الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ مَا يُؤْكَلُ مِنْ لُحُومِ الأَضَاحِيِّ وَمَا يُتَزَوَّدُ مِنْهَا:
Qurbani ka kitna gosht khaya jaaye aur kitna jama kar ke rakha jaaye.
Show diacritics
Hadith Number: 5572
قال ابو عبيد: ثم شهدت العيد مع عثمان بن عفان، فكان ذلك يوم الجمعة، فصلى قبل الخطبة، ثم خطب، فقال:" يا ايها الناس، إن هذا يوم قد اجتمع لكم فيه عيدان، فمن احب ان ينتظر الجمعة من اهل العوالي، فلينتظر، ومن احب ان يرجع فقد اذنت له".
Abu Ubaid ne bayan kiya ke phir main Usman bin Affan razi Allahu anhu ke saath (in ki khilafat ke zamane mein Eid-gaah mein) hazir thu . Is din Jumu'ah bhi thu . Aap ne khutba se pehle namaz e Eid parhayi phir khutba diya aur farmaya ke Ae logo! Aaj ke din tumhare liye do Eidein jama ho gayiein hain . (Eid aur Jumu'ah) pas atraf ke rehne walon mein se jo shakhs pasand kare Jumu'ah ka bhi intizar kare aur agar koi wapas jaana chahe (namaz e Eid ke baad hi) to woh wapas ja sakta hai , main ne usay ijazat de di hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5573
قال ابو عبيد: ثم شهدته مع علي بن ابي طالب، فصلى قبل الخطبة، ثم خطب الناس، فقال:" إن رسول الله صلى الله عليه وسلم نهاكم ان تاكلوا لحوم نسككم فوق ثلاث"، وعن معمر، عن الزهري، عن ابي عبيد نحوه.
Abu Ubaid ne bayan kiya ke phir main Eid ki namaz mein Ali bin Abi Talib razi Allahu anhu ke saath aaya . Unhon ne bhi namaz khutba se pehle parhayi phir logon ko khutba diya aur kaha ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne tumhein apni qurbani ka gosht teen din se zyada khane ki mamanat ki hai aur Mamar ne Zuhri se aur in se Abu Ubaidah ne isi tarah bayan kiya .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5574
حدثنا محمد بن عبد الرحيم اخبرنا يعقوب بن إبراهيم بن سعد عن ابن اخي ابن شهاب عن عمه ابن شهاب عن سالم عن عبد الله بن عمر رضي الله عنهما قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: «كلوا من الاضاحي ثلاثا» . وكان عبد الله ياكل بالزيت حين ينفر من منى، من اجل لحوم الهدي.
Hum se Muhammad bin Abd-ur-Raheem ne bayan kiya , unhon ne kaha hum ko Yaqoob bin Ibrahim bin Saad ne khabar di , unhein Ibn Shihab ke bhatije ne , unhein un ke chacha Ibn Shihab (Muhammad bin Muslim) ne , unhein Salim ne aur in se Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke qurbani ka gosht teen din tak khao . Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma Mina se kooch karte waqt roti zaitoon ke tail se khate kyunke woh qurbani ke gosht se (teen din ke baad) parhez karte thay .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة