الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ: {وَكَانَ أَمْرُ اللَّهِ قَدَرًا مَقْدُورًا}:
Aur Allah ne jo hukm diya hai (taqdeer mein jo kuch likh diya hai) woh zaroor ho kar rahe ga.
Show diacritics
Hadith Number: 6603
حدثنا حبان بن موسى، اخبرنا عبد الله، اخبرنا يونس، عن الزهري، قال: اخبرني عبد الله بن محيريز الجمحي، ان ابا سعيد الخدري، اخبره: انه بينما هو جالس عند النبي صلى الله عليه وسلم، جاء رجل من الانصار، فقال: يا رسول الله، إنا نصيب سبيا ونحب المال كيف ترى في العزل، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" اوإنكم لتفعلون ذلك، لا عليكم ان لا تفعلوا، فإنه ليست نسمة كتب الله ان تخرج إلا هي كائنة".
Hum se Habban bin Musa ne bayan kiya , unhon ne kaha hum ko Abdullah bin Mubarak ne khabar di , unhon ne kaha hum ko Yunus ne khabar di , unhein Zuhri ne kaha ke hamain ko Abdullah bin Muhayreezh Jumhi ne khabar di , unhein Abu Saeed Khudri razi Allahu anhu ne ke woh Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke paas baithe huay thay ke qabila Ansar ka ek aadmi aaya aur arz kiya: ya Rasool Allah! Hum londiyon se hum-bistari karte hain aur maal se mohabbat karte hain . Aap ka azhal ke baare mein kya khayal hai ? Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke achha tum aisa karte ho , tumhare liye kuch qabahat nahi agar tum aisa na karo , kyunke jis jaan ki bhi paidaish Allah ne likh di hai woh zaroor paida ho kar rahe gi .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6604
حدثنا موسى بن مسعود، حدثنا سفيان، عن الاعمش، عن ابي وائل، عن حذيفة رضي الله عنه، قال:" لقد خطبنا النبي صلى الله عليه وسلم خطبة ما ترك فيها شيئا إلى قيام الساعة، إلا ذكره علمه من علمه، وجهله من جهله، إن كنت لارى الشيء قد نسيت فاعرف ما يعرف الرجل إذا غاب عنه فرآه فعرفه".
Hum se Musa bin Masood ne bayan kiya , kaha hum se Sufyan ne bayan kiya , in se Aamash ne bayan kiya , in se Abu Wail ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne hamain ek khutba diya aur Qayamat tak koi (deeni) cheez aaisi nahi chhorri jis ka bayan na kiya ho , jise yaad rakhna tha us ne yaad rakkha aur jise bhoolna tha woh bhool gaya , jab main in ki koi cheez dekhta hoon jise main bhool chuka hoon to is tarah usay pehchan laita hoon jis tarah woh shakhs jis ki koi cheez gum ho gayi ho ke jab woh usay dekhta hai to fauran pehchan laita hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6605
حدثنا عبدان، عن ابي حمزة، عن الاعمش، عن سعد بن عبيدة، عن ابي عبد الرحمن السلمي، عن علي رضي الله عنه، قال: كنا جلوسا مع النبي صلى الله عليه وسلم ومعه عود ينكت في الارض وقال:" ما منكم من احد إلا قد كتب مقعده من النار او من الجنة"، فقال رجل من القوم: الا نتكل يا رسول الله، قال:" لا اعملوا فكل ميسر، ثم قرا فاما من اعطى واتقى سورة الليل آية 5 الآية".
Hum se Abdan ne bayan kiya , in se Abu Hamza ne , in se Aamash ne , in se Saad bin Ubaidah ne , in se Abu Abd-ur-Rahman Salmi ne aur in se Ali razi Allahu anhu ne bayan kiya ke hum Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke saath baithe huay thay aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke hath mein ek lakri thi jis se Aap zameen kureed rahe thay aur Aap salla Allahu alaihi wasallam ne (isi asna mein) farmaya ke tum mein se har shakhs ka jahannum ka ya jannat ka thikana likha ja chuka hai , ek Musalman ne is par arz kiya: ya Rasool Allah! Phir kyun na hum is par bharosa kar lein ? Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke nahi amal karo kyunke har shakhs (apni taqdeer ke mutabiq) amal ki aasani paata hai . Phir Aap salla Allahu alaihi wasallam ne is aayat ki tilawat ki «fa-ammaa man aataa wattaqaa» al-aayah pas jis ne raah e lillah diya aur taqwa ikhtiyar kiya ... alkh .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْعَمَلُ بِالْخَوَاتِيمِ:
Amalon ka aitbaar khaatma par mauqoof hai.
Show diacritics
Hadith Number: 6606
حدثنا حبان بن موسى، اخبرنا عبد الله، اخبرنا معمر، عن الزهري، عن سعيد بن المسيب، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال: شهدنا مع رسول الله صلى الله عليه وسلم خيبر، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم لرجل ممن معه يدعي الإسلام:" هذا من اهل النار"، فلما حضر القتال: قاتل الرجل من اشد القتال وكثرت به الجراح فاثبتته، فجاء رجل من اصحاب النبي صلى الله عليه وسلم، فقال: يا رسول الله، ارايت الرجل الذي تحدثت انه من اهل النار قد قاتل في سبيل الله من اشد القتال، فكثرت به الجراح، فقال النبي صلى الله عليه وسلم:" اما إنه من اهل النار"، فكاد بعض المسلمين يرتاب، فبينما هو على ذلك، إذ وجد الرجل الم الجراح فاهوى بيده إلى كنانته فانتزع منها سهما فانتحر بها، فاشتد رجال من المسلمين إلى رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقالوا: يا رسول الله، صدق الله حديثك، قد انتحر فلان فقتل نفسه، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" يا بلال، قم فاذن لا يدخل الجنة إلا مؤمن، وإن الله ليؤيد هذا الدين بالرجل الفاجر".
Hum se Habban bin Musa ne bayan kiya , unhon ne kaha hum ko Abdullah bin Mubarak ne khabar di , unhon ne kaha hum ko Mamar ne khabar di , unhein Zuhri ne , unhein Saeed bin al-Musayyab ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke hum Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke saath Khaibar ki larayi mein maujood thay , Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne ek shakhs ke baare mein jo Aap ke saath shareek e jihad thu aur Islam ka dawedar thu farmaya ke yeh jahannumi hai . Jab jang hone lagi to is shakhs ne bahut jum kar larayi mein hissa liya aur bahut zyada zakhmi ho gaya phir bhi woh sabit-qadam raha . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke ek sahabi ne aa kar arz kiya: ya Rasool Allah! Is shakhs ke baare mein Aap ko maloom hai jis ke baare mein abhi Aap ne farmaya thu ke woh jahannumi hai woh to Allah ke raaste mein bahut jum kar lara hai aur bahut zyada zakhmi ho gaya hai . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne ab bhi yahi farmaya ke woh jahannumi hai . Mumkin tha ke baaz Musalman shubha mein par jaate lekin is arsa mein is shakhs ne zakhmon ki taab na la kar apna tarkash khola aur is mein se ek teer nikaal kar apne Aap ko zibah kar liya . Phir bahut se Musalman Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein dorte huay pahunche aur arz kiya: ya Rasool Allah! Allah Ta'ala ne Aap ki baat sach kar dikhayi . Is shakhs ne apne Aap ko halak kar ke apni jaan khud hi khatm kar daali . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne is mauqa par farmaya ke Ae Bilal! Utho aur logon mein elaan kar do ke jannat mein sirf momin hi dakhil ho ga aur yeh ke Allah Ta'ala is deen ki khidmat wa madad be-deen aadmi se bhi karata hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6607
حدثنا سعيد بن ابي مريم، حدثنا ابو غسان، حدثني ابو حازم، عن سهل بن سعد، ان رجلا من اعظم المسلمين غناء عن المسلمين في غزوة غزاها مع النبي صلى الله عليه وسلم، فنظر النبي صلى الله عليه وسلم، فقال:" من احب ان ينظر إلى الرجل من اهل النار فلينظر إلى هذا"، فاتبعه رجل من القوم وهو على تلك الحال من اشد الناس على المشركين حتى جرح، فاستعجل الموت فجعل ذبابة سيفه بين ثدييه، حتى خرج من بين كتفيه، فاقبل الرجل إلى النبي صلى الله عليه وسلم مسرعا، فقال: اشهد انك رسول الله، فقال: وما ذاك؟ قال: قلت لفلان: من احب ان ينظر إلى رجل من اهل النار فلينظر إليه، وكان من اعظمنا غناء عن المسلمين فعرفت انه لا يموت على ذلك، فلما جرح استعجل الموت، فقتل نفسه، فقال النبي صلى الله عليه وسلم عند ذلك:" إن العبد ليعمل عمل اهل النار، وإنه من اهل الجنة، ويعمل عمل اهل الجنة، وإنه من اهل النار، وإنما الاعمال بالخواتيم".
Hum se Saeed bin Abi Maryam ne bayan kiya , kaha hum se Abu Ghassan ne bayan kiya , kaha mujh se Abu Hazim ne bayan kiya aur in se Sahl bin Saad razi Allahu anhu ne ke ek shakhs jo Musalmanon ki taraf se bari bahaduri se lar raha thu aur is ghazwa mein Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam bhi maujood thay . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne dekha aur farmaya ke jo kisi jahannumi shakhs ko dekhna chahta hai woh is shakhs ko dekh le chunanche woh shakhs jab isi tarah larnay mein masroof thu aur mushrikeen ko apni bahaduri ki wajah se sakht-tar takaleef mein mubtala kar raha thu to ek Musalman is ke peeche peeche chala , aakhir woh shakhs zakhmi ho gaya aur jaldi se mar jaana chaha , is liye ne apni talwar ki dhaar apne seene par laga li aur talwar is ke shanon ko paar karti hui nikal gayi . Is ke baad peecha karne wala shakhs Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein dorta hua hazir hua aur arz kiya , main gawahi deta hoon ke Aap Allah ke Rasool hain . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke baat kya hai ? In sahab ne kaha ke Aap ne falan shakhs ke baare mein farmaya tha ke jo kisi jahannumi ko dekhna chahta hai woh is shakhs ko dekh le haalan-ke woh shakhs Musalmanon ki taraf se bari bahaduri se lar raha thu . Main samjha ke woh is halat mein nahi mare ga . Lekin jab woh zakhmi ho gaya to jaldi se mar jaane ki khwahish mein us ne khud-kushi kar li . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke banda dozakhiyon ke se kaam karta rehta hai haalan-ke woh jannati hota hai (isi tarah doosra banda) jannatiyon ke kaam karta rehta hai haalan-ke woh dozakhi hota hai , bilashubha amlon ka aitbar khatma par hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ إِلْقَاءِ النَّذْرِ الْعَبْدَ إِلَى الْقَدَرِ:
Nazr karne se taqdeer nahin palat sakti.
Show diacritics
Hadith Number: 6608
حدثنا ابو نعيم، حدثنا سفيان، عن منصور، عن عبد الله بن مرة، عن ابن عمر رضي الله عنهما، قال: نهى النبي صلى الله عليه وسلم، عن النذر، وقال:" إنه لا يرد شيئا، وإنما يستخرج به من البخيل".
Hum se Abu Nuaym Fadl bin Dukain ne bayan kiya , kaha hum se Sufyan bin Uyaynah ne bayan kiya , in se Mansoor bin Mutamir ne , in se Abdullah bin Murrah ne aur in se Ibn Umar razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne nazr maangne se mana kiya tha aur farmaya thu ke nazr kisi cheez ko nahi lautati , nazr sirf bakheel ke دل se paisa nikaalti hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6609
حدثنا بشر بن محمد، اخبرنا عبد الله، اخبرنا معمر، عن همام بن منبه، عن ابي هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" لا يات ابن آدم النذر بشيء لم يكن قد قدرته، ولكن يلقيه القدر وقد قدرته له، استخرج به من البخيل".
Hum se Bishr bin Muhammad ne bayan kiya , kaha hum ko Abdullah bin Mubarak ne khabar di , kaha hum ko Mamar ne khabar di , unhein Humam bin Munabbih ne , unhein Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke nazr (man-nat) insan ko koi cheez nahi deti jo main (Rabb) ne is ki taqdeer mein na likhi ho balkay woh taqdeer deti hai jo main (Rabb) ne is ke liye muqarrar kar di hai , albatta is ke zariye main bakheel ka maal nikalwa laita hoon .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ لاَ حَوْلَ وَلاَ قُوَّةَ إِلاَّ بِاللَّهِ:
La hawla wa la quwwata illa billah ki fazilat ka bayaan.
Show diacritics
Hadith Number: 6610
حدثني محمد بن مقاتل ابو الحسن، اخبرنا عبد الله، اخبرنا خالد الحذاء، عن ابي عثمان النهدي، عن ابي موسى، قال: كنا مع رسول الله صلى الله عليه وسلم في غزاة، فجعلنا لا نصعد شرفا، ولا نعلو شرفا، ولا نهبط في واد، إلا رفعنا اصواتنا بالتكبير، قال: فدنا منا رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقال" يا ايها الناس، اربعوا على انفسكم، فإنكم لا تدعون اصم ولا غائبا، إنما تدعون سميعا بصيرا، ثم قال: يا عبد الله بن قيس، الا اعلمك كلمة هي من كنوز الجنة: لا حول ولا قوة إلا بالله".
Mujh se Abu al-Hasan Muhammad bin Muqatil ne bayan kiya , unhon ne kaha hum ko Abdullah bin Mubarak ne khabar di , unhon ne kaha hum ko Khalid Hazza ne khabar di , unhein Abu Usman Nahdi ne aur in se Abu Musa Ash'ari razi Allahu anhu ne bayan kiya ke hum Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke saath ek ghazwa mein thay aur jab bhi hum kisi bulandi par charhte ya kisi nasheebi ilaqay mein utarte to takbeer buland aawaz se kehte . Bayan kiya ke phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam hamare qareeb aaye aur farmaya ”Ae logo! Apne Aap par raham karo , kyunke tum kisi behre ya ghair maujood ko nahi pukarte balkay tum is zaat ko pukarte ho jo bahut zyada sunne wala bada dekhne wala hai .“ Phir farmaya: Ae Abdullah bin Qays! (Abu Musa Ash'ari razi Allahu anhu) kya main tumhein ek kalma na sikha doon jo jannat ke khazanon mein se hai . (woh kalma hai) «laa haula wa laa quwwata illaa billaah» yani taqat wa quwat Allah ke siwa aur kisi ke paas nahi .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْمَعْصُومُ مَنْ عَصَمَ اللَّهُ:
Ma'soom woh hai jisay Allah gunaahon se bachaye rakhe.
Show diacritics
Hadith Number: Q6611
عاصم مانع قال مجاهد: سدا عن الحق يترددون في الضلالة، دساها اغواها.
Allah Ta'ala ne (Surah Hood mein) farmaya «laa aasimal-yauma min amrillaahi» , «aasim» ke maani rokne wala . Mujahid ne kaha yeh jo Surah Yaseen mein farmaya «wa ja-alnaa mim-baini ay-deehim saddan» yani ”hum ne haq baat ke maanne se in par aar kar di woh gumrahi (gar-rha) mein dagmagha rahe hain .“ Surah wash-Shams mein jo lafz «dassaahaa» hai is ka maani gumrah kiya .


Show diacritics
Hadith Number: 6611
حدثنا عبدان، اخبرنا عبد الله، اخبرنا يونس، عن الزهري، قال: حدثني ابو سلمة، عن ابي سعيد الخدري، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" ما استخلف خليفة إلا له بطانتان: بطانة تامره بالخير وتحضه عليه، وبطانة تامره بالشر وتحضه عليه، والمعصوم من عصم الله".
Hum se Abdan ne bayan kiya , kaha hum ko Abdullah bin Mubarak ne khabar di , kaha hum ko Yunus ne khabar di , in se Zuhri ne bayan kiya , kaha mujh se Abu Salamah ne bayan kiya , in se Abu Saeed Khudri razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”jab bhi koi shakhs hakim hota hai to is ke salah-kaar aur musheer do tarah ke hote hain ek to woh jo usay naiki aur bhalayi ka hukm dete hain aur is par ubhaarte rehte hain aur doosre woh jo usay burayi ka hukm dete hain aur is par usay ubhaarte rehte hain aur masoom woh hai jise Allah mahfooz rakkhe .“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة