الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الجنائز
Kitab: Janaze ke ahkam o masail
باب قول النبى صلى الله عليه وسلم: يعذب الميت ببعض بكاء أهله عليه إذا كان النوح من سنته:
Bab: Nabi Kareem ﷺ ka ye farmana ke mayyit par us ke ghar walon ke rone se azab hota hai yani jab rona maatam karna mayyit ke khandaan ki rasm ho.
Show diacritics
Hadith Number: 1286
حدثنا عبدان، حدثنا عبد الله، اخبرنا ابن جريج , قال: اخبرني عبد الله بن عبيد الله بن ابي مليكة قال:" توفيت ابنة لعثمان رضي الله عنه بمكة، وجئنا لنشهدها وحضرها ابن عمر وابن عباس رضي الله عنهم، وإني لجالس بينهما , او قال: جلست إلى احدهما، ثم جاء الآخر فجلس إلى جنبي , فقال عبد الله بن عمر رضي الله عنهما لعمرو بن عثمان: الا تنهى عن البكاء، فإن رسول الله صلى الله عليه وسلم , قال: إن الميت ليعذب ببكاء اهله عليه.
Hum se Abdan ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha ke hum se Abdullah bin Mubarak ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha ke hum ko Ibn Jurayj ne khabar di ‘ unhon ne kaha ke mujhe Abdullah bin Ubaydullah bin Abi Mulaykah ne khabar di ke Uthman razi Allahu anhu ki ek saahibzadi (Umm Aban) ka Makkah mein intiqal ho gaya tha . Hum bhi un ke janaze mein hazir huay . Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma aur Abdullah bin Abbas razi Allahu anhuma bhi tashreef laaye . Main in donon hazrat ke darmiyan mein baitha hua tha ya yeh kaha ke main ek buzurg ke qareeb baith gaya aur doosre buzurg baad mein aaye aur mere baazu mein baith gaye . Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne Amr bin Uthman se kaha (jo Umm Aban ke bhai thay) rone se kyon nahin rokte . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne to farmaya hai ke mayyat par ghar walon ke rone se azab hota hai .


تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Famous Name
Rank
Ahadith
عبد الله بن عمر العدوي، أبو عبد الرحمنصحابي
عبد الله بن أبي مليكة القرشي، أبو محمد، أبو بكرثقة
ابن جريج المكي، أبو خالد، أبو الوليدثقة
عبد الله بن المبارك الحنظلي، أبو عبد الرحمنثقة ثبت فقيه عالم جواد مجاهد جمعت فيه خصال الخير
عبد الله بن عثمان العتكي، أبو عبد الرحمنثقة حافظ