الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الصوم
Kitab: Rozay ke masail ka bayan
باب من مات وعليه صوم:
Bab: Agar koi shakhs mar jaye aur is ke zimma roze hon.
Hadith Number: 1953
حدثنا محمد بن عبد الرحيم، حدثنا معاوية بن عمرو، حدثنا زائدة، عن الاعمش، عن مسلم البطين، عن سعيد بن جبير، عن ابن عباس رضي الله عنه، قال:" جاء رجل إلى النبي صلى الله عليه وسلم، فقال: يا رسول الله، إن امي ماتت وعليها صوم شهر، افاقضيه عنها؟ قال: نعم، قال: فدين الله احق ان يقضى"، قال سليمان: فقال الحكم وسلمة ونحن جميعا جلوس، حين حدث مسلم بهذا الحديث، قالا: سمعنا مجاهدا يذكر هذا عن ابن عباس، ويذكر عن ابي خالد، حدثنا الاعمش، عن الحكم، ومسلم البطين، وسلمة بن كهيل، عن سعيد بن جبير، وعطاء، ومجاهد، عن ابن عباس، قالت امراة للنبي صلى الله عليه وسلم: إن اختي ماتت، وقال يحيى، وابو معاوية، حدثنا الاعمش، عن مسلم، عن سعيد بن جبير، عن ابن عباس، قالت امراة للنبي صلى الله عليه وسلم: إن امي ماتت، وقال عبيد الله، عن زيد بن ابي انيسة، عن الحكم، عن سعيد بن جبير، عن ابن عباس، قالت امراة للنبي صلى الله عليه وسلم: إن امي ماتت وعليها صوم نذر، وقال ابو حريز، حدثنا عكرمة، عن ابن عباس، قالت امراة للنبي صلى الله عليه وسلم: ماتت امي وعليها صوم خمسة عشر يوما.
Hum se Muhammad Bin Abdul Rahim ne bayan kiya, kaha hum se Muawiyah Bin Amr ne bayan kiya, kaha hum se Zaidah ne bayan kiya, un se Amash ne, un se Muslim Bateen ne, un se Saeed Bin Jubair ne aur un se Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne ke ek shakhs Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki khidmat mein hazir hua aur arz ki ya Rasul Allah! meri maan ka intiqal ho gaya aur un ke zimme ek mahine ke roze baqi reh gaye hain. Kya mein un ki taraf se qaza rakh sakta hoon ? Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya han zaroor, Allah Ta'ala ka qarz is baat ka zyada mustahiq hai ke usay ada kar diya jaye. Suleiman Amash ne bayan kiya ke Hakam aur Salma ne kaha jab Muslim Bateen ne ye hadees bayan kiya to hum sab wahin baithe hue thay. In donon hazraat ne farmaya ke hum ne Mujahid se bhi suna tha ke wo ye hadees Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) se bayan karte thay. Abu Khalid se riwayat hai ke Amash ne bayan kiya un se Hakam, Muslim Bateen aur Salma Bin Kuhail ne, un se Saeed Bin Jubair, Ata aur Mujahid ne Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) se ke ek khatoon ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se arz ki ke meri ”behan“ ka intiqal ho gaya hai phir yehi qissa bayan kiya, Yahya aur Saeed aur Abu Muawiyah ne kaha, un se Amash ne bayan kiya, un se Muslim ne, un se Saeed ne aur un se Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne ke ek khatoon ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se arz ki ke meri maan ka intiqal ho gaya hai aur Ubaidullah ne bayan kiya, un se Zaid Ibn Abi Aneesa ne, un se Hakam ne, un se Saeed Bin Jubair ne aur un se Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne ke ek khatoon ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se arz ki ke meri maan ka intiqal ho gaya hai aur un par nazar ka ek roza wajib tha aur Abu Hareez Abdullah Bin Husain ne bayan kiya, kaha hum se Ikrima ne bayan kiya aur un se Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne ke khatoon ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki khidmat mein arz ki ke meri maan ka intiqal ho gaya hai aur un par pandrah din ke roze wajib thay
.
.
تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Referencing of the Hadith:
Book Name | Number | Short Arabic Text |
|---|---|---|
صحيح البخاري |
1953
| أمي ماتت وعليها صوم شهر أفأقضيه عنها قال نعم قال فدين الله أحق أن يقضى |
صحيح مسلم | 2693 | أرأيت لو كان عليها دين أكنت تقضينه قالت نعم قال فدين الله أحق بالقضاء |
جامع الترمذي | 716 | أختي ماتت وعليها صوم شهرين متتابعين قال أرأيت لو كان على أختك دين أكنت تقضينه قالت نعم قال فحق الله أحق |
سنن النسائى الصغرى | 2633 | أرأيت لو كان على أختك دين أكنت قاضيه قال نعم قال فاقضوا الله فهو أحق بالوفاء |
سنن ابن ماجه | 1758 | أرأيت لو كان على أختك دين أكنت تقضينه قالت بلى قال فحق الله أحق |