الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ مَنْ مَاتَ وَعَلَيْهِ نَذْرٌ:
Jo mar gaya aur us par koi nazr baqi reh gayi.
Show diacritics
Hadith Number: 6698
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، عن الزهري، قال: اخبرني عبيد الله بن عبد الله بن عتبة، ان عبد الله بن عباس، اخبره:" ان سعد بن عبادة الانصاري، استفتى النبي صلى الله عليه وسلم، في نذر كان على امه، فتوفيت قبل ان تقضيه، فافتاه ان يقضيه عنها"، فكانت سنة بعد.
Hum se Abu al-Yaman ne bayan kiya, kaha hum ko Shuayb ne khabar di, in se Zuhri ne, unhein Ubaidullah bin Abdullah ne khabar di, unhein Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne khabar di, unhein Saad bin Ubadah razi Allahu anhu ne khabar di ke unhon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se ek nazr ke baare mein poochha jo in ki walda ke zimma baqi ku aur in ki maut nazr poori karne se pehle ho gayi ku. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne unhein fatwa diya ke nazr woh apni maan ki taraf se poori kar dein. Chunanche baad mein yahi tariqa masnoona qarar paya.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6699
حدثنا آدم، حدثنا شعبة، عن ابي بشر، قال: سمعت سعيد بن جبير، عن ابن عباس رضي الله عنهما، قال: اتى رجل النبي صلى الله عليه وسلم، فقال له: إن اختي قد نذرت ان تحج وإنها ماتت، فقال النبي صلى الله عليه وسلم:" لو كان عليها دين اكنت قاضيه؟"، قال: نعم، قال:" فاقض الله، فهو احق بالقضاء".
Hum se Adam ne bayan kiya, kaha hum se Shubah ne bayan kiya, in se Abu Bishr ne, kaha ke main ne Saeed bin Jubayr se suna, in se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke ek sahab Rasool Allahsalla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein aaye aur arz kiya ke meri behen ne nazr maani ku ke Hajj karein gi lekin ab in ka intiqal ho chuka hai? Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke agar in par koi qarz hota to kiya tum usay ada karte? Unhon ne arz ki zaroor ada karte. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke phir Allah ka qarz bhi ada karo kyunke woh is ka zyada mustahiq hai ke is ka qarz poora ada kiya jaye.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ النَّذْرِ فِيمَا لاَ يَمْلِكُ وَفِي مَعْصِيَةٍ:
Aisi cheez ki nazr jo us ki milkiyat mein nahin hai.
Show diacritics
Hadith Number: 6700
حدثنا ابو عاصم، عن مالك، عن طلحة بن عبد الملك، عن القاسم، عن عائشة رضي الله عنها، قالت: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" من نذر ان يطيع الله، فليطعه، ومن نذر ان يعصيه، فلا يعصه".
Hum se Abu Aasim ne bayan kiya, in se Imam Malik ne, in se Talha bin Abd-ul-Malik ne, in se Qasim ne aur in se Aisha razi Allahu anha ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”jis ne Allah ki itaat ki nazr maani ho usay chahiye ke itaat kare aur jis ne gunah karne ki nazr maani ho pas woh gunah na kare.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6701
حدثنا مسدد، حدثنا يحيى، عن حميد، حدثني ثابت، عن انس، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" إن الله لغني عن تعذيب هذا نفسه ورآه يمشي بين ابنيه"، وقال الفزاري: عن حميد، حدثني ثابت، عن انس.
Hum se Musaddad ne bayan kiya, kaha hum se Yahya ne bayan kiya, in se Humayd ne, in se Sabit ne aur in se Anas razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”Allah Ta'ala is se be-parwa hai ke yeh shakhs apni jaan ko azab mein daale.“ Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne usay dekha ke woh apne do beton ke darmiyan chal raha thu aur Fazari ne bayan kiya, in se Humayd ne, in se Sabit ne bayan kiya aur in se Anas razi Allahu anhu ne.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6702
حدثنا ابو عاصم، عن ابن جريج، عن سليمان الاحول، عن طاوس، عن ابن عباس، ان النبي صلى الله عليه وسلم:" راى رجلا يطوف بالكعبة بزمام او غيره، فقطعه".
Hum se Abu Aasim ne bayan kiya, in se Ibn Jurayj ne, in se Sulayman al-Ahwal ne, in se Taoos ne, in se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne ek shakhs ko dekha ke woh Kaba ka tawaf lagam ya is ke siwa kisi aur cheez ke zariye kar raha thu to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne usay kaat diya.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6703
حدثنا إبراهيم بن موسى، اخبرنا هشام، ان ابن جريج، اخبرهم، قال: اخبرني سليمان الاحول: ان طاوسا، اخبره، عن ابن عباس رضي الله عنهما، ان النبي صلى الله عليه وسلم:" مر وهو يطوف بالكعبة بإنسان يقود إنسانا بخزامة في انفه، فقطعها النبي صلى الله عليه وسلم بيده، ثم امره ان يقوده بيده".
Hum se Ibrahim bin Musa ne bayan kiya, kaha hum ko Hisham ne khabar di, unhein Ibn Jurayj ne khabar di, kaha ke mujhe Sulayman al-Ahwal ne khabar di, unhein Taoos ne khabar di aur unhein Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam guzre to Kaba ka ek shakhs is tarah tawaf kar raha thu ke doosra shakhs is ki naak mein rasi baandh kar is ke aage se is ki rahnumayi kar raha thu. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne woh rasi apne hath se kaat di, phir hukm diya ke hath se is ki rahnumayi kare.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6704
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا وهيب، حدثنا ايوب، عن عكرمة، عن ابن عباس، قال: بينا النبي صلى الله عليه وسلم يخطب، إذا هو برجل قائم: فسال عنه؟ فقالوا: ابو إسرائيل: نذر ان يقوم، ولا يقعد، ولا يستظل، ولا يتكلم، ويصوم، فقال النبي صلى الله عليه وسلم:" مره فليتكلم، وليستظل، وليقعد، وليتم صومه"، قال عبد الوهاب: حدثنا ايوب، عن عكرمة، عن النبي صلى الله عليه وسلم.
