الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الجنائز
Kitab: Janaze ke ahkam o masail
باب قول النبى صلى الله عليه وسلم: يعذب الميت ببعض بكاء أهله عليه إذا كان النوح من سنته:
Bab: Nabi Kareem ﷺ ka ye farmana ke mayyit par us ke ghar walon ke rone se azab hota hai yani jab rona maatam karna mayyit ke khandaan ki rasm ho.
Hadith Number: 1285
حدثنا عبد الله بن محمد، حدثنا ابو عامر، حدثنا فليح بن سليمان، عن هلال بن علي، عن انس بن مالك رضي الله عنه , قال:" شهدنا بنتا لرسول الله صلى الله عليه وسلم , قال: ورسول الله صلى الله عليه وسلم جالس على القبر , قال: فرايت عينيه تدمعان , قال: فقال هل منكم رجل لم يقارف الليلة؟ , فقال ابو طلحة: انا، قال: فانزل، قال: فنزل في قبرها".
Hum se Abdullah bin Muhammad Musandi ne byaan kiya ‘ kaha hum se Abu Aamir Aqdi ne byaan kiya ‘ kaha hum se Falih bin Sulayman ne byaan kiya ‘ un se Hilal bin Ali ne aur un se Anas bin Malik razi Allahu anhu ne ke hum Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki ek beti (Umm Kulsoom razi Allahu anha) ke janaza mein hazir thay . (woh Uthman Ghani razi Allahu anhu ki biwi thin . jin ka 5 hijri mein intiqal hua) Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam qabr par baithe huay thay . Unhon ne kaha ke main ne dekha ke Aap salla Allahu alaihi wasallam ki aankhein aansuon se bhar aayi thin . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne poocha . Kya tum mein koi aisa shakhs bhi hai ke jo aaj ki raat aurat ke paas na gaya ho . Is par Abu Talha razi Allahu anhu ne kaha ke main hoon . Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke phir qabr mein tum utro . Chunanche woh un ki qabr mein utre .
تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Famous Name | Rank | Ahadith |
|---|---|---|
| أنس بن مالك الأنصاري، أبو حمزة، أبو النضر | صحابي | |
| هلال بن أبي ميمونة القرشي | ثقة | |
| فليح بن سليمان الأسلمي، أبو يحيى | صدوق كثير الخطأ | |
| عبد الملك بن عمرو القيسي، أبو عامر | ثقة | |
| عبد الله بن محمد الجعفي، أبو جعفر | ثقة حافظ |