الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الزكاة
Kitab: Zakat ke masail ka bayan
باب الزكاة على الأقارب:
Apne rishtedaron ko zakat dena.
Show diacritics
Hadith Number: 1462
حدثنا ابن ابي مريم، اخبرنا محمد بن جعفر , قال: اخبرني زيد هو ابن اسلم، عن عياض بن عبد الله، عن ابي سعيد الخدري رضي الله عنه،" خرج رسول الله صلى الله عليه وسلم في اضحى او فطر إلى المصلى، ثم انصرف فوعظ الناس وامرهم بالصدقة , فقال: ايها الناس تصدقوا، فمر على النساء , فقال: يا معشر النساء تصدقن فإني رايتكن اكثر اهل النار، فقلن: وبم ذلك يا رسول الله، قال: تكثرن اللعن وتكفرن العشير، ما رايت من ناقصات عقل ودين اذهب للب الرجل الحازم من إحداكن يا معشر النساء، ثم انصرف فلما صار إلى منزله جاءت زينب امراة ابن مسعود تستاذن عليه، فقيل يا رسول الله: هذه زينب، فقال: اي الزيانب، فقيل: امراة ابن مسعود، قال: نعم ائذنوا لها، فاذن لها، قالت: يا نبي الله إنك امرت اليوم بالصدقة وكان عندي حلي لي فاردت ان اتصدق به، فزعم ابن مسعود انه وولده احق من تصدقت به عليهم، فقال النبي صلى الله عليه وسلم: صدق ابن مسعود زوجك وولدك احق من تصدقت به عليهم".
Hum se Saeed bin Abi Maryam ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha ke humein Muhammad bin Jafar ne khabar di ‘ unhon ne kaha ke mujhe Zaid bin Aslam ne khabar di ‘ unhein Iyadh bin Abdullah ne ‘ aur un se Abu Saeed Khudri razi Allahu anhu ne byaan kiya ‘ ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam Eid-ul-Adha ya Eid-ul-Fitr mein Eid gah tashreef le gaye . Phir (namaaz ke baad) logon ko waaz farmaya aur sadqa ka hukm diya . Farmaya: Logo! Sadqa do . Phir Aap salla Allahu alaihi wasallam auraton ki taraf gaye aur un se bhi yahi farmaya ke aurato! Sadqa do ke maine Jahannam mein bakasrat tum hi ko dekha hai . Auraton ne poocha ke Ya Rasool Allah! Aisa kyun hai ? Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ‘ is liye ke tum laan-o-tan zyada karti ho aur apne shauhar ki nashukri karti ho . Maine tum se zyada aqal aur deen ke aitbar se naqis aisi koi makhlooq nahi dekhi jo kaar-aazmooda mard ki aqal ko bhi apni mutthi mein le leti ho . Haan ae aurato! Phir Aap salla Allahu alaihi wasallam wapas ghar puhanche to Ibn Masood razi Allahu anhu ki biwi Zainab razi Allahu anha aayin aur ijazat chahi . Aap salla Allahu alaihi wasallam se kaha gaya ke yeh Zainab aayi hain . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne daryaft farmaya ke kaun si Zainab (kyunke Zainab naam ki bahut si auraten thi) kaha gaya ke Ibn Masood razi Allahu anhu ki biwi . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya . Accha unhein ijazat de do ‘ chunanche ijazat de di gayi . Unhon ne aa kar arz kiya ke Ya Rasool Allah! Aaj Aap ne sadqa ka hukm diya tha . Aur mere paas bhi kuch zewar hai jisay main sadqa karna chahti thi . Lekin (mere khawand) Ibn Masood razi Allahu anhu yeh khayal karte hain ke woh aur un ke larke is ke in (miskeenon) se zyada mustahiq hain jin par main sadqa karoon gi . Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne is par farmaya ke Ibn Masood razi Allahu anhu ne sahih kaha . Tumhare shauhar aur tumhare larke is sadqa ke un se zyada mustahiq hain jinhein tum sadqa ke taur par do gi . (Maloom hua ke aqarib agar muhtaj hon to sadqa ke awwaleen mustahiq wahi hain) .


تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Famous Name
Rank
Ahadith
أبو سعيد الخدري، أبو سعيدصحابي
عياض بن عبد الله العامريثقة
زيد بن أسلم القرشي، أبو خالد، أبو أسامة، أبو عبد اللهثقة
محمد بن جعفر الأنصاريثقة
سعيد بن أبي مريم الجمحي، أبو محمدثقة ثبت
Referencing of the Hadith:
Book Name
Number
Short Arabic Text
صحيح البخاري
304
يا معشر النساء تصدقن أريتكن أكثر أهل النار تكثرن اللعن وتكفرن العشير ما رأيت من ناقصات عقل ودين أذهب للب الرجل الحازم من إحداكن قلن وما نقصان ديننا وعقلنا يا رسول الله قال أليس شهادة المرأة مثل نصف شهادة الرجل
صحيح البخاري
1462
تصدقن فإني رأيتكن أكثر أهل النار
صحيح مسلم
2053
تصدقوا تصدقوا تصدقوا وكان أكثر من يتصدق النساء ثم ينصرف
سنن ابن ماجه
1288
تصدقوا تصدقوا فأكثر من يتصدق النساء بالقرط والخاتم والشيء
بلوغ المرام
125
اليس إذا حاضت المراة لم تصل ولم تصم
مشكوة المصابيح
19
يا معشر النساء تصدقن فإني اريتكن اكثر اهل النار
بلوغ المرام
515
‏‏‏‏صدق ابن مسعود،‏‏‏‏ زوجك وولدك احق من تصدقت به عليهم