Hum se Musa bin Ismail ne bayan kiya, kaha hum se Wuhaib ne, kaha hamase Ayub ne, in se Ikrimah ne aur in se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke Rasool Allahsalla Allahu alaihi wasallam khutba de rahe thay ke ek shakhs ko khare dekha. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne is ke mutalliq poochha to logon ne bataya ke yeh Abu Israeel naami hain. Unhon ne nazr maani hai ke khare hi rahein ge, baithein ge nahi, na kisi cheez ke saye mein baithein ge aur na kisi se baat karein ge aur roza rakhein ge. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke in se kaho ke baat karein, saye ke neeche baithein uthein aur apna roza poora kar lein. Abd-ul-Wahhab ne bayan kiya ke hamase Ayub ne bayan kiya, in se Ikrimah ne aur in se Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَنْ نَذَرَ أَنْ يَصُومَ أَيَّامًا فَوَافَقَ النَّحْرَ أَوِ الْفِطْرَ:
Jis ne kuch khaas dinon mein roza rakhne ki nazr maani ho phir ittefaaq se un dinon mein Baqr Eid ya Eid ho gayi to us din roza na rakhe (jumhoor ka yahi qaul hai).
Show diacritics
Hadith Number: 6705
حدثنا محمد بن ابي بكر المقدمي، حدثنا فضيل بن سليمان، حدثنا موسى بن عقبة، حدثنا حكيم بن ابي حرة الاسلمي، انه سمع عبد الله بن عمر رضي الله عنهما، سئل عن رجل نذر ان لا ياتي عليه يوم إلا صام، فوافق يوم اضحى او فطر، فقال:" لقد كان لكم في رسول الله اسوة حسنة، لم يكن يصوم يوم الاضحى والفطر، ولا يرى صيامهما".
Hum se Muhammad bin Abu Bakr Muqad-dami ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Fuzhail bin Sulayman ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Musa bin Uqbah ne bayan kiya, kaha hamase Hakeem bin Abi Harra Aslami ne bayan kiya, unhon ne Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma se suna, in se aise shakhs ke mutalliq poochha gaya jis ne nazr maani ho ke kuch makhsus dinon mein roze rakkhe ga. Phir ittifaq se unhi dinon mein Baqr-Eid ya Eid ke din par gaye hon? Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne kaha ke tumhare liye Rasool Allahsalla Allahu alaihi wasallam ki zindagi behtareen namoona hai. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam Baqr-Eid aur Eid ke din roze nahi rakhte thay aur na in dinon mein roze ko jaiz samajhte thay.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6706
حدثنا عبد الله بن مسلمة، حدثنا يزيد بن زريع، عن يونس، عن زياد بن جبير، قال: كنت مع ابن عمر، فساله رجل، فقال: نذرت ان اصوم كل يوم ثلاثاء، او اربعاء ما عشت، فوافقت هذا اليوم يوم النحر، فقال:" امر الله بوفاء النذر، ونهينا ان نصوم يوم النحر"، فاعاد عليه، فقال: مثله لا يزيد عليه.
Hum se Abdullah bin Maslamah ne bayan kiya, kaha hum se Yazid bin Zhari ne bayan kiya, in se Yunus ne, in se Ziyada bin Jubayr ne bayan kiya ke main Ibn Umar razi Allahu anhuma ke saath thu ek shakhs ne in se poochha ke main ne nazr maani hai ke har mangal ya budh ke din roza rakhoon ga. Ittifaq se isi din ki Baqr-Eid par gayi hai? Ibn Umar razi Allahu anhuma ne kaha ke Allah Ta'ala ne nazr poori karne ka hukm diya hai aur hamain Baqr-Eid ke din roza rakhne ki mamanat ki gayi hai. Is shakhs ne dobara apna sawal doharaya to Aap ne phir is se sirf itni hi baat kahi is par koi zyadi nahi ki.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ هَلْ يَدْخُلُ فِي الأَيْمَانِ وَالنُّذُورِ الأَرْضُ وَالْغَنَمُ وَالزُّرُوعُ وَالأَمْتِعَةُ:
Kya qasmon aur nazron mein zeen, bakriyan, kheti aur saamaan bhi aate hain?
Show diacritics
Hadith Number: Q6707
وقال ابن عمر: قال عمر: للنبي صلى الله عليه وسلم اصبت ارضا لم اصب مالا قط انفس منه، قال: إن شئت حبست اصلها وتصدقت بها، وقال ابو طلحة: للنبي صلى الله عليه وسلم احب اموالي إلي بيرحاء لحائط له مستقبلة المسجد.
Umar razi Allahu anhu ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se kaha ke mujhe aaisi zameen mil gayi hai ke kabhi is se umdah maal nahi mila thu? Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke agar chaho to asal zameen apne paas rakkho aur is ki paidawar sadqa kar do. Abu Talha razi Allahu anhu ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se arz ki, Beru-haa naami bagh mujhe apne tamam amwal mein sab se zyada pasandida hai. Yeh Masjid e Nabwi ke samne ek bagh thu.