الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ قَوْلِ اللَّهِ تَعَالَى: {وَإِذْ قَالَ رَبُّكَ لِلْمَلاَئِكَةِ إِنِّي جَاعِلٌ فِي الأَرْضِ خَلِيفَةً}:
Bab: Allah Taala ka (Surah Al-Baqarah mein) ye farmana“Ay Rasool! woh waqt yaad kar jab tere Rab ne farishton se kaha mein zameen mein ek (qaum ko) ja-nasheen banane wala hun”.
Hadith Number: 3334
حدثنا قيس بن حفص، حدثنا خالد بن الحارث، حدثنا شعبة، عن ابي عمران الجوني، عن انس يرفعه، إن الله يقول:" لاهون اهل النار عذابا لو ان لك ما في الارض من شيء كنت تفتدي به، قال: نعم، قال: فقد سالتك ما هو اهون من هذا وانت في صلب آدم ان لا تشرك بي فابيت إلا الشرك".
Hum se Qais Bin Hafs ne bayan kiya, kaha hum se Khalid Bin Harith ne bayan kiya, kaha hum se Shuba ne bayan kiya, un se Abu Imran Juni ne aur un se Anas (Radi Allahu Anhu) ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se ke Allah Ta'ala (qiyamat ke din) is shakhs se poochega jise dozakh ka sab se halka azab kiya gaya ho ga. Agar dunya mein tumhari koi cheez hoti to kya tu is azab se najat pane ke liye ise badle mein de sakta tha? Wo shakhs kahega ke ji haan is par Allah Ta'ala farmaye ga ke jab tu Aadam ki peeth mein tha to mein ne tujh se is se bhi mamooli cheez ka mutalba kiya tha (roz-e-azal mein) ke mera kisi ko bhi shareek na thehrana, lekin (jab tu dunya mein aaya to) isi shirk ka amal ikhtiyar kiya
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3335
حدثنا عمر بن حفص بن غياث، حدثنا ابي، حدثنا الاعمش، قال: حدثني عبد الله بن مرة، عن مسروق، عن عبد الله رضي الله عنه، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" لا تقتل نفس ظلما إلا كان على ابن آدم الاول كفل من دمها لانه اول من سن القتل".
Hum se Umar Bin Hafs Bin Ghiyath ne bayan kiya, kaha hum se hamare walid ne bayan kiya, un se Aamash ne bayan kiya, kaha ke mujh se Abdullah Bin Murra ne bayan kiya, un se Masrooq ne aur un se Abdullah Bin Masood (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Jab bhi koi insan zhulm se qatl kiya jata hai to Aadam Alaihis Salam ke sab se pehle bete (Qabil) ke nama-e-amal mein bhi is qatl ka gunah likha jata hai. Kyunke qatl-e-na-haqq ki bina sab se pehle usi ne qaim ki thi."
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الأَرْوَاحُ جُنُودٌ مُجَنَّدَةٌ:
Bab: Roohon ke jathe hain jhand ke jhand.
Hadith Number: 3336
قال: قال: الليث، عن يحيى بن سعيد، عن عمرة، عن عائشة رضي الله عنها، قالت: سمعت النبي صلى الله عليه وسلم، يقول:" الارواح جنود مجندة فما تعارف منها ائتلف وما تناكر منها اختلف"، وقال: يحيى بن ايوب، حدثني يحيى بن سعيد بهذا.
Imam Bukhari (Rahimahullah) ne kaha ke Laith Bin Saad ne riwayat kiya Yahya Bin Said Ansari se, un se Amra ne aur un se Aisha (Radi Allahu Anha) ne bayan kiya ke mein ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se suna, Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) farma rahe thay "Rooho ke jhand ke jhand alag alag thay. Phir wahan jin roohon mein aapas mein pehchan thi un mein yahan bhi muhabbat hoti hai aur jo wahan ghair theen yahan bhi wo khilaf rehti hain." Aur Yahya Bin Ayub ne bhi is hadees ko riwayat kiya, kaha mujh se Yahya Bin Said ne bayan kiya, aakhir tak
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِ اللَّهِ عَزَّ وَجَلَّ: {وَلَقَدْ أَرْسَلْنَا نُوحًا إِلَى قَوْمِهِ}:
Bab: Allah Taala ka irshad“Aur hum ne Nuh ko un ki qaum ke paas apna rasool bana kar bheja”.
Hadith Number: Q3337-2
قال ابن عباس: بادي الراي سورة هود آية 27 ما ظهر لنا اقلعي سورة هود آية 44 امسكي وفار التنور سورة هود آية 40 نبع الماء، وقال عكرمة: وجه الارض، وقال مجاهد: الجودي جبل بالجزيرة داب مثل حال.
Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne (Quran Majeed ki isi Surah Hud mein) "badi-al-ra'yi" ke mutalliq kaha ke wo cheez hamare samne zahir ho. "aqli'ee" yaani rok le thehar ja "wa-fara-t-tannooru" yaani pani is tannoor mein se ubal pada aur Ikrima ne kaha ke ("tannoor" ba-maane) satah-e-zameen ke hai aur Mujahid ne kaha ke "al-Joodiyu" jazeera ka ek pahad hai. Dijla-o-Furat ke beech mein aur Surah Momin mein lafz "da'bun" ba-maane haal hai
.
.
بَابُ قَوْلِ اللَّهِ تَعَالَى: {إِنَّا أَرْسَلْنَا نُوحًا إِلَى قَوْمِهِ أَنْ أَنْذِرْ قَوْمَكَ مِنْ قَبْلِ أَنْ يَأْتِيَهُمْ عَذَابٌ أَلِيمٌ} إِلَى آخِرِ السُّورَةِ:
Bab: Allah Taala ka farman“Beshak hum ne Nuh ko us ki qaum ki taraf bheja ke apni qaum ko dara, is se pehle ke un par ek dard-naak azab aa jaye”aakhir soorat tak.
Hadith Number: Q3337
{واتل عليهم نبا نوح إذ قال لقومه يا قوم إن كان كبر عليكم مقامي وتذكيري بآيات الله} إلى قوله: {من المسلمين}.
Aur Surah Yunus mein farmana "wat-lu alaihim naba'a noohin iz qaala li-qawmihi ya qawmi in kaana kabura alaikum maqami wa-tazkeeri bi-ayatillahi" "Ae rasul! Nooh ki khabar un par tilawat kar, jab unhon ne apni qaum se kaha tha ke Ae qaum! Agar mera yahan thehrana aur Allah Ta'ala ki ayaat ko tumhare samne bayan karna tumhein zyada na-gawar guzarta hai." Allah Ta'ala ke irshad "minal muslimeena" tak
.
.
Hadith Number: 3337
حدثنا عبدان، اخبرنا عبد الله، عن يونس، عن الزهري، قال سالم، وقال ابن عمر رضي الله عنهما، قام رسول الله صلى الله عليه وسلم في الناس فاثنى على الله بما هو اهله ثم ذكر الدجال، فقال: إني لانذركموه وما من نبي إلا انذره قومه لقد انذر نوح قومه ولكني اقول لكم فيه، قولا: لم يقله نبي لقومه تعلمون انه اعور وان الله ليس باعور".
Hum se Abdan ne bayan kiya, kaha hum ko Abdullah Bin Mubarak ne khabar di, unhein Yunus ne, unhein Zuhri ne ke Salim ne bayan kiya aur un se Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) ne bayan kiya ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) logon mein khutba sunane khade hue. Pehle Allah Ta'ala ki, is ki shan ke mutabiq sana bayan ki, phir Dajjal ka zikar farmaya aur farmaya ke mein tumhein Dajjal ke fitne se darata hoon aur koi nabi aisa nahi guzra jis ne apni qaum ko is se na daraya ho. Nooh Alaihis Salam ne bhi apni qaum ko is se daraya tha. Lekin mein tumhein is ke bare mein ek aisi baat batata hoon jo kisi nabi ne bhi apni qaum ko nahi batayi thi, tumhein maloom hona chahiye ke Dajjal kaana ho ga aur Allah Ta'ala is aib se paak hai
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3338
حدثنا ابو نعيم، حدثنا شيبان، عن يحيى، عن ابي سلمة سمعت ابا هريرة رضي الله عنه، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" الا احدثكم حديثا عن الدجال ما حدث به نبي قومه إنه اعور وإنه يجيء معه بمثال الجنة والنار فالتي يقول: إنها الجنة هي النار وإني انذركم كما انذر به نوح قومه".
Hum se Abu Nuaym ne bayan kiya, hum se Shaiban ne bayan kiya, un se Yahya ne, un se Abu Salama ne aur unhon ne Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) se suna, aap ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Kyun na mein tumhein Dajjal ke mutalliq ek aisi baat bata doon jo kisi nabi ne apni qaum ko ab tak nahi batayi. Wo kaana ho ga aur jannat aur jahannum jaisi cheez laye ga. Pas jise wo jannat kahega dar-haqiqat wahi dozakh ho gi aur mein tumhein is ke fitne se isi tarah darata hoon, jaise Nooh Alaihis Salam ne apni qaum ko daraya tha."
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3339
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا عبد الواحد بن زياد، حدثنا الاعمش، عن ابي صالح، عن ابي سعيد، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" يجيء نوح وامته، فيقول الله تعالى: هل بلغت؟، فيقول: نعم اي رب، فيقول لامته: هل بلغكم؟، فيقولون: لا ما جاءنا من نبي، فيقول: لنوح من يشهد لك؟، فيقول: محمد صلى الله عليه وسلم وامته فنشهد انه قد بلغ وهو قوله جل ذكره وكذلك جعلناكم امة وسطا لتكونوا شهداء على الناس سورة البقرة آية 143 والوسط العدل".
Hum se Musa Bin Ismail ne bayan kiya, hum se Abd-ul-Wahid Bin Ziyad ne bayan kiya, hum se Aamash ne bayan kiya, un se Abu Salih ne aur un se Abu Said Khudri (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "(Qiyamat ke din) Nooh Alaihis Salam bargah-e-Ilahi mein hazir honge. Allah Ta'ala daryaft farmaye ga, kya (mera paigham) tum ne pahuncha diya tha? Nooh Alaihis Salam arz kareinge mein ne tera paigham pahuncha diya tha. Ae Rabb-ul-Izzat! Ab Allah Ta'ala un ki ummat se daryaft farmaye ga, kya (Nooh Alaihis Salam ne) tum tak mera paigham pahuncha diya tha? Wo jawab dein ge nahi, hamare paas tera koi nabi nahi aaya. Is par Allah Ta'ala Nooh Alaihis Salam se daryaft farmaye ga, is ke liye aap ki taraf se koi gawahi bhi de sakta hai? Wo arz kareinge ke Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam) aur un ki ummat (ke log mere gawah hain) chunanche hum is baat ki shahadat dein ge ke Nooh Alaihis Salam ne Allah Ta'ala ka paigham apni qaum tak pahunchaya tha aur yahi mafhoom Allah Jalla Zikruhu ke is irshad ka hai 'wa-kazalika ja-alnākum ummatan wasatan litakūnu shuhada-a ala-n-nasi' 'Aur isi tarah hum ne tumhein ummat-e-wasat banaya taake tum logon par gawahi do.' Aur 'wasat' ke maane darmiyani ke hain."
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3340
حدثني إسحاق بن نصر، حدثنا محمد بن عبيد، حدثنا ابو حيان، عن ابي زرعة، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال:" كنا مع النبي صلى الله عليه وسلم في دعوة فرفع إليه الذراع وكانت تعجبه فنهس منها نهسة، وقال: انا سيد القوم يوم القيامة هل تدرون بمن يجمع الله الاولين والآخرين في صعيد واحد فيبصرهم الناظر ويسمعهم الداعي وتدنو منهم الشمس، فيقول: بعض الناس الا ترون إلى ما انتم فيه إلى ما بلغكم الا تنظرون إلى من يشفع لكم إلى ربكم، فيقول: بعض الناس ابوكم آدم فياتونه، فيقولون: يا آدم انت ابو البشر خلقك الله بيده ونفخ فيك من روحه وامر الملائكة فسجدوا لك واسكنك الجنة الا تشفع لنا إلى ربك الا ترى ما نحن فيه وما بلغنا، فيقول: ربي غضب غضبا لم يغضب قبله مثله، ولا يغضب بعده مثله ونهاني عن الشجرة فعصيته نفسي نفسي اذهبوا إلى غيري اذهبوا إلى نوح فياتون نوحا، فيقولون: يا نوح انت اول الرسل إلى اهل الارض وسماك الله عبدا شكورا اما ترى إلى ما نحن فيه الا ترى إلى ما بلغنا الا تشفع لنا إلى ربك، فيقول: ربي غضب اليوم غضبا لم يغضب قبله مثله ولا يغضب بعده مثله نفسي نفسي ائتوا النبي صلى الله عليه وسلم فياتوني فاسجد تحت العرش، فيقال: يا محمد ارفع راسك واشفع تشفع وسل تعطه، قال محمد بن عبيد: لا احفظ سائره".
Mujh se Ishaq Bin Nasr ne bayan kiya, hum se Muhammad Bin Ubaid ne bayan kiya, hum se Abu Hayyan Yahya Bin Said ne bayan kiya, un se Abu Zur'a ne aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke hum Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke sath ek dawat mein shareek thay. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki khidmat mein dasti ka gosht pesh kiya gaya jo Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko bahut marghoob tha. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne is dasti ki haddi ka gosht danto se nikal kar khaya. Phir farmaya ke mein qiyamat ke din logon ka sardar hoon ga. Tumhein maloom hai ke kis tarah Allah Ta'ala (qiyamat ke din) tamam makhluq ko ek chateel maidan mein jama karega? Is tarah ke dekhne wala sab ko ek sath dekh sakega. Awaz dene wale ki awaz har jagah suni ja sakegi aur sooraj bilkul qareeb ho jaye ga. Ek shakhs apne qareeb ke doosre shakhs se kahega, dekhte nahi ke sab log kaisi pareshani mein mubtala hain? Aur musibat kis hadd tak pahunch chuki hai? Kyun na kisi aise shakhs ki talash ki jaye jo Allah Paak ki bargah mein hum sab ki shafa'at ke liye jaye. Kuch logon ka mashwara ho ga ke dada Aadam Alaihis Salam is ke liye munasib hain. Chunanche log un ki khidmat mein hazir honge aur arz kareinge, Ae bawa Aadam! Aap insano ke dada hain. Allah Paak ne aap ko apne hath se paida kiya tha, apni rooh aap ke andar phoonki thi, malaika ko hukm diya era tha aur unhon ne aap ko sajda kiya tha aur jannat mein aap ko (paida karne ke baad) thehraya tha. Aap apne Rabb ke huzoor mein hamari shafa'at kar dein. Aap khud mulahiza farma sakte hain ke hum kis darja uljhan aur pareshani mein mubtala hain. Wo farmayeinge ke (gunah-garon par) Allah Ta'ala aaj is darja ghazabnak hai ke kabhi itna ghazabnak nahi hua tha aur na aainda kabhi ho ga aur mujhe pehle hi darakht (jannat) ke khane se mana kar chuka tha lekin mein is farman ko baja lane mein kotahi kar gaya. Aaj to mujhe apni hi padi hai (nafsi nafsi) tum log kisi aur ke paas jao. Haan, Nooh Alaihis Salam ke paas jao. Chunanche sab log Nooh Alaihis Salam ki khidmat mein hazir honge aur arz kareinge, Ae Nooh Alaihis Salam! Aap (Aadam Alaihis Salam ke baad) roye zameen par sab se pehle nabi hain aur Allah Ta'ala ne aap ko 'abdan shakooran' keh kar pukara hai. Aap mulahiza farma sakte hain ke aaj hum kaisi musibat-o-pareshani mein mubtala hain? Aap apne Rabb ke huzoor mein hamari shafa'at kar dijiye. Wo bhi yahi jawab dein ge ke mera Rabb aaj is darja ghazabnak hai ke is se pehle kabhi aisa ghazabnak nahi hua tha aur na kabhi is ke baad itna ghazabnak ho ga. Aaj to mujhe khud apni hi fikr hai. (nafsi nafsi) tum Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki khidmat mein jao chunanche wo log mere paas aayeinge. Mein (un ki shafa'at ke liye) arsh ke neeche sajde mein gir padoon ga. Phir awaz aaye gi, Ae Muhammad! Sarr uthao aur shafa'at karo, tumhari shafa'at qabool ki jaye gi. Maango tumhein diya jaye ga. Muhammad Bin Ubaidullah ne bayan kiya ke saari hadees mein yaad na rakh saka
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3341
حدثنا نصر بن علي بن نصر، اخبرنا ابو احمد، عن سفيان، عن ابي إسحاق، عن الاسود بن يزيد، عن عبد الله رضي الله عنه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم:" قرا فهل من مدكر سورة القمر آية 15 مثل قراءة العامة".
Hum se Nasr Bin Ali Bin Nasr ne bayan kiya, unhon ne kaha hum ko Abu Ahmad ne khabar di, unhein Sufyan ne unhein Abu Ishaq ne unhein Aswad Bin Yazid ne aur unhein Abdullah Bin Masood (Radi Allahu Anhu) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne (ayat) "fahal min muddakirin" mashhoor qirat ke mutabiq (idgham ke sath) tilawat farmayi thi
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة