الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابٌ:
Bab: …
Show diacritics
Hadith Number: 4470
حدثنا اصبغ , قال: اخبرني ابن وهب , قال: اخبرني عمرو بن الحارث , عن ابن ابي حبيب , عن ابي الخير، عن الصنابحي، انه قال له:" متى هاجرت؟ قال: خرجنا من اليمن مهاجرين فقدمنا الجحفة، فاقبل راكب فقلت له الخبر، فقال: دفنا النبي صلى الله عليه وسلم منذ خمس، قلت: هل سمعت في ليلة القدر شيئا؟ قال: نعم، اخبرني بلال مؤذن النبي صلى الله عليه وسلم، انه في السبع في العشر الاواخر".
Hum se Asbagh bin Faraj ne byaan kiya , kaha ke mujhe Abdullah bin Wahb ne khabar di , kaha ke mujhe Amr bin al-Harith ne khabar di , unhein Amr bin Abi Habib ne , un se Abu al-Khair ne Abdur Rahman bin Ausaylah Sanabihi se , Janab Abu al-Khair ne un se poocha tha ke tum ne kab Hijrat ki thi ? Unhon ne byaan kiya ke hum Hijrat ke irade se Yaman chale , abhi hum Maqam e Juhfa mein pahunche thay ke ek sawar se hamari mulaqat hui . Hum ne un se Madinah ki khabar poochi to unhon ne bataya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki wafat ko paanch din ho chuke hain main ne poocha tum ne Lailat al-Qadr ke baare mein koi hadees suni hai ? Unhon ne farmaya ke haan , Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke muazzin Bilal razi Allahu anhu ne mujhe khabar di hai ke Lailat al-Qadr Ramzan ke aakhri asharah ke saat dinon mein (ek taaq raat) hoti hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ كَمْ غَزَا النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ:
Bab: Rasoolullah ﷺ ne kul kitne ghazwe kiye?
Show diacritics
Hadith Number: 4471
حدثنا عبد الله بن رجاء , حدثنا إسرائيل , عن ابي إسحاق، قال:" سالت زيد بن ارقم رضي الله عنه , كم غزوت مع رسول الله صلى الله عليه وسلم؟ قال: سبع عشرة، قلت: كم غزا النبي صلى الله عليه وسلم؟ قال: تسع عشرة".
Hum se Abdullah bin Rajaa ne byaan kiya , kaha hum se Israeel ne byaan kiya , unhon ne un se Abu Ishaq ne , kaha hum se Bara bin Azib razi Allahu anhu ne ke main Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke saath pandrah ghazwon mein shareek raha hoon .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4472
حدثنا عبد الله بن رجاء , حدثنا إسرائيل , عن ابي إسحاق، حدثنا البراء رضي الله عنه , قال:" غزوت مع النبي صلى الله عليه وسلم خمس عشرة".
Hum se Abdullah bin Rajaa ne byaan kiya , unhon ne byaan kiya hum se Israeel ne byaan kiya , un se Abu Ishaq ne byaan kiya ke main ne Zayd bin Arqam razi Allahu anhu se poocha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke saath tum ne kitne ghazwe kiye thay ? Unhon ne bataya ke satrah . Main ne poocha aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne kitne ghazwe kiye thay ? Farmaya ke unnees .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4473
حدثني احمد بن الحسن , حدثنا احمد بن محمد بن حنبل بن هلال , حدثنا معتمر بن سليمان , عن كهمس , عن ابن بريدة , عن ابيه , قال:" غزا مع رسول الله صلي الله عليه وسلم ست عشرة غزوة".
Mujh se Ahmad bin Hasan ne byaan kiya , kaha hum se Ahmad bin Muhammad bin Hanbal bin Hilal ne byaan kiya , kaha hum se Mutamir bin Sulayman ne byaan kiya , un se Kahmas ne , un se Abdullah bin Buraydah ne aur un se un ke walid (Buraydah bin Hassayb razi Allahu anhu) ne byaan kiya ke woh Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke saath solah ghazwon mein shareek thay .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة