الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ شُرْبِ السُّمِّ، وَالدَّوَاءِ بِهِ، وَبِمَا يُخَافُ مِنْهُ:
Zehar peena ya zehreeli aur khaufnaak dua ya na-paak dua ka istemaal karna.
Hadith Number: 5779
حدثنا محمد بن سلام، حدثنا احمد بن بشير ابو بكر، اخبرنا هاشم بن هاشم، قال: اخبرني عامر بن سعد، قال: سمعت ابي يقول: سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم، يقول:" من اصطبح بسبع تمرات عجوة لم يضره ذلك اليوم سم ولا سحر".
Hum se Muhammad bin Salam Baikandi ne bayan kiya, unhon ne kaha hamain ko Ahmad bin Basheer Abu Bakr ne khabar di, unhon ne kaha hamain ko Hashim bin Hashim ne khabar di, kaha ke mujhe Aamir bin Saad ne khabar di, unhon ne kaha ke main ne apne walid se suna, unhon ne bayan kiya ke main ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se suna, Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”jo shakhs subah ke waqt saat Ajwa khajoorein kha le usay is din zehar nuqsan pahuncha sake ga aur na jadoo.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ أَلْبَانِ الأُتُنِ:
Gadhi ka doodh peena kaisa hai?
Hadith Number: 5780
حدثني عبد الله بن محمد، حدثنا سفيان، عن الزهري، عن ابي إدريس الخولاني، عن ابي ثعلبة الخشني رضي الله عنه قال:" نهى النبي صلى الله عليه وسلم عن اكل كل ذي ناب من السبع"، قال الزهري: ولم اسمعه حتى اتيت الشام
Mujh se Abdullah bin Muhammad Musandi ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan bin Uyaynah ne bayan kiya, in se Zuhri ne, in se Abu Idrees Khaulani ne aur in se Abu Thalaba Khushni razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne har daant se khane wale darinda janwar (ke gosht) se mana farmaya. Zuhri ne bayan kiya ke main ne yeh hadees is waqt tak nahi suni jab tak Sham nahi aaya.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5781
وزاد الليث، قال: حدثني يونس، عن ابن شهاب، قال: وسالته هل نتوضا او نشرب البان الاتن، او مرارة السبع، او ابوال الإبل؟، قال: قد كان المسلمون يتداوون بها فلا يرون بذلك باسا، فاما البان الاتن، فقد بلغنا ان رسول الله صلى الله عليه وسلم نهى عن لحومها ولم يبلغنا عن البانها، امر ولا نهي، واما مرارة السبع، قال ابن شهاب: اخبرني ابو إدريس الخولاني، ان ابا ثعلبة الخشني، اخبره ان رسول الله صلى الله عليه وسلم نهى عن اكل كل ذي ناب من السبع.
Aur Layth ne zyada kiya hai kaha ke mujh se Yunus ne bayan kiya, in se Ibn Shihab Zuhri ne ke main ne Abu Idrees se poochha kya hum (dawa ke taur par) gadhi ke doodh se wuzu kar sakte hain ya usay pee sakte hain ya darinda janwaron ke pittay istemal kar sakte hain ya oont ka peshab pee sakte hain. Abu Idrees ne kaha ke Musalman oont ke peshab ko dawa ke taur par istemal karte thay aur is mein koi haraj nahi samajhte thay. Albatta gadhi ke doodh ke baare mein hamain Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki yeh hadees pahunchi hai ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne is ke gosht se mana farmaya tha. Is ke doodh ke mutalliq hamain koi hukm ya mamanat Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se maloom nahi hai. Albatta darindon ke pittay ke mutalliq jo Ibn Shihab ne bayan kiya ke mujhe Abu Idrees Khaulani ne khabar di aur unhein Abu Thalaba Khushni razi Allahu anhu ne khabar di ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne har daant wale shikari darinde ka gosht khane se mana farmaya hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ إِذَا وَقَعَ الذُّبَابُ فِي الإِنَاءِ:
Jab makkhi bartan mein par jaaye (jis mein khana ya paani ho).
Hadith Number: 5782
حدثنا قتيبة حدثنا إسماعيل بن جعفر عن عتبة بن مسلم مولى بني تيم عن عبيد بن حنين مولى بني زريق عن ابي هريرة رضي الله عنه ان رسول الله صلى الله عليه وسلم قال: «إذا وقع الذباب في إناء احدكم، فليغمسه كله، ثم ليطرحه، فإن في احد جناحيه شفاء وفي الآخر داء» .
Hum se Qutaybah bin Saeed ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Ismail bin Jafar ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Bani Tameem ke mola Utbah bin Muslim ne bayan kiya, in se Bani Zurayq ke mola Ubaid bin Hunain ne bayan kiya aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”jab makkhi tum mein se kisi ke bartan mein par jaye to poori makkhi ko bartan mein dubo de aur phir usay nikaal kar phenk de kyunke is ke ek par mein shifa aur doosre mein beemari hai.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة