isi dawa ki naqal kar rahe hain jo is se pehle kiya ja chuka hai. Mein ne tum se daryaft kiya ke kya tum ne dawa-e-nabuwat se pehle kabhi in ki taraf jhoot mansoob kiya tha, tum ne bataya ke aisa kabhi nahi hua. Is se mein is nateeje par pahuncha ke ye mumkin nahi ke ek shakhs jo logon ke mutalliq kabhi jhoot na bol saka ho wo Allah ke mutalliq jhoot bol de. Mein ne tum se daryaft kiya ke in ke baap dadon mein koi badshah tha, tum ne bataya ke nahi. Mein ne is se ye faisla kiya ke agar in ke baap dadon mein koi badshah guzra hota to mein ye bhi keh sakta tha ke (nabuwat ka dawa kar ke) wo apne baap dada ki sultanat hasil karna chahte hain, mein ne tum se daryaft kiya ke in ki ittaba qaum ke bare log karte hain ya kamzor aur be-haisiyat log, tum ne bataya ke kamzor ghareeb qism ke log in ki tabedari karte hain aur yahi giroh anbiya ki (har dour mein) itaat karne wala raha hai. Mein ne tum se poocha ke in tabedaroon ki tadaad barhti rehti hai ya ghat-ti bhi hai? Tum ne bataya ke wo log barabar barh hi rahe hain, iman ka bhi yahi haal hai, yahan tak ke wo mukammal ho jaye, mein ne tum se daryaft kiya ke kya koi shakhs in ke deen mein dakhil hone ke baad kabhi is se phir bhi gaya hai? Tum ne kaha ke aisa kabhi nahi hua, iman ka bhi yahi haal hai jab wo dil ki gehraiyon mein utar jaye to phir koi cheez is se momin ko hata nahi sakti. Mein ne tum se daryaft kiya ke kya unhon ne wada-khilafi bhi ki hai? Tum ne is ka bhi jawab diya ke nahi, anbiya ki yahi shan hai ke wo wada-khilafi kabhi nahi karte. Mein ne tum se daryaft kiya ke kya tum ne kabhi in se ya unhon ne tum se jung bhi ki hai? Tum ne bataya ke aisa hua hai aur tumhari laraiyon ka nateeja hamesha kisi ek hi ke haqq mein nahi gaya. Balke kabhi tum maghloob hue ho aur kabhi wo. Anbiya ke sath bhi aisa hi hota hai wo imtihan mein dale jate hain lekin anjam unhein ka behtar hota hai. Mein ne tum se daryaft kiya ke wo tum ko kin kaamon ka hukm dete hain? Tum ne bataya ke wo humein is ka hukm dete hain ke Allah ki ibadat karo aur is ke sath kisi ko shareek na thahrao aur tumhein tumhare in maboodon ki ibadat se mana karte hain jin ki tumhare baap dada ibadat kiya karte thay. Tumhein wo namaz, sadaqah, paak-baazi, wada-wafayi aur adaa-e-amanat ka hukm dete hain, us ne kaha ke ek Nabi ki yahi sifat hai mere bhi ilm mein ye baat thi ke wo Nabi mabous hone wale hain. Lekin ye khayal na tha ke tum mein se wo mabous honge, jo batein tum ne batayin agar wo sahi hain to wo din bahut qareeb hai jab wo is jagah par hukm-ran honge jahan is waqt mere donon qadam maujood hain, agar mujhe in tak pahunch sakne ki tawaqqo hoti to mein in ki khidmat mein hazir hone ki poori koshish karta aur agar mein in ki khidmat mein maujood hota to in ke paon dhota. Abu Sufyan ne bayan kiya ke is ke baad Qaisar ne Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ka nama-e-mubarak talab kiya aur wo is ke samne parha gaya is mein likha hua tha (Tarjuma) Shuru karta hoon Allah ke naam se jo bara hi meharban nihayat reham karne wala hai. Ye khat hai Muhammad Allah ke bande aur is ke Rasul ki taraf se Room ke badshah Hirqal ki taraf, is shakhs par salamti ho jo hidayat qabool kar le. Amma-baad mein tumhein Islam ki dawat deta hoon. Islam qabool karo, tumhein bhi salamti o aman hasil hogi aur Islam qabool karo Allah tumhein dohra ajar dega (ek tumhare apne Islam ka aur doosra tumhari qaum ke Islam ka jo tumhari wajah se Islam mein dakhil hogi) lekin agar tum ne is dawat se munh mor liya to tumhari raaya ka gunah bhi tum par hoga. Aur ae ahl-e-kitab! Ek aise kalma par aa kar hum se mil jao jo hamare aur tumhare darmiyan ek hi hai ye ke hum Allah ke siwa aur kisi ki ibadat na karein na is ke sath kisi ko shareek thahrayein aur na hum mein se koi Allah ko chor kar aapas mein ek doosre ko parvardigar banaye ab bhi agar tum munh mor-te ho to is ka iqrar kar lo ke (Allah Ta'ala ka waqayi) farman-bardar hum hi hain. Abu Sufyan ne bayan kiya ke jab Hirqal apni baat poori kar chuka to Room ke sardar is ke ard-gird jama thay, sab ek sath cheekhne lage aur shor o ghul bahut barh gaya. Mujhe kuch pata nahi chala ke ye log kya keh rahe thay. Phir humein hukm diya gaya aur hum wahan se nikal diye gaye. Jab mein apne sathiyon ke sath wahan se chala aaya aur un ke sath tanhayi hui to mein ne kaha ke Ibn Abi Kabsha (murad Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam se hai) ka mamla bahut aage barh chuka hai, ”Banu-ul-Asfar “ (Roomiyon) ka badshah bhi is se darta hai, Abu Sufyan ne bayan kiya ke Allah ki qasam! Mujhe isi din se apni zillat ka yaqeen ho gaya tha aur barabar is baat ka bhi yaqeen raha ke Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) zaroor ghalib honge, yahan tak ke Allah Ta'ala ne mere dil mein bhi Islam dakhil kar diya. Halanke (pehle) mein Islam ko bura jaanta tha
.


تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Famous Name
Rank
Ahadith
أبو سفيان بن حرب القرشي، أبو سفيان، أبو حنظلةصحابي
Referencing of the Hadith:
Book Name
Number
Short Arabic Text
صحيح البخاري
2941
لترجمانه سلهم أيهم أقرب نسبا إلى هذا الرجل الذي يزعم أنه نبي قال أبو سفيان فقلت أنا أقربهم إليه نسبا قال ما قرابة ما بينك وبينه فقلت هو ابن عمي وليس في الركب يومئذ أحد من بني عبد مناف غيري فقال قيصر أدنوه وأمر بأصحابي فجعلوا خلف ظهري عند كتفي ثم قال لترجم
صحيح البخاري
7
أيكم أقرب نسبا بهذا الرجل الذي يزعم أنه نبي فقال أبو سفيان فقلت أنا أقربهم نسبا فقال أدنوه مني وقربوا أصحابه فاجعلوهم عند ظهره ثم قال لترجمانه قل لهم إني سائل هذا عن هذا الرجل فإن كذبني فكذبوه فوالله لولا الحياء من أن يأثروا علي كذبا لكذبت عنه ثم كان أول
سنن أبي داود
5136
سلام على من اتبع الهدى
صحيح مسلم
4607
ايكم اقرب نسبا من هذا الرجل الذي يزعم انه نبي؟، فقال ابو سفيان: فقلت: انا فاجلسوني بين يديه واجلسوا اصحابي خلفي ثم دعا بترجمانه، فقال له: قل لهم إني سائل هذا عن الرجل الذي يزعم انه نبي فإن كذبني فكذبوه
سلسله احاديث صحيحه
4033
بسم الله الرحمن الرحيم: من محمد عبد الله ورسوله: إلى هرقل عظيم الروم؛ سلام على من اتبع الهدى، اما بعد: فإني ادعوك بدعاية الإسلام: اسلم تسلم: يؤتك الله اجرك مرتين؛ فإن توليت فإن عليك إثم الاريسيين
سلسله احاديث صحيحه
186
بسم الله الرحمن الرحيم: من محمد عبد الله ورسوله: إلى هرقل عظيم الروم؛ سلام على من اتبع الهدى، اما بعد: فإني ادعوك بدعاية الإسلام: اسلم تسلم: يؤتك الله اجرك مرتين؛ فإن توليت فإن عليك إثم الاريسيين
الأدب المفرد للبخاري
1109
بسم الله الرحمن الرحيم، من محمد عبد الله ورسوله إلى هرقل عظيم الروم، سلام على من اتبع الهدى، اما بعد، فإني ادعوك بدعاية الإسلام، اسلم تسلم، يؤتك الله اجرك مرتين، فإن توليت فإن عليك إثم الاريسيين