الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ غَزْوَةِ الْعُشَيْرَةِ أَوِ الْعُسَيْرَةِ:
Bab: Ghazwah-e-Usheera ya Usrah ka bayan.
Show diacritics
Hadith Number: Q3949
قال ابن إسحاق: اول ما غزا النبي صلى الله عليه وسلم الابواء ثم بواط ثم العشيرة.
Muhammad Bin Ishaq ne kaha ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ka sab se pehla ghazwa maqam-e-Abwa ka hua, phir Jabal-e-Buwat ka, phir Ushayrah ka
.


Show diacritics
Hadith Number: 3949
حدثني عبد الله بن محمد، حدثنا وهب، حدثنا شعبة، عن ابي إسحاق , كنت إلى جنب زيد بن ارقم فقيل له:" كم غزا النبي صلى الله عليه وسلم من غزوة؟" قال:" تسع عشرة"، قيل: كم غزوت انت معه؟ قال: سبع عشرة، قلت: فايهم كانت اول؟ قال:" العسيرة او العشير" , فذكرت لقتادة، فقال: العشير.
Mujh se Abdullah Bin Muhammad ne bayan kiya, kaha hum se Wahb ne bayan kiya, un se Shuba ne, un se Abu Ishaq ne ke mein ek waqt Zaid Bin Arqam Radi Allahu Anhu ke pehlu mein baitha hua tha. Un se poocha gaya tha ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne kitne ghazwe kiye? Unhon ne kaha unnees. Mein ne poocha Aap Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ke sath kitne ghazawat mein shareek rahe? To unhon ne kaha ke satrah mein. Mein ne poocha Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ka sab se pehla ghazwa kaun sa tha? Kaha ke Usayrah ya Ushayrah. Phir mein ne is ka zikr Qatadah se kiya to unhon ne kaha ke (sahih lafz) Ushayrah hai
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ ذِكْرُ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ مَنْ يُقْتَلُ بِبَدْرٍ:
Bab: Badr ki larai mein fulan fulan maare jayenge, is ke mutalliq Nabi Karim ﷺ ki peshin-goi ka bayan.
Show diacritics
Hadith Number: 3950
حدثني احمد بن عثمان، حدثنا شريح بن مسلمة، حدثنا إبراهيم بن يوسف، عن ابيه، عن ابي إسحاق، قال: حدثني عمرو بن ميمون، انه سمع عبد الله بن مسعود رضي الله عنه حدث، عن سعد بن معاذ، انه قال: كان صديقا لامية بن خلف وكان امية إذا مر بالمدينة نزل على سعد , وكان سعد إذا مر بمكة نزل على امية , فلما قدم رسول الله صلى الله عليه وسلم المدينة انطلق سعد معتمرا , فنزل على امية بمكة، فقال لامية: انظر لي ساعة خلوة لعلي ان اطوف بالبيت , فخرج به قريبا من نصف النهار , فلقيهما ابو جهل، فقال: يا ابا صفوان من هذا معك؟ فقال: هذا سعد، فقال له ابو جهل: الا اراك تطوف بمكة آمنا وقد اويتم الصباة , وزعمتم انكم تنصرونهم وتعينونهم , اما والله لولا انك مع ابي صفوان ما رجعت إلى اهلك سالما، فقال له سعد: ورفع صوته عليه اما والله لئن منعتني هذا لامنعنك ما هو اشد عليك منه , طريقك على المدينة، فقال له امية: لا ترفع صوتك يا سعد على ابي الحكم سيد اهل الوادي، فقال سعد: دعنا عنك يا امية فوالله لقد سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم، يقول:" إنهم قاتلوك"، قال: بمكة، قال: لا ادري , ففزع لذلك امية فزعا شديدا , فلما رجع امية إلى اهله، قال: يا ام صفوان الم تري ما قال لي سعد؟ قالت: وما قال لك؟ قال: زعم ان محمدا اخبرهم انهم قاتلي، فقلت له: بمكة، قال: لا ادري، فقال: امية والله لا اخرج من مكة , فلما كان يوم بدر استنفر ابو جهل الناس، قال: ادركوا عيركم فكره امية ان يخرج , فاتاه ابو جهل، فقال: يا ابا صفوان إنك متى ما يراك الناس قد تخلفت وانت سيد اهل الوادي تخلفوا معك , فلم يزل به ابو جهل حتى قال: اما إذ غلبتني فوالله لاشترين اجود بعير بمكة، ثم قال امية" يا ام صفوان جهزيني، فقالت له: يا ابا صفوان وقد نسيت ما، قال: لك اخوك اليثربي، قال: لا ما اريد ان اجوز معهم إلا قريبا , فلما خرج امية اخذ لا ينزل منزلا إلا عقل بعيره , فلم يزل بذلك حتى قتله الله عز وجل ببدر".
Mujh se Ahmad Bin Usman ne bayan kiya, hum se Shuraih Bin Maslamah ne bayan kiya, hum se Ibrahim Bin Yusuf ne bayan kiya, un se in ke walid ne, un se Abu Ishaq ne bayan kiya ke mujh se Amr Bin Maimoon ne bayan kiya, unhon ne Abdullah Bin Masood Radi Allahu Anhu se suna, wo Saad Bin Muaz Radi Allahu Anhu se bayan karte thay, unhon ne kaha ke wo Umayyah Bin Khalaf ke (jahiliyat ke zamane se) dost thay aur jab bhi Umayyah Madinah se guzarta to in ke yahan qiyam karta tha. Isi tarah Saad Radi Allahu Anhu jab Makkah se guzarte to Umayyah ke yahan qiyam karte. Jab Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Madinah hijrat kar ke tashreef laye to ek martaba Saad Radi Allahu Anhu Makkah umrah ke irade se gaye aur Umayyah ke paas qiyam kiya. Unhon ne Umayyah se kaha ke mere liye koi tanhayi ka waqt batao taake mein Baitullah ka tawaf karoon. Chunanche Umayyah unhein dopahar ke waqt sath le kar nikla. In se Abu Jahl ki mulaqat ho gayi. Us ne poocha, Abu Safwan! Ye tumhare sath kaun hain? Umayyah ne bataya ke ye Saad Bin Muaz Radi Allahu Anhu hain. Abu Jahl ne kaha, mein tumhein Makkah mein aman ke sath tawaf karta hua na dekhoon. Tum ne bedeenon ko panah de rakkhi hai aur is khayal mein ho ke tum log in ki madad karo ge. Khuda ki qasam! Agar is waqt tum, Abu Safwan! Umayyah ke sath na hote to apne ghar salamti se nahi ja sakte thay. Is par Saad Radi Allahu Anhu ne kaha, is waqt in ki aawaz buland ho gayi thi ke Allah ki qasam! Agar aaj tum ne mujhe tawaf se roka to mein bhi Madinah ki taraf se tumhara rasta band kar doon ga aur ye tumhare liye bahut si mushkilat ka bais ban jaye ga. Umayyah kehne laga, Saad! Abu-ul-Hakam (Abu Jahl) ke samne buland aawaz se na bolo. Ye wadi ka sardar hai. Saad Radi Allahu Anhu ne kaha, Umayyah! Is tarah ki guftagu na karo. Allah ki qasam! Mein Rasul Allah Sallallahu Alaihi Wasallam se sun chuka hoon ke tu in ke hathon se maara jaye ga. Umayyah ne poocha. Kya Makkah mein mujhe qatl karein ge? Unhon ne kaha ke is ka mujhe ilm nahi. Umayyah ye sun kar bahut ghabra gaya aur jab apne ghar lauta to (apni biwi se) kaha, Umm Safwan! Dekha nahi Saad mere mutaliq kya keh rahe hain. Us ne poocha, kya keh rahe hain? Umayyah ne kaha ke wo ye bata rahe thay ke Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne unhein khabar di hai ke kisi na kisi din wo mujhe qatl kar dein ge. Mein ne poocha kya Makkah mein mujhe qatl karein ge? To unhon ne kaha ke is ki mujhe khabar nahi. Umayyah kehne laga: Khuda ki qasam! Ab Makkah se bahar mein kabhi nahi jaoon ga. Phir Badr ki larai ke mauqa par jab Abu Jahl ne Quraish se larai ki tayyari ke liye kaha aur kaha ke apne qafila ki madad ko chalo to Umayyah ne larai mein shirkat pasand nahi ki, lekin Abu Jahl is ke paas aaya aur kehne laga, ay Safwan! Tum wadi ke sardar ho. Jab log dekhein ge ke tum hi larai mein nahi nikalte ho to doosre log bhi nahi niklein ge. Abu Jahl yun hi barabar is ko samjhata raha. Aakhir majboor ho kar Umayyah ne kaha jab nahi manta to Khuda ki qasam (is larai ke liye) mein aisa tez raftar oont khareedoon ga jis ka sani Makkah mein na ho. Phir Umayyah ne (apni biwi se) kaha, Umm Safwan! Mera saman tayyar kar de. Us ne kaha, Abu Safwan! Apne Yasribi bhai ki baat bhool gaye? Umayyah bola, mein bhoola nahi hoon. In ke sath sirf thori door tak jaoon ga. Jab Umayyah nikla to rasta mein jis manzil par bhi theherna hota, ye apna oont (apne paas hi) bandhe rakhta. Wo barabar aisa hi ihtiyat karta raha yahan tak ke Allah Ta'ala ne ise qatl kara diya
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قِصَّةُ غَزْوَةِ بَدْرٍ:
Bab: Ghazwah-e-Badr ka bayan.
Show diacritics
Hadith Number: Q3951
وقول الله تعالى: ولقد نصركم الله ببدر وانتم اذلة فاتقوا الله لعلكم تشكرون {123} إذ تقول للمؤمنين الن يكفيكم ان يمدكم ربكم بثلاثة آلاف من الملائكة منزلين {124} بلى إن تصبروا وتتقوا وياتوكم من فورهم هذا يمددكم ربكم بخمسة آلاف من الملائكة مسومين {125} وما جعله الله إلا بشرى لكم ولتطمئن قلوبكم به وما النصر إلا من عند الله العزيز الحكيم {126} ليقطع طرفا من الذين كفروا او يكبتهم فينقلبوا خائبين {127} سورة آل عمران آية 123-127.
Aur Allah Ta'ala ka farmana ”Aur yaqeenan Allah Ta'ala ne tumhari madad ki Badr mein jis waqt ke tum kamzor thay. To tum Allah se darte raho taake tum shukr guzar ban jao. Ay Nabi! Wo waqt yaad kijiye, jab aap iman walon se keh rahe thay, kya ye tumhare liye kafi nahi ke tumhara parwardigar tumhari madad ke liye teen hazar farishte utaar de, kyun nahi, bashart-e-ke tum sabr karo aur Allah se darte raho aur agar wo tum par foran aa parein to tumhara parwardigar tumhari madad paanch hazar nishan kiye hue farishton se kare ga aur ye to Allah ne is liye kiya ke tum khush ho jao aur tumhein is se itminan hasil ho jaye. Warna fatah to bas Allah Ghalib aur Hikmat wale hi ki taraf se hui hai aur ye nusrat is gharz se thi taake kafiron ke ek guroh ko halak kar de ya unhein aisa maghloob kar de ke wo nakam ho kar wapas laut jayein. Wahshi Radi Allahu Anhu ne kaha Hamza Radi Allahu Anhu ne Tuaimah Bin Adi Bin Khiyar ko Badr ki larai mein qatl kiya tha. Aur Allah Ta'ala ka farman (Surah-al-Anfal mein) ”Aur wo waqt yaad karo ke jab Allah Ta'ala tum se waada kar raha tha, do jamaaton mein se ek ke liye wo tumhare hath aa jaye gi“ aakhir tak
.


Show diacritics
Hadith Number: 3951
حدثني يحيى بن بكير، حدثنا الليث، عن عقيل، عن ابن شهاب، عن عبد الرحمن بن عبد الله بن كعب، ان عبد الله بن كعب، قال:سمعت كعب بن مالك رضي الله عنه، يقول:" لم اتخلف عن رسول الله صلى الله عليه وسلم في غزوة غزاها إلا في غزوة تبوك غير اني تخلفت عن غزوة بدر، ولم يعاتب احد تخلف عنها , إنما خرج رسول الله صلى الله عليه وسلم يريد عير قريش حتى جمع الله بينهم وبين عدوهم على غير ميعاد".
Mujh se Yahya Bin Bukair ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Lais ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum se Aqeel ne bayan kiya, un se Ibn Shihab ne bayan kiya, un se Abdur Rahman Bin Abdullah Bin Ka'b ne, un se Abdullah Bin Ka'b ne bayan kiya, unhon ne kaha ke mein ne Ka'b Bin Malik Radi Allahu Anhu se suna, unhon ne bayan kiya ke Rasul Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne jitne ghazwe kiye, mein ghazwa-e-Tabook ke siwa sab mein hazir raha. Albatta ghazwa-e-Badr mein shareek na ho saka tha lekin jo log is ghazwe mein shareek na ho sake thay, in mein se kisi par Allah ne itab nahi kiya. Kyunke Rasul Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Quraish ke qafile ko talash karne ke liye nikle thay. (Larrne ki niyat se nahi gaye thay) magar Allah Ta'ala ne nagahani musalmanon ko un ke dushmanon se bhira diya
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِ اللَّهِ تَعَالَى: {إِذْ تَسْتَغِيثُونَ رَبَّكُمْ فَاسْتَجَابَ لَكُمْ أَنِّي مُمِدُّكُمْ بِأَلْفٍ مِنَ الْمَلاَئِكَةِ مُرْدِفِينَ وَمَا جَعَلَهُ اللَّهُ إِلاَّ بُشْرَى وَلِتَطْمَئِنَّ بِهِ قُلُوبُكُمْ وَمَا النَّصْرُ إِلاَّ مِنْ عِنْدِ اللَّهِ إِنَّ اللَّهَ عَزِيزٌ حَكِيمٌ إِذْ يُغَشِّيكُمُ النُّعَاسَ أَمَنَةً مِنْهُ وَيُنَزِّلُ عَلَيْكُمْ مِنَ السَّمَاءِ مَاءً لِيُطَهِّرَكُمْ بِهِ وَيُذْهِبَ عَنْكُمْ رِجْزَ الشَّيْطَانِ وَلِيَرْبِطَ عَلَى قُلُوبِكُمْ وَيُثَبِّتَ بِهِ الأَقْدَامَ إِذْ يُوحِي رَبُّكَ إِلَى الْمَلاَئِكَةِ أَنِّي مَعَكُمْ فَثَبِّتُوا الَّذِينَ آمَنُوا سَأُلْقِي فِي قُلُوبِ الَّذِينَ كَفَرُوا الرُّعْبَ فَاضْرِبُوا فَوْقَ الأَعْنَاقِ وَاضْرِبُوا مِنْهُمْ كُلَّ بَنَانٍ ذَلِكَ بِأَنَّهُمْ شَاقُّوا اللَّهَ وَرَسُولَهُ وَمَنْ يُشَاقِقِ اللَّهَ وَرَسُولَهُ فَإِنَّ اللَّهَ شَدِيدُ الْعِقَابِ} .
Bab: Allah Taala ka farman aur us waqt ko yaad karo jab tum apne Parwardigar se faryad kar rahe the, phir us ne tumhari faryad sun li, aur farmaya ke tumhein lagatar ek hazaar farishton se madad doon ga aur Allah ne ye bas is liye kiya ke tumhein basharat ho aur taake tumhare dilon ko is se itminan haasil ho jaye, warna fath to bas Allah hi ke paas se hai, beshak Allah ghalib hikmat wala hai aur woh waqt bhi yaad karo jab Allah ne apni taraf se chain dene ko tum par neend ko bhej diya tha aur aasman se tumhare liye paani utar raha tha ke us ke zariye se tumhein paak kar de aur tum se shaytani waswase ko dafa’ kar de aur taake tumhare dilon ko mazboot kar de aur us ke sabab tumhare qadam jama de (aur us waqt ko yaad karo) jab tera Parwardigar wahi kar raha tha farishton ki taraf ke mein tumhare sath hun, so imaan lane walon ko jamaye rakho mein abhi kafiron ke dilon mein ra’b daale deta hun, so tum kafiron ki gardanon par maaro aur un ke jodon par zarb lagao. Ye is liye ke unhon ne Allah aur us ke Rasool ki mukhalifat ki hai aur jo koi Allah aur us ke Rasool ki mukhalifat karta hai, so Allah Taala sakht saza dene wala hai.
Show diacritics
Hadith Number: 3952
حدثنا ابو نعيم، حدثنا إسرائيل، عن مخارق، عن طارق بن شهاب، قال: سمعت ابن مسعود، يقول: شهدت من المقداد بن الاسود مشهدا لان اكون صاحبه احب إلي مما عدل به , اتى النبي صلى الله عليه وسلم وهو يدعو على المشركين، فقال:" لا نقول كما قال قوم موسى فاذهب انت وربك فقاتلا سورة المائدة آية 24 ولكنا نقاتل عن يمينك وعن شمالك , وبين يديك وخلفك"، فرايت النبي صلى الله عليه وسلم اشرق وجهه وسره يعني قوله.
Hum se Abu Nuaim ne bayan kiya, hum se Israeel Bin Yunus ne bayan kiya, un se Mukhariq Bin Abdullah Bajali ne, un se Tariq Bin Shihab ne, unhon ne Ibn Masood Radi Allahu Anhu se suna, unhon ne kaha ke mein ne Miqdad Bin Aswad Radi Allahu Anhu se ek aaisi baat suni ke agar wo baat meri zaban se ada ho jati to mere liye kisi bhi cheez ke muqable mein zyada azeez hoti. Wo Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ki khidmat mein hazir hue. Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam is waqt mushrikeen par baddua kar rahe thay. Unhon ne arz kiya: Ya Rasul Allah! Hum wo nahi kahein ge jo Musa Alaihis Salam ki qaum ne kaha tha ke jao, tum aur tumhara Rabb in se jang karo, balkay hum aap ke dayein bayein, aage aur peeche jama ho kar larrne ge. Mein ne dekha ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ka chehra mubarak chamakne laga aur Aap Sallallahu Alaihi Wasallam khush ho gaye
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3953
حدثني محمد بن عبيد الله بن حوشب، حدثنا عبد الوهاب، حدثنا خالد، عن عكرمة، عن ابن عباس، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم يوم بدر:" اللهم إني انشدك عهدك ووعدك , اللهم إن شئت لم تعبد" , فاخذ ابو بكر بيده، فقال: حسبك , فخرج وهو يقول: سيهزم الجمع ويولون الدبر سورة القمر آية 45.
Mujh se Abdullah Bin Haushab ne bayan kiya, hum se Abdul Wahhab ne bayan kiya, un se Khalid ne, un se Ikrimah ne, un se Ibn Abbas Radi Allahu Anhuma ne ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Badr ki larai ke mauqa par farmaya tha ke ay Allah! Mein tere ahad aur waada ka wasta deta hoon, agar tu chahe (ke ye kafir ghalib hon to musalmanon ke khatam ho jaane ke baad) teri ibadat na ho gi. Is par Abu Bakr Radi Allahu Anhu ne Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ka hath tham liya aur arz kiya bas kijiye, ya Rasul Allah! Is ke baad Aap Sallallahu Alaihi Wasallam apne khaime se bahar tashreef laye to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ki zaban par ye ayat thi «Sayuhzamul jam'u wa yuwalloonad-dubur» ”Jald hi kuffar ki jamaat ko haar ho gi aur ye peeth pher kar bhag niklein ge.“
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابٌ:
Bab: …
Show diacritics
Hadith Number: 3954
حدثني إبراهيم بن موسى، اخبرنا هشام، ان ابن جريج اخبرهم، قال: اخبرني عبد الكريم، انه سمع مقسما مولى عبد الله بن الحارث يحدث، عن ابن عباس، انه سمعه يقول:" لا يستوي القاعدون من المؤمنين سورة النساء آية 95 عن بدر والخارجون إلى بدر".
Hum se Ibrahim Bin Musa ne bayan kiya, hum ko Hisham ne khabar di, unhein Ibn Juraij ne khabar di, kaha ke mujhe Abdul Kareem ne khabar di, unhon ne Abdullah Bin Haris ke Maula Miqsam se suna, wo Ibn Abbas Radi Allahu Anhuma se bayan karte thay, unhon ne bayan kiya ke (Surah-an-Nisa ki is ayat se) «La yastawil qa'idoona minal mu'mineena» jihad mein shirkat karne wale aur is mein shareek na hone wale barabar nahi ho sakte. Wo log murad hain jo Badr ki larai mein shareek hue aur jo is mein shareek nahi hue
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ عِدَّةِ أَصْحَابِ بَدْرٍ:
Bab: Jang-e-Badr mein shareek hone walon ka shumar.
Show diacritics
Hadith Number: 3955
حدثنا مسلم بن إبراهيم، حدثنا شعبة، عن ابي إسحاق، عن البراء، قال: استصغرت انا وابن عمر،
Hum se Muslim Bin Ibrahim ne bayan kiya, kaha hum se Shuba ne bayan kiya, un se Abu Ishaq ne aur un se Bara Bin Azib Radi Allahu Anhuma ne bayan kiya ke (Badr ki larai ke mauqa par) mujhe aur Ibn Umar Radi Allahu Anhuma ko nabaligh qarar de diya gaya tha
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3956
حدثني محمود، حدثنا وهب،عن شعبة، عن ابي إسحاق، عن البراء، قال:" استصغرت انا وابن عمر يوم بدر , وكان المهاجرون يوم بدر نيفا على ستين , والانصار نيفا واربعين ومائتين".
(Doosri sanad) Imam Bukhari Rahimahullah farmate hain aur mujh se Mahmud Bin Ghailan ne bayan kiya kaha, hum se Wahb Bin Jarir ne bayan kiya, un se Shuba ne, un se Abu Ishaq ne aur un se Bara Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Badr ki larai mein mujhe aur Abdullah Bin Umar Radi Allahu Anhuma ko nabaligh qarar de diya gaya tha aur is larai mein Muhajireen ki tadaad saath se kuch zyada thi aur Ansar do sau chalees se kuch zyada thay
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة