الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ قَتْلِ أَبِي جَهْلٍ:
Bab: (Badr ke din) Abu Jahl ka qatl hona.
Show diacritics
Hadith Number: 3967
حدثنا إسحاق بن إبراهيم الصواف، حدثنا يوسف بن يعقوب، كان ينزل في بني ضبيعة وهو مولى لبني سدوس، حدثنا سليمان التيمي،عن ابي مجلز، عن قيس بن عباد، قال: قال علي رضي الله عنه:" فينا نزلت هذه الآية هذان خصمان اختصموا في ربهم سورة الحج آية 19".
Hum se Ishaq Bin Ibrahim Sawwaf ne bayan kiya, hum se Yusuf Bin Yaqub ne bayan kiya, un ka Bani Zu'baiah ke yahan aana jana tha aur wo Bani Sadoos ke ghulam thay. Kaha hum se Sulaiman Taimi ne bayan kiya, un se Abu Mijlaz aur un se Qais Bin Ubad ne bayan kiya ke Ali Radi Allahu Anhu ne kaha ye ayat «Hazaani khasmani-khtasamu fi Rabbihim» hamare hi bare mein nazil hui thi
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3968
حدثنا يحيى بن جعفر، اخبرنا وكيع، عن سفيان، عن ابي هاشم، عن ابي مجلز، عن قيس بن عباد، سمعت ابا ذر رضي الله عنه:" يقسم لنزلت هؤلاء الآيات في هؤلاء الرهط الستة يوم بدر" نحوه.
Hum se Yahya Bin Jafar ne bayan kiya, hum ko Wakee ne khabar di, unhein Sufyan ne, unhein Abu Hashim ne, unhein Abu Mijlaz ne, unhein Qais Bin Ubad aur unhon ne Abu Zar Radi Allahu Anhu se suna, wo qasmiya bayan karte thay ke ye ayat ( «Hazaani khasmani-khtasamu fi Rabbihim») unhein chay aadmiyon ke bare mein, Badr ki larai ke mauqa par nazil hui thi. Pehli hadees ki tarah rawi ne ise bhi bayan kiya
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3969
حدثنا يعقوب بن إبراهيم الدورقي، حدثنا هشيم، اخبرنا ابو هاشم، عن ابي مجلز، عن قيس بن عباد، قال: سمعت ابا ذر يقسم قسما إن هذه الآية هذان خصمان اختصموا في ربهم سورة الحج آية 19 نزلت في الذين برزوا يوم بدر , حمزة , وعلي , وعبيدة بن الحارث , وعتبة , وشيبة ابني ربيعة , والوليد بن عتبة.
Hum se Yaqub Bin Ibrahim ne bayan kiya, hum se Hushaim ne bayan kiya, hum ko Abu Hashim ne khabar di, unhein Abu Mijlaz ne, unhein Qais ne, unhon ne kaha ke mein ne Abu Zar Radi Allahu Anhu se suna, wo qasmiya kehte thay ke ye ayat «Hazaani khasmani-khtasamu fi Rabbihim» un ke bare mein utri jo Badr ki larai mein muqable ke liye nikle thay yani Hamza, Ali aur Ubaidah Bin Haris Radi Allahu Anhum (musalmanon ki taraf se) aur Utbah, Shaibah, Rabeeah ke bete aur Walid Bin Utbah (kafiron ki taraf se)
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3970
حدثني احمد بن سعيد ابو عبد الله، حدثنا إسحاق بن منصور السلولي، حدثنا إبراهيم بن يوسف، عن ابيه، عن ابي إسحاق , سال رجل البراء وانا اسمع , قال:" اشهد علي بدرا؟ قال: بارز وظاهر".
Mujh se Abu Abdullah Ahmad Bin Saeed ne bayan kiya, hum se Ishaq Bin Mansoor Sulooli ne bayan kiya, hum se Ibrahim Bin Yusuf ne bayan kiya, un se un ke baap Yusuf Bin Ishaq ne aur un se un ke dada Abu Ishaq Sabi'i ne ke ek shakhs ne Bara Radi Allahu Anhu se poocha aur mein sun raha tha ke kya Ali Radi Allahu Anhu Badr ki jang mein shareek thay? Unhon ne kaha ke haan unhon ne to mubarizat ki thi aur ghalib rahe thay
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3971
حدثنا عبد العزيز بن عبد الله، قال: حدثني يوسف بن الماجشون، عن صالح بن إبراهيم بن عبد الرحمن بن عوف، عن ابيه، عنجده عبد الرحمن، قال:" كاتبت امية بن خلف , فلما كان يوم بدر فذكر قتله وقتل ابنه، فقال بلال: لا نجوت إن نجا امية".
Hum se Abdul Aziz Bin Abdullah Uwaisi ne bayan kiya, kaha ke mujh se Yusuf Bin Majashoon ne bayan kiya, un se Salih Bin Ibrahim Bin Abdur Rahman Bin Auf ne, un se un ke walid Ibrahim ne un ke dada Abdur Rahman Bin Auf Radi Allahu Anhu se, unhon ne bayan kiya ke Umayyah Bin Khalaf se (hijrat ke baad) mera ahad namah ho gaya tha. Phir Badr ki larai ke mauqa par unhon ne is ke aur is ke bete (Ali) ke qatl ka zikr kiya. Bilal ne (jab ise dekh liya to) kaha ke agar aaj Umayyah bach nikla to mein Akhirat mein azab se bach nahi sakoon ga
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3972
حدثنا عبدان بن عثمان، قال: اخبرني ابي، عن شعبة، عن ابي إسحاق، عن الاسود، عن عبد الله رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم:" انه قرا والنجم فسجد بها وسجد من معه , غير ان شيخا اخذ كفا من تراب فرفعه إلى جبهته فقال: يكفيني هذا، قال عبد الله: فلقد رايته بعد قتل كافرا".
Hum se Usman Bin Abi Shaibah ne bayan kiya, kaha ke mujhe mere walid ne khabar di, unhein Shuba ne, unhein Abu Ishaq ne, unhein Aswad aur unhein Abdullah Bin Masood Radi Allahu Anhu ne ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne (ek martaba Makkah mein) Surah-an-Najm ki tilawat ki aur sajda-e-tilawat kiya to jitne log wahan mojood thay sab sajda mein gir gaye. Siwaye ek boorhe ke ke is ne hatheli mein matti le kar apni peshani par ise laga liya aur kehne laga ke mere liye bas itna hi kafi hai. Abdullah Radi Allahu Anhu ne kaha ke phir mein ne ise dekha ke kufr ki halat mein wo qatl hua
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3973
اخبرني إبراهيم بن موسى، حدثنا هشام بن يوسف، عن معمر، اخبرنا هشام، عن عروة، قال:" كان في الزبير ثلاث ضربات بالسيف إحداهن في عاتقه، قال: إن كنت لادخل اصابعي فيها، قال: ضرب ثنتين يوم بدر وواحدة يوم اليرموك، قال: عروة، وقال لي عبد الملك بن مروان حين قتل عبد الله بن الزبير: يا عروة، هل تعرف سيف الزبير؟ قلت: نعم، قال: فما فيه؟ قلت: فيه فلة فلها يوم بدر، قال: صدقت , بهن فلول من قراع الكتائب , ثم رده على عروة، قال هشام: فاقمناه بيننا ثلاثة آلاف , واخذه بعضنا ولوددت اني كنت اخذته.
Mujhe Ibrahim Bin Musa ne khabar di, kaha hum se Hisham Bin Yusuf ne bayan kiya, un se Ma'mar ne, un se Hisham ne, un se Urwah ne bayan kiya ke Zubair Radi Allahu Anhu ke jism par talwar ke teen (gehre) zakhmon ke nishanat thay. Ek un ke mondhe par tha (aur itna gehra tha) ke mein bachpan mein apni ungliyan in mein dakhil kar diya karta tha. Urwah ne bayan kiya ke in mein se do zakham Badr ki larai mein aaye thay aur ek jang-e-Yarmook mein. Urwah ne bayan kiya ke jab Abdullah Bin Zubair Radi Allahu Anhu ko (Hajjaj zalim ke hathon se) shaheed kar diya gaya to mujh se Abdul Malik Bin Marwan ne kaha: Ay Urwah! Kya Zubair Radi Allahu Anhu ki talwar tum pehchante ho? Mein ne kaha ke haan, pehchanta hoon. Us ne poocha is ki nishani batao? Mein ne kaha ke Badr ki larai ke mauqa par is ki dhaar ka ek hissa toot gaya tha, jo abhi tak is mein baqi hai. Abdul Malik ne kaha ke tum ne sach kaha (phir is ne Nabigha shayar ka ye misra parha) foujon ke sath larrte larrte in ki talwaron ki dhaarein kai jagah se toot gayi hain“ phir Abdul Malik ne wo talwar Urwah ko wapas kar di ‘ Hisham ne bayan kiya ke hamara andaza tha ke is talwar ki qeemat teen hazar dirham thi. Wo talwar hamare ek azeez (Usman Bin Urwah) ne qeemat de kar le li thi meri bari aarzu thi ke kash! Wo talwar mere hisse mein aati
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3974
حدثنا فروة، حدثنا علي، عن هشام، عن ابيه، قال: كان سيف الزبير بن العوام محلى بفضة، قال هشام: وكان سيف عروة محلى بفضة.
Hum se Farwah Bin Abi-ul-Maghra ne bayan kiya ‘ un se Ali Bin Mushir ne ‘ un se Hisham Bin Urwah ne ‘ un se un ke walid Urwah ne bayan kiya ke Zubair Radi Allahu Anhu ki talwar par chandi ka kaam tha. Hisham ne kaha ke (mere walid) Urwah ki talwar par chandi ka kaam tha
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3975
حدثنا احمد بن محمد، حدثنا عبد الله، اخبرنا هشام بن عروة، عن ابيه، ان اصحاب رسول الله صلى الله عليه وسلم، قالوا للزبير يوم اليرموك: الا تشد فنشد معك؟ فقال: إني إن شددت كذبتم، فقالوا: لا نفعل , فحمل عليهم حتى شق صفوفهم فجاوزهم وما معه احد , ثم رجع مقبلا فاخذوا بلجامه , فضربوه ضربتين على عاتقه بينهما ضربة ضربها يوم بدر، قال عروة: كنت ادخل اصابعي في تلك الضربات العب وانا صغير، قال عروة: وكان معه عبد الله بن الزبير يومئذ وهو ابن عشر سنين , فحمله على فرس ووكل به رجلا.
Hum se Ahmad Bin Muhammad ne bayan kiya ‘ hum se Abdullah Bin Mubarak ne bayan kiya ‘ unhein Hisham Bin Urwah ne khabar di ‘ unhein un ke walid ne ke Rasul Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ke Sahaba ne Zubair Radi Allahu Anhu se Yarmook ki jang mein kaha aap hamla karte to hum bhi aap ke sath hamla karte unhon ne kaha ke agar mein ne in par zor ka hamla kar diya to phir tum log peeche reh jao ge sab bole ke hum aisa nahi karein ge. Chunanche Zubair Radi Allahu Anhu ne dushman (Roomi fouj) par hamla kiya aur in ki saffon ko cheerte hue aage nikal gaye. Is waqt in ke sath koi ek bhi (musalman) nahi raha phir (musalman fouj ki taraf) aane lage to Roomiyon ne in ke ghore ki lagam pakar li aur mondhe par do kari zakham lagaye, jo zakham Badr ki larai ke mauqa par in ko laga tha wo in dono zakhmon ke darmiyan mein par gaya tha. Urwah Bin Zubair ne bayan kiya ke jab mein chota tha to in zakhmon mein apni ungliyan daal kar khela karta tha. Urwah ne bayan kiya ke Yarmook ki larai ke mauqa par Abdullah Bin Zubair Radi Allahu Anhu bhi in ke sath gaye thay, is waqt un ki umr kul das saal ki thi is liye in ko ek ghore par sawar kar ke ek sahib ki hifazat mein de diya tha
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3976
حدثني عبد الله بن محمد، سمع روح بن عبادة، حدثنا سعيد بن ابي عروبة، عن قتادة، قال: ذكر لنا انس بن مالك، عن ابي طلحة، ان نبي الله صلى الله عليه وسلم امر يوم بدر باربعة وعشرين رجلا من صناديد قريش , فقذفوا في طوي من اطواء بدر خبيث مخبث , وكان إذا ظهر على قوم اقام بالعرصة ثلاث ليال , فلما كان ببدر اليوم الثالث امر براحلته فشد عليها رحلها , ثم مشى واتبعه اصحابه، وقالوا: ما نرى ينطلق إلا لبعض حاجته حتى قام على شفة الركي فجعل يناديهم باسمائهم واسماء آبائهم يا فلان بن فلان، ويا فلان بن فلان ايسركم انكم اطعتم الله ورسوله , فإنا قد وجدنا ما وعدنا ربنا حقا , فهل وجدتم ما وعد ربكم حقا؟ قال: فقال عمر: يا رسول الله ما تكلم من اجساد لا ارواح لها، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" والذي نفس محمد بيده , ما انتم باسمع لما اقول منهم"، قال قتادة: احياهم الله حتى اسمعهم قوله توبيخا وتصغيرا ونقيمة وحسرة وندما".
Mujh se Abdullah Bin Muhammad ne bayan kiya, kaha unhon ne Rooh Bin Ubadah se suna, kaha hum se Saeed Bin Abi Aroobah ne bayan kiya, un se Qatadah ne bayan kiya ke Anas Bin Malik Radi Allahu Anhu ne kaha, hum se Abu Talha Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Badr ki larai mein Rasul Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ke hukm se Quraish ke chaubees maqtool sardar Badr ke ek bahut hi andhere aur gande kunwein mein phenk diye gaye. Aadat-e-mubarika thi ke jab dushman par ghalib hote to maidan-e-jang mein teen din tak qiyam farmate jang-e-Badr ke khatma ke teesre din aap ke hukm se aap ki sawari par kajawah bandha gaya aur aap rawanah hue aap ke ashab bhi aap ke sath thay Sahaba ne kaha, ghaliban aap kisi zaroorat ke liye tashreef le ja rahe hain aakhir aap is kunwein ke kinare aa kar kharay ho gaye aur kuffar-e-Quraish ke maqtooleen sardaron ke naam un ke baap ke naam ke sath le kar aap unhein aawaz dene lage ke ay falan bin falan! Ay falan bin falan! Kya aaj tumhare liye ye baat behtar nahi thi ke tum ne duniya mein Allah aur is ke rasool ki itaat ki hoti? Beshak hum se hamare Rabb ne jo waada kiya tha wo humein poori tarah hasil ho gaya to kya tumhare Rabb ka tumhare mutaliq jo waada (azab ka) tha wo bhi tumhein poori tarah mil gaya? Abu Talha Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke is par Umar Radi Allahu Anhu bol pare: Ya Rasul Allah! Aap in lashon se kyun khitab farma rahe hain? Jin mein koi jaan nahi hai. Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ”is zaat ki qasam jis ke hath mein meri jaan hai, jo kuch mein keh raha hoon tum log in se zyada ise nahi sun rahe ho.“ Qatadah ne bayan kiya ke Allah Ta'ala ne unhein zinda kar diya tha (is waqt) taake Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam unhein apni baat suna dein in ki taubeekh ‘ zillat ‘ namuradi aur hasrat o nadamat ke liye
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة