الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ إِذَا اخْتَلَفُوا فِي الطَّرِيقِ الْمِيتَاءِ- وَهْيَ الرَّحْبَةُ تَكُونُ بَيْنَ الطَّرِيقِ- ثُمَّ يُرِيدُ أَهْلُهَا الْبُنْيَانَ، فَتُرِكَ مِنْهَا الطَّرِيقُ سَبْعَةَ أَذْرُعٍ:
Bab: Agar aam rasta mein ikhtilaf ho aur wahan rehne wale kuch imarat banana chahen to saat haath zameen rasta ke liye chhor den.
Show diacritics
Hadith Number: 2473
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا جرير بن حازم، عن الزبير بن خريت، عن عكرمة، سمعت ابا هريرة رضي الله عنه، قال:"قضى النبي صلى الله عليه وسلم إذا تشاجروا في الطريق بسبعة اذرع".
Hum se Musa Bin Ismail ne bayan kiya, kaha hum se Jarir Bin Hazim ne bayan kiya, un se Zubair Bin Khirrit ne aur un se Ikrimah ne ke mein ne Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) se suna, unhon ne bayan kiya ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne faisla kiya tha jab ke raste (ki zameen) ke bare mein jhagra ho to saat hath rasta chor dena chahiye
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ النُّهْبَى بِغَيْرِ إِذْنِ صَاحِبِهِ:
Bab: Malik ki ijazat ke baghair is ka koi maal utha lena.
Show diacritics
Hadith Number: Q2474
وقال عبادة: بايعنا النبي صلى الله عليه وسلم ان لا ننتهب.
Aur Ubadah (Radi Allahu Anhu) ne kaha, hum ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se is baat ki baiat ki thi ke hum loot maar nahi kiya karein ge
.


Show diacritics
Hadith Number: 2474
حدثنا آدم بن ابي إياس، حدثنا شعبة، حدثنا عدي بن ثابت، سمعت عبد الله بن يزيد الانصاري وهو جده ابو امه، قال:" نهى النبي صلى الله عليه وسلم عن النهبى والمثلة".
Hum se Adam Bin Abi Iyas ne bayan kiya, kaha hum se Shuba ne bayan kiya, kaha hum se Adi Bin Sabit ne bayan kiya, kaha ke mein ne Abdullah Bin Yazid Ansari (Radi Allahu Anhu) se suna, jo Adi Bin Sabit ke nana thay. Ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne loot maar karne aur musla karne se mana farmaya tha
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2475
حدثنا سعيد بن عفير، قال: حدثني الليث، حدثنا عقيل، عن ابن شهاب، عن ابي بكر بن عبد الرحمن، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" لا يزني الزاني حين يزني وهو مؤمن، ولا يشرب الخمر حين يشرب وهو مؤمن، ولا يسرق حين يسرق وهو مؤمن، ولا ينتهب نهبة يرفع الناس إليه فيها ابصارهم حين ينتهبها وهو مؤمن". وعن سعيد، وابي سلمة، عن ابي هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم مثله إلا النهبة.
Hum se Saeed Bin Afir ne bayan kiya, unhon ne kaha ke mujh se Lais ne bayan, un se Aqeel ne bayan kiya, un se Ibn Shihab ne, un se Abu Bakr Bin Abdur Rahman ne, un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne kaha ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, zani momin rehte hue zina nahi kar sakta. Sharab khwar momin rehte hue sharab nahi pee sakta. Chor momin rehte hue chori nahi kar sakta. Aur koi shaks momin rehte hue loot aur gharat gari nahi kar sakta ke logon ki nazrein is ki taraf uthi hui hon aur wo loot raha ho, Saeed aur Abu Salama ki bhi Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) se bahawala Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) isi tarah Riwayat hai. Albatta un ki Riwayat mein loot ka tazkira nahi hai
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ كَسْرِ الصَّلِيبِ وَقَتْلِ الْخِنْزِيرِ:
Bab: Saleeb ka torna aur khanzeer ka maarna.
Show diacritics
Hadith Number: 2476
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا سفيان، حدثنا الزهري، قال: اخبرني سعيد بن المسيب، سمع ابا هريرة رضي الله عنه، عن رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" لا تقوم الساعة حتى ينزل فيكم ابن مريم حكما مقسطا، فيكسر الصليب، ويقتل الخنزير، ويضع الجزية، ويفيض المال حتى لا يقبله احد".
Hum se Ali Bin Abdullah Madini ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan Bin Uyaina ne bayan kiya, kaha hum se Zuhri ne bayan kiya, kaha ke mujhe Saeed Bin Musayyib ne khabar di, unhon ne Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) se suna ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, Qiyamat is waqt tak qaim na ho gi jab tak Ibn Maryam ka nazool ek adil hukmran ki haisiyat se tum mein na ho jaye. Wo saleeb ko tor dein ge, suaron ko qatal kar dein ge aur jizya qabool nahi karein ge. (Is daur mein) mal-o-daulat ki itni kasrat ho jaye gi ke koi qabool nahi kare ge
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ هَلْ تُكْسَرُ الدِّنَانُ الَّتِي فِيهَا الْخَمْرُ أَوْ تُخَرَّقُ الزِّقَاقُ:
Bab: Kya koi aisa matka tora ja sakta hai ya aisi mashk phari ja sakti hai jis mein sharab maujood ho?
Show diacritics
Hadith Number: Q2477
فإن كسر صنما او صليبا او طنبورا او ما لا ينتفع بخشبه، واتي شريح في طنبور كسر فلم يقض فيه بشيء.
Agar kisi shaks ne but, saleeb ya sittar ya koi bhi is tarah ki cheez jis ki lakri se koi faida hasil na ho tor di? Qazi Shureih (Rahimahullah) ki adalat mein ek sittar ka muqadma laya gaya, jise tor diya tha, to unhon ne is ka badla nahi dilwaya
.


Show diacritics
Hadith Number: 2477
حدثنا ابو عاصم الضحاك بن مخلد، عن يزيد بن ابي عبيد، عن سلمة بن الاكوع رضي الله عنه،" ان النبي صلى الله عليه وسلم راى نيرانا توقد يوم خيبر، قال: على ما توقد هذه النيران؟ قالوا: على الحمر الإنسية، قال: اكسروها، واهرقوها، قالوا: الا نهريقها ونغسلها؟ قال: اغسلوا". قال ابو عبد الله: كان ابن ابي اويس، يقول: الحمر الانسية بنصب الالف والنون.
Hum se Abu Asim Dahhak Bin Makhlad ne bayan kiya, kaha hum se Yazid Bin Abi Ubaid ne aur un se Salama Bin Akwa (Radi Allahu Anhu) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Ghazwa-e-Khaibar ke moqa par dekha ke aag jalayi ja rahi hai, Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne poocha ye aag kis liye jalayi ja rahi hai? Sahaba (Radi Allahu Anhum) ne arz kiya ke gadhe (ka gosht pakane) ke liye. Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke wo bartan (jis mein gadhe ka gosht ho) tor do aur gosht phenk do. Is par Sahaba bole aisa kyun na kar lein ke gosht to phenk dein aur bartan dho lein. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke bartan dho lo. Abu Abdullah (Imam Bukhari Rahimahullah) kehte hain Ibn Abi Uwais "Al-Humur al-Insiya" ko alif aur noon ko nasab ke sath kaha karte thay
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2478
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا سفيان، حدثنا ابن ابي نجيح، عن مجاهد، عن ابي معمر، عن عبد الله بن مسعود رضي الله عنه، قال:" دخل النبي صلى الله عليه وسلم مكة وحول الكعبة ثلاث مائة وستون نصبا، فجعل يطعنها بعود في يده، وجعل يقول: جاء الحق وزهق الباطل سورة الإسراء آية 81" الآية.
Hum se Ali Bin Abdullah ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Sufyan ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Ibn Abi Najih ne bayan kiya, un se Mujahid ne bayan kiya, un se Abu Maamar ne bayan kiya, aur un se Abdullah Bin Masood (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) (Fatah Makkah din jab) Makkah mein dakhil hue to Khana Kaabah ke charon taraf teen so sath but thay. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke hath mein ek chari thi jis se Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) in buton par marne lage aur farmane lage ke "Jaa-al-Haqqu wa zahaqal-batilu" "Haq aa gaya aur baatil mit gaya"
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2479
حدثنا إبراهيم بن المنذر، حدثنا انس بن عياض، عن عبيد الله بن عمر، عن عبد الرحمن بن القاسم، عن ابيه القاسم، عن عائشة رضي الله عنها،" انها كانت اتخذت على سهوة لها سترا فيه تماثيل، فهتكه النبي صلى الله عليه وسلم، فاتخذت منه نمرقتين، فكانتا في البيت يجلس عليهما".
Hum se Ibrahim Bin Al-Munzir ne bayan kiya, kaha hum se Anas Bin Iyaz ne bayan kiya, un se Ubaidullah Umri ne, un se Abdur Rahman Bin Qasim ne, un se un ke walid Qasim ne aur un se Aisha (Radi Allahu Anha) ne ke unhon ne apne hujre ke saiban par ek parda latka diya jis mein tasveerein bani hui theen. Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne (jab dekha to) use utar kar phaara dala. (Aisha Radi Allahu Anha ne bayan kiya ke) phir mein ne is parde se do gadde bana dale. Wo donon gadde ghar mein rehte thay aur Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) un par baitha karte thay
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَنْ قَاتَلَ دُونَ مَالِهِ:
Bab: Jo shakhs apna maal bachane ke liye lare.
Show diacritics
Hadith Number: 2480
حدثنا عبد الله بن يزيد، حدثنا سعيد هو ابن ابي ايوب، قال: حدثني ابو الاسود، عن عكرمة، عن عبد الله بن عمرو رضي الله عنهما، قال: سمعت النبي صلى الله عليه وسلم، يقول:" من قتل دون ماله فهو شهيد".
Hum se Abdullah Bin Yazid ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Saeed Bin Abi Ayub ne bayan kiya, unhon ne kaha ke mujh se Abu Al-Aswad ne bayan kiya, un se Ikrimah ne aur un se Abdullah Bin Amr (Radi Allahu Anhuma) ne bayan kiya ke mein ne Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) se suna, Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke jo shaks apne mal ki hifazat karte hue qatal kar diya gaya wo shaheed hai
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة