الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ عِدَّةِ أَصْحَابِ بَدْرٍ:
Bab: Jang-e-Badr mein shareek hone walon ka shumar.
Show diacritics
Hadith Number: 3957
حدثنا عمرو بن خالد، حدثنا زهير، حدثنا ابو إسحاق، قال: سمعت البراء رضي الله عنه، يقول: حدثني اصحاب محمد صلى الله عليه وسلم ممن شهد بدرا انهم كانوا عدة اصحاب طالوت الذين جازوا معه النهر بضعة عشر وثلاث مائة، قال البراء:" لا والله ما جاوز معه النهر إلا مؤمن".
Hum se Amr Bin Khalid ne bayan kiya kaha, hum se Zuhair Bin معاویہ ne bayan kiya kaha, hum se Abu Ishaq ne bayan kiya, kaha ke mein ne Bara Radi Allahu Anhu se suna, unhon ne bayan kiya ke Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam ke Sahaba ne jo Badr mein shareek thay mujh se bayan kiya ke Badr ki larai mein un ki tadaad itni hi thi jitni Taloot Alaihis Salam ke in ashab ki thi jinhon ne un ke sath nehar-e-Falasteen ko paar kiya tha. Taqreeban teen sau das. Bara Radi Allahu Anhu ne kaha nahi, Allah ki qasam! Taloot ke sath nehar-e-Falasteen ko sirf wahi log paar kar sake thay jo momin thay
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3958
حدثنا عبد الله بن رجاء، حدثنا إسرائيل، عن ابي إسحاق، عن البراء، قال:" كنا اصحاب محمد صلى الله عليه وسلم نتحدث انعدة اصحاب بدر على عدة اصحاب طالوت الذين جاوزوا معه النهر , ولم يجاوز معه إلا مؤمن بضعة عشر وثلاث مائة".
Hum se Abdullah Bin Raja ne bayan kiya, hum se Israeel ne bayan kiya, un se Ishaq ne, unhon ne Bara Radi Allahu Anhu se suna, unhon ne bayan kiya ke hum ashab-e-Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam aapas mein ye guftagu karte thay ke ashab-e-Badr ki tadaad bhi itni hi thi jitni ashab-e-Taloot ki. Jinhon ne aap ke sath nehar-e-Falasteen paar ki thi aur in ke sath nehar ko paar karne wale sirf momin hi thay yani teen sau das se kuch zyada aadmi
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3959
حدثني عبد الله بن ابي شيبة، حدثنا يحيى، عن سفيان، عن ابي إسحاق، عن البراء. ح وحدثنا محمد بن كثير، اخبرنا سفيان، عنابي إسحاق، عن البراء رضي الله عنه، قال:" كنا نتحدث ان اصحاب بدر ثلاث مائة وبضعة عشر , بعدة اصحاب طالوت الذين جاوزوا معه النهر , وما جاوز معه إلا مؤمن".
Mujh se Abdullah Bin Abi Shaibah ne bayan kiya, hum se Yahya Bin Saeed Qattan ne bayan kiya, un se Sufyan Suri ne, un se Abu Ishaq ne aur un se Bara Radi Allahu Anhu ne (doosri sanad) aur hum se Muhammad Bin Kaseer ne bayan kiya, unhein Sufyan ne khabar di, unhein Abu Ishaq ne aur un se Bara Bin Azib Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke hum aapas mein ye guftagu kiya karte thay ke jang-e-Badr mein ashab-e-Badr ki tadaad bhi teen sau das se upar, kuch upar thi, jitni in ashab-e-Taloot ki tadaad thi jinhon ne un ke sath nehar-e-Falasteen paar ki thi aur ise paar karne wale sirf imandar hi thay
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ دُعَاءُ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ عَلَى كُفَّارِ قُرَيْشٍ شَيْبَةَ وَعُتْبَةَ وَالْوَلِيدِ وَأَبِي جَهْلِ بْنِ هِشَامٍ وَهَلاَكُهُمْ:
Bab: Kuffar-e-Quraish, Shaybah, Utbah, Waleed aur Abu Jahl bin Hisham ke liye Nabi Karim ﷺ ka bad-dua karna aur un ki halakat ka bayan.
Show diacritics
Hadith Number: 3960
حدثني عمرو بن خالد، حدثنا زهير، حدثنا ابو إسحاق، عن عمرو بن ميمون، عن عبد الله بن مسعود رضي الله عنه، قال:" استقبل النبي صلى الله عليه وسلم الكعبة , فدعا على نفر من قريش على شيبة بن ربيعة , وعتبة بن ربيعة , والوليد بن عتبة , وابي جهل بن هشام , فاشهد بالله لقد رايتهم صرعى قد غيرتهم الشمس وكان يوما حارا".
Hum se Amr Bin Khalid Harrani ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Zuhair Bin معاویہ ne bayan kiya, hum se Abu Ishaq Sabi'i ne bayan kiya, un se Amr Bin Maimoon ne aur un se Abdullah Bin Masood Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Kaabah ki taraf munh kar ke kuffar-e-Quraish ke chand logon Shaibah Bin Rabeeah, Utbah Bin Rabeeah, Walid Bin Utbah aur Abu Jahl Bin Hisham ke haqq mein baddua ki thi. Mein is ke liye Allah ko gawah banata hoon ke mein ne (Badr ke maidan mein) in ki lashein pari hui paayein. Sooraj ne in ki lashon ko badbudar kar diya tha. Is din bari garmi thi
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَتْلِ أَبِي جَهْلٍ:
Bab: (Badr ke din) Abu Jahl ka qatl hona.
Show diacritics
Hadith Number: 3961
حدثنا ابن نمير، حدثنا ابو اسامة، حدثنا إسماعيل، اخبرنا قيس، عن عبد الله رضي الله عنه، انه اتى ابا جهل وبه رمق يوم بدر، فقال ابو جهل:" هل اعمد من رجل قتلتموه؟".
Hum se Muhammad Bin Abdullah Bin Numair ne bayan kiya, hum se Abu Usama ne bayan kiya, hum se Ismail Bin Abi Khalid ne bayan kiya, hum ko Qais Bin Abu Hazim ne khabar di aur unhein Abdullah Bin Masood Radi Allahu Anhu ne ke Badr ki larai mein wo Abu Jahl ke qareeb se guzre abhi is mein thori si jaan baqi thi us ne un se kaha is se bara koi aur shakhs hai jis ko tum ne maara hai?
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3962
حدثنا احمد بن يونس، حدثنا زهير، حدثنا سليمان التيمي، ان انسا حدثهم، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم. ح وحدثني عمرو بن خالد، حدثنا زهير، عن سليمان التيمي، عن انس رضي الله عنه، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" من ينظر ما صنع ابو جهل , فانطلق ابن مسعود فوجده قد ضربه ابنا عفراء حتى برد، قال: اانت ابو جهل؟ قال: فاخذ بلحيته، قال: وهل فوق رجل قتلتموه , او رجل قتله قومه؟ قالاحمد بن يونس: انت ابو جهل.
Hum se Ahmad Bin Yunus ne bayan kiya, kaha hum se Zuhair ne bayan kiya, kaha hum se Sulaiman Taimi ne bayan kiya, un se Anas Radi Allahu Anhu ne kaha ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya (aur doosri sanad) Imam Bukhari Rahimahullah ne farmaya, mujh se Amr Bin Khalid ne bayan kiya, hum se Zuhair Bin معاویہ ne bayan kiya, un se Sulaiman Taimi ne aur un se Anas Bin Malik Radi Allahu Anhu ne ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ”koi hai jo maloom kare ke Abu Jahl ka kya hashar hua?“ Ibn Masood Radi Allahu Anhu haqiqat-e-haal maloom karne aaye to dekha ke Afra ke beton (Muaz aur Muawwaz Radi Allahu Anhuma) ne ise qatl kar diya hai aur is ka jism thanda para hai. Unhon ne daryaft kiya, kya tu hi Abu Jahl hai? Anas Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke phir Ibn Masood Radi Allahu Anhu ne is ki darhi pakar li. Abu Jahl ne kaha, kya is se bhi bara koi aadmi hai jise tum ne aaj qatl kar dala hai? Ya (is ne ye kaha ke kya is se bhi bara) koi aadmi hai jise is ki qaum ne qatl kar dala hai? Ahmad Bin Yunus ne (apni riwayat mein) «Anta Abu Jahal» ke alfaz bayan kiye hain. Yani unhon ne ye poocha, kya tu hi Abu Jahl hai
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3963
حدثني محمد بن المثنى، حدثنا ابن ابي عدي، عن سليمان التيمي، عن انس رضي الله عنه، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم يوم بدر:" من ينظر ما فعل ابو جهل" , فانطلق ابن مسعود فوجده قد ضربه ابنا عفراء حتى برد , فاخذ بلحيته، فقال: انت ابا جهل، قال: وهل فوق رجل قتله قومه؟ او قال: قتلتموه. حدثني ابن المثنى، اخبرنا معاذ بن معاذ، حدثنا سليمان، اخبرنا انس بن مالك نحوه.
Mujh se Muhammad Bin Musanna ne bayan kiya, hum se Ibn Abi Adi ne bayan kiya, un se Sulaiman Taimi aur un se Anas Bin Malik Radi Allahu Anhu ne ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Badr ki larai ke din farmaya ”Kaun dekh kar aaye ga ke Abu Jahl ka kya hua?“ Ibn Masood Radi Allahu Anhu maloom karne gaye to dekha ke Afra ke dono larkan ne ise qatl kar diya tha aur is ka jism thanda para hai. Unhon ne is ki darhi pakar kar kaha, tu hi Abu Jahl hai? Us ne kaha, kya is se bhi bara koi aadmi hai jise aaj is ki qaum ne qatl kar dala hai ya (is ne yun kaha ke) tum logon ne ise qatl kar dala hai? Mujh se Ibn Musanna ne bayan kiya, hum ko Muaz Bin Muaz ne khabar di, kaha hum se Sulaiman ne bayan kiya aur unhein Anas Bin Malik Radi Allahu Anhu ne khabar di, isi tarah aage hadees bayan ki
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3964
حدثنا علي بن عبد الله، قال: كتبت عن يوسف بن الماجشون، عن صالح بن إبراهيم، عن ابيه، عن جده في بدر يعني حديث ابني عفراء.
Hum se Ali Bin Abdullah ne bayan kiya, unhon ne kaha ke mein ne Yusuf Bin Majashoon se ye hadees likhi, unhon ne Salih Bin Ibrahim se bayan kiya, unhon ne apne walid se unhon ne Salih ke dada (Abdur Rahman Bin Auf) se, Badr ke bare mein Afra ke dono beton ki hadees murad lete thay
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3965
حدثني محمد بن عبد الله الرقاشي، حدثنا معتمر، قال: سمعت ابي، يقول: حدثنا ابو مجلز، عن قيس بن عباد، عن علي بن ابي طالب رضي الله عنه، انه قال:" انا اول من يجثو بين يدي الرحمن للخصومة يوم القيامة"، وقال قيس بن عباد: وفيهم انزلت هذان خصمان اختصموا في ربهم سورة الحج آية 19، قال: هم الذين تبارزوا يوم بدر حمزة , وعلي , وعبيدة , او ابو عبيدة بن الحارث , وشيبة بن ربيعة , وعتبة بن ربيعة , والوليد بن عتبة.
Mujh se Muhammad Bin Abdullah Raqashi ne bayan kiya, hum se Mutamir ne bayan kiya, kaha ke mein ne apne walid se suna, unhon ne bayan kiya ke hum se Abu Mijlaz ne, un se Qais Bin Ubad aur un se Ali Bin Abi Talib Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Qiyamat ke din mein sab se pehla shakhs hoon ga jo Allah Ta'ala ke darbar mein jhagrah chakane ke liye do zano ho kar baithe ga. Qais Bin Ubad ne bayan kiya ke inhein hazrat (Hamza, Ali aur Ubaidah Radi Allahu Anhum) ke bare mein Surah-al-Hajj ki ye ayat nazil hui thi «Hazaani khasmani-khtasamu fi Rabbihim» ”Ye do fareeq hain jinhon ne Allah ke bare mein larai ki.“ Bayan kiya ke ye wahi hain jo Badr ki larai mein larrne nikle thay, musalmanon ki taraf se Hamza, Ali aur Ubaidah ya Abu Ubaidah Bin Haris Rizwanullahi Alaihim (aur kafiron ki taraf se) Shaibah Bin Rabeeah, Utbah Bin Rabeeah aur Walid Bin Utbah thay
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3966
حدثنا قبيصة، حدثنا سفيان، عن ابي هاشم، عن ابي مجلز، عن قيس بن عباد، عن ابي ذر رضي الله عنه، قال:" نزلت هذان خصمان اختصموا في ربهم سورة الحج آية 19 في ستة من قريش , علي , وحمزة , وعبيدة بن الحارث , وشيبة بن ربيعة , وعتبة بن ربيعة , والوليد بن عتبة".
Hum se Qabeesah ne bayan kiya, ke hum se Sufyan Suri ne bayan kiya, un se Abu Hashim ne, un se Abu Mijlaz ne, un se Qais Bin Ubad aur un se Abu Zar Radi Allahu Anhu ne bayan kiya aayat-e-karima «Hazaani khasmani-khtasamu fi Rabbihim» ”Ye do fareeq hain jinhon ne Allah ke bare mein muqabla kiya“ Quraish ke chay shakhson ke bare mein nazil hui thi (teen musalmanon ki taraf ke yani Ali, Hamza aur Ubaidah Bin Haris Radi Allahu Anhum aur (teen kuffar ki taraf ke yani) Shaibah Bin Rabeeah, Utbah Bin Rabeeah aur Walid Bin Utbah
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة