الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ قَوْلِ اللَّهِ تَعَالَى: {وَوَصَّيْنَا الإِنْسَانَ بِوَالِدَيْهِ}:
Aur Allah Pak ne (Surat Luqman aur Surat Ahqaf mein) farmaya "hum ne insaanon ko us ke walidayn ke saath neek sulook ka hukm diya hai".
Hadith Number: 5970
حدثنا ابو الوليد حدثنا شعبة قال الوليد بن عيزار اخبرني قال: سمعت ابا عمرو الشيباني يقول اخبرنا صاحب هذه الدار- واوما بيده إلى دار عبد الله- قال سالت النبي صلى الله عليه وسلم اي العمل احب إلى الله قال: «الصلاة على وقتها» . قال ثم اي قال: «ثم بر الوالدين» . قال ثم اي قال: «الجهاد في سبيل الله» . قال: حدثني بهن ولو استزدته لزادني.
Hum se Abu al-Waleed Hisham ne bayan kiya, kaha hum se Shubah ne, unhon ne kaha ke mujhe Waleed bin Aizaar ne khabar di, kaha ke main ne Abu Amr Shaybani se suna, kaha ke hamain is ghar wale ne khabar di aur unhon ne apne hath se Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ke ghar ki taraf isharah kiya, unhon ne bayan kiya ke main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se poochha Allah Ta-ala ke nazdeek kaun sa amal sab se zyada pasand hai? Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke waqt par namaz parhna. Poochha ke phir kaun sa? Farmaya ke walidain ke saath achha sulook karna, poochha phir kaun sa? Farmaya ke Allah ke raste mein jihad karna. Abdullah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne mujh se in kaamon ke mutalliq bayan kiya aur agar main isi tarah sawal karta rehta to Aap jawab dete rehte.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَنْ أَحَقُّ النَّاسِ بِحُسْنِ الصُّحْبَةِ:
Rishta walon mein achhe sulook ka sab se zyada haqdaar kaun hai?
Hadith Number: 5971
حدثنا قتيبة بن سعيد، حدثنا جرير، عن عمارة بن القعقاع بن شبرمة، عن ابي زرعة، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال: جاء رجل إلى رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقال: يا رسول الله، من احق الناس بحسن صحابتي؟ قال:" امك" قال: ثم من؟ قال:" ثم امك" قال: ثم من؟ قال:" ثم امك" قال: ثم من؟ قال:" ثم ابوك"، وقال ابن شبرمة، ويحيى بن ايوب، حدثنا ابو زرعة، مثله.
Hum se Qutaybah bin Saeed ne bayan kiya, kaha hum se Jareer ne bayan kiya, in se Ammarah bin Qaqaa bin Shubruma ne, in se Abu Zurah ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke ek sahabi Rasool Allahsalla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir huay aur arz kiya ke ya Rasool اللہ! Mere achhe sulook ka sab se zyada haqdar kaun hai? Farmaya ke tumhari maan hai. Poochha is ke baad kaun hai? Farmaya ke tumhari maan hai. Unhon ne phir poochha is ke baad kaun? Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke tumhari maan hai. Unhon ne poochha is ke baad kaun hai? Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke phir tumhara baap hai. Ibn Shubruma aur Yahya bin Ayub ne bayan kiya, kaha hum se Abu Zurah ne isi ke mutabiq bayan kiya.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ لاَ يُجَاهِدُ إِلاَّ بِإِذْنِ الأَبَوَيْنِ:
Waalidayn ki ijazat ke baghair kisi ko jehaad ke liye na jaana chahiye.
Hadith Number: 5972
حدثنا مسدد، حدثنا يحيى، عن سفيان، وشعبة، قالا: حدثنا حبيب، قال:. ح وحدثنا محمد بن كثير، اخبرنا سفيان، عن حبيب، عن ابي العباس، عن عبد الله بن عمرو، قال: قال رجل للنبي صلى الله عليه وسلم: اجاهد قال:" لك ابوان" قال: نعم، قال:" ففيهما فجاهد".
Hum se Musaddad ne bayan kiya, kaha hum se Yahya ne bayan kiya, in se Sufyan aur Shubah ne bayan kiya ke hamain se Habeeb ne bayan kiya (doosri sanad) Imam Bukhari rahmahullah ne kaha aur hum se Muhammad bin Kaseer ne bayan kiya, kaha hum ko Sufyan ne khabar di, unhein Habeeb ne, unhein Abu Abbas ne aur in se Abdullah bin Amr ne bayan kiya ke ek sahabi ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se poochha kiya main bhi jihad mein shareek ho jaoon? Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne daryaft farmaya ke tumhare maan baap maujood hain unhon ne kaha ke ji haan maujood hain. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke phir unhi mein jihad karo.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ لاَ يَسُبُّ الرَّجُلُ وَالِدَيْهِ:
Koi shakhs apne maa baap ko gaali galoch na de.
Hadith Number: 5973
حدثنا احمد بن يونس، حدثنا إبراهيم بن سعد، عن ابيه، عن حميد بن عبد الرحمن، عن عبد الله بن عمرو رضي الله عنهما، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" إن من اكبر الكبائر ان يلعن الرجل والديه" قيل، يا رسول الله، وكيف يلعن الرجل والديه؟ قال:" يسب الرجل ابا الرجل فيسب اباه ويسب امه".
Hum se Ahmad bin Yunus ne bayan kiya, kaha hum se Ibrahim bin Saad ne bayan kiya, in se un ke walid ne, in se Humayd bin Abd-ur-Rahman ne aur in se Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke Rasool Allahsalla Allahu alaihi wasallam ne farmaya: yaqeenan sab se bare gunahon mein se yeh hai ke koi shakhs apne walidain par lanat bheje. Poochha gaya: ya Rasool اللہ! Koi shakhs apne hi walidain par kaise lanat bheje ga? Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke woh shakhs doosre ke baap ko bura bhala kahe ga to doosra bhi is ke baap ko aur is ki maan ko bura bhala kahe ga.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ إِجَابَةِ دُعَاءِ مَنْ بَرَّ وَالِدَيْهِ:
Jis shakhs ne apne walidayn ke saath neek sulook kiya us ki dua qubool hoti hai.
Hadith Number: 5974
حدثنا سعيد بن ابي مريم، حدثنا إسماعيل بن إبراهيم بن عقبة، قال: اخبرني نافع، عن ابن عمر رضي الله عنهما، عن رسول الله صلى الله عليه وسلم قال:" بينما ثلاثة نفر يتماشون اخذهم المطر فمالوا إلى غار في الجبل فانحطت على فم غارهم صخرة من الجبل فاطبقت عليهم، فقال بعضهم لبعض: انظروا اعمالا عملتموها لله صالحة، فادعوا الله بها لعله يفرجها، فقال احدهم: اللهم إنه كان لي والدان شيخان كبيران ولي صبية صغار كنت ارعى عليهم، فإذا رحت عليهم فحلبت بدات بوالدي اسقهما قبل ولدي، وإنه ناء بي الشجر فما اتيت حتى امسيت فوجدتهما قد ناما، فحلبت كما كنت احلب فجئت بالحلاب فقمت عند رءوسهما، اكره ان اوقظهما من نومهما، واكره ان ابدا بالصبية قبلهما والصبية يتضاغون عند قدمي، فلم يزل ذلك دابي ودابهم حتى طلع الفجر، فإن كنت تعلم اني فعلت ذلك ابتغاء وجهك فافرج لنا فرجة نرى منها السماء، ففرج الله لهم فرجة حتى يرون منها السماء، وقال الثاني: اللهم إنه كانت لي ابنة عم احبها كاشد ما يحب الرجال النساء فطلبت إليها نفسها فابت حتى آتيها بمائة دينار فسعيت حتى جمعت مائة دينار فلقيتها بها، فلما قعدت بين رجليها قالت: يا عبد الله اتق الله، ولا تفتح الخاتم إلا بحقه فقمت عنها، اللهم فإن كنت تعلم اني قد فعلت ذلك ابتغاء وجهك فافرج لنا منها ففرج لهم فرجة، وقال الآخر: اللهم إني كنت استاجرت اجيرا بفرق ارز فلما قضى عمله قال اعطني حقي فعرضت عليه حقه فتركه ورغب عنه، فلم ازل ازرعه حتى جمعت منه بقرا وراعيها، فجاءني فقال: اتق الله ولا تظلمني واعطني حقي، فقلت: اذهب إلى ذلك البقر وراعيها، فقال: اتق الله ولا تهزا بي، فقلت: إني لا اهزا بك فخذ ذلك البقر وراعيها فاخذه فانطلق بها، فإن كنت تعلم اني فعلت ذلك ابتغاء وجهك فافرج ما بقي ففرج الله عنهم".
Hum se Saeed bin Abi Maryam ne bayan kiya, kaha hum se Ismail bin Ibrahim bin Uqbah ne bayan kiya, kaha ke mujhe Nafi ne khabar di, unhein Ibn Umar razi Allahu anhuma ne ke Rasool Allahsalla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke teen aadmi chal rahe thay ke baarish ne unhein aa liya aur unhon ne murr kar pahari ki ghar mein panah li. Is ke baad in ke ghar ke munh par pahar ki ek chattan giri aur is ka munh band ho gaya. Ab baaz ne baaz se kaha ke tum ne jo naik kaam kiye hain in mein se aise kaam ko dhyan mein lao jo tum ne khalis Allah ke liye kiya ho taake Allah se is ke zariye dawat karo mumkin hai woh ghar ko khol de. Is par in mein se ek ne kaha: Ae Allah! Mere walidain thay aur bahut burhe thay aur mere chhote chhote bache bhi thay. Main in ke liye bakriyaan churrata thu aur wapas aa kar doodh nikaalta to sab se pehle apne walidain ko pilaata thu apne bachon se bhi pehle. Ek din chaare ki talash ne mujhe bahut door le ja dala chunanche main raat gaye wapas aaya. Main ne dekha ke mere walidain so chuke hain. Main ne mamool ke mutabiq doodh nikala phir main doha hua doodh le kar aaya aur in ke sarhane khara ho gaya main gawara nahi kar sakta thu ke unhein sone mein jagaoon aur yeh bhi mujh se nahi ho sakta thu ke walidain se pehle bachon ko pilaoon. Bache bhook se mere qadmon par laut rahe thay aur isi kashmakash mein subah ho gayi. Pas Ae Allah! Agar tere ilm mein bhi yeh kaam main ne sirf teri raza haasil karne ke liye kiya thu to hamare liye kushadgi paida kar de ke hum aasman dekh sakein. Allah Ta-ala ne (dua qabool ki aur) in ke liye itni kushadgi paida kar di ke woh aasman dekh sakte thay. Doosre shakhs ne kaha: Ae Allah! Meri ek chacha-zad behen ku aur main is se mohabbat karta thu, woh intihai mohabbat jo ek mard ek aurat se kar sakta hai. Main ne is se usay maanga to us ne inkar kiya aur sirf is shart par raazi hui ke main usay sau dinar doon. Main ne dor dhoop ki aur sau dinar jama kar laya phir is ke paas unhein le kar gaya phir jab main is ke donon paon ke darmiyan mein baith gaya to us ne kaha ke Ae Allah ke bande! Allah se dar aur mahr ko mat torr. Main yeh sun kar khara ho gaya (aur zina se baaz raha) pas agar tere ilm mein bhi main ne yeh kaam teri raza o khushnoodi haasil karne ke liye kiya thu to hamare liye kuch aur kushadgi (chattan ko hata kar) paida kar de. Chunanche in ke liye thori si aur kushadgi ho gayi. Teesre shakhs ne kaha: Ae Allah! Main ne ek mazdoor ek farq chawal ki mazdoori par rakkha tha us ne apna kaam poora kar ke kaha ke meri mazdoori do. Main ne is ki mazdoori دے di lekin woh chhorr kar chala gaya aur is ke saath be-tawaj-juhi ki. Main is ke is bache huay dhaan ko bota raha aur is tarah main ne is se ek gaye aur is ka charwaha kar liya (phir jab woh aaya to) main ne is se kaha ke yeh gaye aur charwaha le jao. Us ne kaha Allah se dro aur mere saath mazaq na karo. Main ne kaha ke main tumhare saath mazaq nahi karta. Is gaye aur charwahe ko le jao. Chunanche woh unhein le kar chala gaya. Pas agar tere ilm mein bhi main ne yeh kaam teri raza o khushnoodi haasil karne ke liye kiya thu to (chattan ki wajah se ghar se nikalne mein jo rukawat baqi reh gayi hai usay bhi khol de. Chunanche Allah Ta-ala ne in ke liye poori tarah kushadgi kar di jis se woh bahar aa gaye.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ عُقُوقُ الْوَالِدَيْنِ مِنَ الْكَبَائِرِ:
Waalidayn ki nafarmani bohot hi bade gunaah mein se hai.
Hadith Number: Q5975
قاله عبد الله بن عمرو عن النبي صلى الله عليه وسلم
Is ko Abdullah bin Amr razi Allahu anhuma ne Nabi kareem salla Allahu alaihi wasallam se naqal kiya hai.
Hadith Number: 5975
حدثنا سعد بن حفص، حدثنا شيبان، عن منصور، عن المسيب، عن وراد، عن المغيرة بن شعبة، عن النبي صلى الله عليه وسلم قال:" إن الله حرم عليكم عقوق الامهات، ومنعا وهات، وواد البنات، وكره لكم قيل وقال، وكثرة السؤال، وإضاعة المال".
Hum se Saad bin Hafs ne bayan kiya, kaha hum se Shayban ne bayan kiya, in se Mansoor ne, in se Musayyab ne in se Warrad ne aur in se Mugheera razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Allah ne tum par maan ki nafarmani haram qarar di hai aur (walidain ke huqooq) na dena aur nahaq in se mutalbat karna bhi haram qarar diya hai, larkiyon ko zinda dafan karna (bhi haram qarar diya hai) aur «qeela wa qaala» (fuzool baatein) kasrat e sawal aur maal ki barbadi ko bhi napasand kiya hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5976
حدثني إسحاق، حدثنا خالد الواسطي، عن الجريري، عن عبد الرحمن بن ابي بكرة، عن ابيه رضي الله عنه، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" الا انبئكم باكبر الكبائر؟" قلنا: بلى يا رسول الله قال:" الإشراك بالله وعقوق الوالدين" وكان متكئا فجلس، فقال:" الا وقول الزور وشهادة الزور، الا وقول الزور وشهادة الزور" فما زال يقولها حتى قلت: لا يسكت.
Mujh se Ishaq bin Shaheen Wasiti ne bayan kiya, kaha hum se Khalid Wasiti ne bayan kiya, in se Jurayri ne, in se Abd-ur-Rahman bin Abi Bakrah ne aur in se in ke walid razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Rasool Allahsalla Allahu alaihi wasallam ne farmaya: kiya main tumhein sab se bara gunah na bataoon? Hum ne arz kiya zaroor batayein ya Rasool اللہ! Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Allah ke saath shirk karna aur walidain ki nafarmani karna. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam is waqt taik lagaye huay thay ab Aap seedhe baith gaye aur farmaya aagah ho jao jhooti baat bhi aur jhooti gawahi bhi (sab se bare gunah hain) aagah ho jao jhooti baat bhi aur jhooti gawahi bhi. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam usay musalsal dohrate rahe aur main ne soocha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam khamosh nahi hon ge.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5977
حدثني محمد بن الوليد، حدثنا محمد بن جعفر، حدثنا شعبة، قال: حدثني عبيد الله بن ابي بكر، قال: سمعت انس بن مالك رضي الله عنه، قال: ذكر رسول الله صلى الله عليه وسلم الكبائر او سئل عن الكبائر فقال:" الشرك بالله وقتل النفس وعقوق الوالدين، فقال: الا انبئكم باكبر الكبائر؟ قال: قول الزور او قال شهادة الزور" قال شعبة: واكثر ظني انه قال: شهادة الزور.
Mujh se Muhammad bin Waleed ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Muhammad bin Jafar ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Shubah ne bayan kiya, unhon ne kaha ke mujh se Ubaidullah bin Abi Bakr ne bayan kiya, unhon ne kaha ke main ne Anas bin Malik razi Allahu anhu se suna, unhon ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne kabair ka zikr kiya ya (unhon ne kaha ke) Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se kabair ke mutalliq poochha gaya to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Allah ke saath shirk karna, kisi ki (nahaq) jaan lena, walidain ki nafarmani karna phir farmaya kya main tumhein sab se bara gunah na bata doon? Farmaya ke jhooti baat ya farmaya ke jhooti shahadat (sab se bara gunah hai) Shubah ne bayan kiya ke mera ghalib guman yeh hai ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne jhooti gawahi farmaya tha.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ صِلَةِ الْوَالِدِ الْمُشْرِكِ:
Waalid kaafir ya mushrik ho tab bhi us ke saath neek sulook karna.
Hadith Number: 5978
حدثنا الحميدي، حدثنا سفيان، حدثنا هشام بن عروة، اخبرني ابي، اخبرتني اسماء ابنة ابي بكر رضي الله عنهما، قالت:" اتتني امي راغبة في عهد النبي صلى الله عليه وسلم، فسالت النبي صلى الله عليه وسلم: آصلها؟ قال: نعم"، قال ابن عيينة: فانزل الله تعالى فيها لا ينهاكم الله عن الذين لم يقاتلوكم في الدين سورة الممتحنة آية 8.
Hum se Abdullah bin Zubayr Humaydi ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan ne bayan kiya, kaha hum se Hisham bin Urwah ne bayan kiya, kaha mujhko mere walid ne khabar di, unhein Asmaa bint Abi Bakr razi Allahu anhuma ne khabar di ke meri walda Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke zamana mein mere paas aayin, woh Islam se munkir thien. Main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se poochha kya main is ke saath sila-rahmi kar sakti hoon? Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke haan. Is ke baad Allah Ta'ala ne yeh aayat nazil ki «laa yan-haakum-ullahu anil-lazheena lam yuqaatilookum fid-deeni» yani ”Allah Paak tum ko in logon ke saath naik sulook karne se mana nahi karta jo tum se hamare deen ke mutalliq koi larayi jhagra nahi karte.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة