الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
فِي الْمَظَالِمِ والغصب
Bab: Logon par zulm karne aur maal ghasab karne ke bayan mein.
Hadith Number: Q2440
، وقال مجاهد: مهطعين سورة إبراهيم آية 43 مديمي النظر، ويقال مسرعين لا يرتد إليهم طرفهم وافئدتهم هواء سورة إبراهيم آية 43 يعني جوفا لا عقول لهم، وانذر الناس يوم ياتيهم العذاب فيقول الذين ظلموا ربنا اخرنا إلى اجل قريب نجب دعوتك ونتبع الرسل اولم تكونوا اقسمتم من قبل ما لكم من زوال {44} وسكنتم في مساكن الذين ظلموا انفسهم وتبين لكم كيف فعلنا بهم وضربنا لكم الامثال {45} وقد مكروا مكرهم وعند الله مكرهم وإن كان مكرهم لتزول منه الجبال {46} فلا تحسبن الله مخلف وعده رسله إن الله عزيز ذو انتقام {47} سورة إبراهيم آية 44-47، وقول الله تعالى: ولا تحسبن الله غافلا عما يعمل الظالمون إنما يؤخرهم ليوم تشخص فيه الابصار {42} مهطعين مقنعي رءوسهم سورة إبراهيم آية 41-42 رافعي المقنع، والمقمح واحد.
Aur Allah Ta'ala ne Surah Ibrahim mein farmaya ”aur zalimon ke kaamon se Allah Ta'ala ko ghafil na samajhna. Aur Allah Ta'ala to unhein sirf ek aise din ke liye muhlat day raha hai jis mein aankhein patthra jayeingi. Aur wo sar oopar ko uthaye bhage ja rahe honge. «مقنع» aur «مقمح» donon ke maane ek hi hain. Mujahid ne farmaya ke «مهطعين» ke maane barabar nazar dalne wale hain aur ye bhi kaha gaya hai ke «مهطعين» ke maani jaldi bhagne wala, in ki nigah khud in ki taraf na laute gi. Aur dilon ke chhakke chhoot jayeinge ke aql bilkul nahi rahegi aur Allah Ta'ala ka farman ke ay Muhammad! logon ko is din se darao jis din un par azab aa utre ga, jo log zulm kar chuke hain. Wo kaheinge ke ay humare Parwardigar! (azab ko) kuch dinon ke liye hum se aur muakhkhar kar day, to ab ki baar hum tera hukum sun leinge aur tere Ambiya ki tabeidari kareinge. Jawab milega kya tum ne pehle ye qasam nahi khayi thi ke tum par kabhi zawal nahi aaye ga ? Aur tum in qaumon ki bastiyon mein reh chuke ho jinhon ne apni janon par zulm kiya tha aur tum par ye bhi zahir ho chuka tha ke hum ne in ke sath kya muamla kiya. Hum ne tumhare liye misalein bhi bayan kar di hain. Unhon ne bure makar ikhtiyar kiye aur Allah ke yahan in ke ye badtareen makar likh liye gaye. Agarchay in ke makar aise thay ke in se pahar bhi hil jate (magar wo sab bekar sabit hue) pas Allah ke mutalliq hargiz ye khayal na karna ke wo apne Ambiya se kiye hue waadon ke khilaf karega. Bilashuba Allah ghalib aur badla lene wala hai
.
.
بَابُ قِصَاصِ الْمَظَالِمِ:
Bab: Zulmon ka badla kis kis taur par liya jaye ga.
Hadith Number: 2440
حدثنا إسحاق بن إبراهيم، اخبرنا معاذ بن هشام، حدثني ابي، عن قتادة، عن ابي المتوكل الناجي، عن ابي سعيد الخدري رضي الله عنه، عن رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" إذا خلص المؤمنون من النار، حبسوا بقنطرة بين الجنة والنار، فيتقاصون مظالم كانت بينهم في الدنيا، حتى إذا نقوا وهذبوا اذن لهم بدخول الجنة، فوالذي نفس محمد بيده لاحدهم بمسكنه في الجنة ادل بمنزله كان في الدنيا". وقال يونس بن محمد: حدثنا شيبان، عن قتادة، حدثنا ابو المتوكل.
Hum se Ishaq Bin Ibrahim ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum ko Muaz Bin Hisham ne khabar di, unhon ne kaha ke hum se in ke baap ne bayan kiya, un se Qatadah ne, un se Abul Mutawakkil Naaji ne aur un se Abu Saeed Khudri (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, jab mominon ko dozakh se najat mil jaye gi to unhein ek pul par jo Jannat aur dozakh ke darmiyan ho ga rok liya jaye ga aur wahin in ke mazalim ka badla day diya jaye ga. Jo wo duniya mein baham karte thay. Phir jab paak saaf ho jayeinge to unhein Jannat mein dakhla ki ijazat di jaye gi. Is zaat ki qasam! jis ke hath mein Muhammad ki jaan hai, in mein se har shakhs apne Jannat ke ghar ko apne duniya ke ghar se bhi behtar taur par pehchane ga. Yunus Bin Muhammad ne bayan kiya ke hum se Shaiban ne bayan kiya, un se Qatadah ne aur un se Abul Mutawakkil ne bayan kiya
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِ اللَّهِ تَعَالَى: {أَلاَ لَعْنَةُ اللَّهِ عَلَى الظَّالِمِينَ}:
Bab: Allah Taala ka Surah Hud mein ye farmana ke“sun lo! Zalimon par Allah ki phitkar hai“.
Hadith Number: 2441
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا همام، قال: اخبرني قتادة، عن صفوان بن محرز المازني، قال:" بينما انا امشي مع ابن عمر رضي الله عنهما، آخذ بيده إذ عرض رجل، فقال: كيف سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم يقول في النجوى، فقال: سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم، يقول:" إن الله يدني المؤمن، فيضع عليه كنفه ويستره، فيقول: اتعرف ذنب كذا، اتعرف ذنب كذا، فيقول: نعم، اي رب حتى إذا قرره بذنوبه، وراى في نفسه انه هلك، قال: سترتها عليك في الدنيا، وانا اغفرها لك اليوم، فيعطى كتاب حسناته، واما الكافر والمنافقون، فيقول: الاشهاد هؤلاء الذين كذبوا على ربهم، الا لعنة الله على الظالمين".
Hum se Musa Bin Ismail ne bayan kiya, kaha ke hum se Hammam ne bayan kiya, kaha ke mujhe Qatadah ne khabar di, un se Safwan Bin Muhriz Mazini ne bayan kiya ke mein Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) ke hath mein hath diye ja raha tha. Ke ek shakhs samne aya aur poocha Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) se aap ne (Qiyamat mein Allah aur bande ke darmiyan hone wali) sargoshi ke baare mein kya suna hai ? Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) ne kaha ke mein ne Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) se suna. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) farmate thay ke Allah Ta'ala momin ko apne nazdeek bula lay ga aur us par apna parda daal day ga aur ise chhupa lay ga. Allah Ta'ala us se farmaye ga kya tujh ko falan gunah yaad hai ? Kya falan gunah tujh ko yaad hai ? Wo momin kahe ga han, ay mere Parwardigar. Aakhir jab wo apne gunahon ka iqrar kar lay ga aur ise yaqeen aa jaye ga ke ab wo halak hua to Allah Ta'ala farmaye ga ke mein ne duniya mein tere gunahon par parda dala. Aur aaj bhi mein teri maghfirat karta hoon, chunanche ise is ki naikiyon ki kitab day di jaye gi, lekin kafir aur munafiq ke mutalliq in par gawah (malaika, Ambiya, aur tamam jin-o-ins sab) kaheinge ke yahi wo log hain jinhon ne apne Parwardigar par jhoot bandha tha. Khabardar ho jao! zalimon par Allah ki phatkaar ho gi
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ لاَ يَظْلِمُ الْمُسْلِمُ الْمُسْلِمَ وَلاَ يُسْلِمُهُ:
Bab: Koi muslim kisi muslim par zulm na kare aur na kisi zalim ko is par zulm karne de.
Hadith Number: 2442
حدثنا يحيى بن بكير، حدثنا الليث، عن عقيل، عن ابن شهاب، ان سالما اخبره، ان عبد الله بن عمر رضي الله عنهما اخبره، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" المسلم اخو المسلم لا يظلمه ولا يسلمه، ومن كان في حاجة اخيه كان الله في حاجته، ومن فرج عن مسلم كربة فرج الله عنه كربة من كربات يوم القيامة، ومن ستر مسلما ستره الله يوم القيامة".
Hum se Yahya Bin Bukair ne bayan kiya, kaha ke hum se Laith ne bayan kiya, un se Aqeel ne, un se Ibn Shihab ne, unhein Salim ne khabar di, aur unhein Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) ne farmaya ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ek Musalman doosre Musalman ka bhai hai, pas us par zulm na kare aur na zulm hone day. Jo shakhs apne bhai ki zaroorat poori kare, Allah Ta'ala is ki zaroorat poori karega. Jo shakhs kisi Musalman ki ek musibat ko door kare, Allah Ta'ala is ki Qiyamat ki musibaton mein se ek badi musibat ko door farmaye ga. Aur jo shakhs kisi Musalman ke aib ko chhupaye Allah Ta'ala Qiyamat mein is ke aib chhupaye ga
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ أَعِنْ أَخَاكَ ظَالِمًا أَوْ مَظْلُومًا:
Bab: Har haal mein muslim bhai ki madad karna chahe woh zalim ho ya mazloom.
Hadith Number: 2443
حدثنا عثمان بن ابي شيبة، حدثنا هشيم، اخبرنا عبيد الله بن ابي بكر بن انس، وحميد الطويل، سمع انس بن مالك رضي الله عنه، يقول: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" انصر اخاك ظالما او مظلوما".
Hum se Usman Bin Abi Shaibah ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum se Hushaime ne bayan kiya, unhein Ubaidullah Bin Abi Bakr Bin Anas aur Humaid Taweel ne khabar di, unhon ne Anas Bin Malik (Radi Allahu Anhu) se suna ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, apne bhai ki madad karo wo zalim ho ya mazloom
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2444
حدثنا مسدد، حدثنا معتمر، عن حميد، عن انس رضي الله عنه، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" انصر اخاك ظالما او مظلوما، قالوا: يا رسول الله، هذا ننصره مظلوما، فكيف ننصره ظالما؟ قال: تاخذ فوق يديه".
Hum se Musaddad ne bayan kiya, kaha hum se Mutamir ne bayan kiya, un se Humaid ne aur un se Anas (Radi Allahu Anhu) ne ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, apne bhai ki madad karo khwah wo zalim ho ya mazloom. Sahaba ne arz kiya, Ya Rasul Allah! hum mazloom ki to madad kar sakte hain. Lekin zalim ki madad kis tarah karein ? Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke zulm se is ka hath pakar lo (yahi is ki madad hai)
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ نَصْرِ الْمَظْلُومِ:
Bab: Mazloom ki madad karna wajib hai.
Hadith Number: 2445
حدثنا سعيد بن الربيع، حدثنا شعبة، عن الاشعث بن سليم، قال: سمعت معاوية بن سويد، سمعت البراء بن عازب رضي الله عنهما، قال:" امرنا النبي صلى الله عليه وسلم بسبع، ونهانا عن سبع، فذكر: عيادة المريض، واتباع الجنائز، وتشميت العاطس، ورد السلام، ونصر المظلوم، وإجابة الداعي، وإبرار المقسم".
Hum se Saeed Bin Rabi ne bayan kiya, kaha ke hum se Shuba ne bayan kiya, kaha ke hum se Ashath Bin Saleem ne bayan kiya, ke mein ne Muawiyah Bin Suwaid se suna, unhon ne Bara Bin Azib (Radi Allahu Anhu) se suna, aap ne bayan kiya tha ke humein Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne saat cheezon ka hukum farmaya tha aur saat hi cheezon se mana bhi farmaya tha (jin cheezon ka hukum farmaya tha in mein) unhon ne mareez ki iyadat, janaze ke peeche chalne, chhinkne wale ka jawab dene, salam ka jawab dene, mazloom ki madad karne, dawat karne wale (ki dawat) qabool karne, aur qasam poori karne ka zikar kiya
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2446
حدثنا محمد بن العلاء، حدثنا ابو اسامة، عن بريد، عن ابي بردة، عن ابي موسى رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" المؤمن للمؤمن كالبنيان يشد بعضه بعضا، وشبك بين اصابعه".
Hum se Muhammad Bin Alaa ne bayan kiya, kaha ke hum se Abu Usama ne bayan kiya, un se Buraid ne, un se Abu Burdah ne aur un se Abu Musa (Radi Allahu Anhu) ne, unhon ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se ke Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke ek momin doosre momin ke sath ek imarat ke hukum mein hai ke ek ko doosre se quwat pahunchti hai. Aur Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne apne ek hath ki ungliyon ko doosre hath ki ungliyon ke andar kiya
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الاِنْتِصَارِ مِنَ الظَّالِمِ:
Bab: Zalim se badla lena.
Hadith Number: Q2447-2
لقوله جل ذكره: لا يحب الله الجهر بالسوء من القول إلا من ظلم وكان الله سميعا عليما سورة النساء آية 148 والذين إذا اصابهم البغي هم ينتصرون سورة الشورى آية 39، قال إبراهيم: كانوا يكرهون ان يستذلوا، فإذا قدروا عفوا.
Aur Allah Ta'ala ne farmaya ke «لا يحب الله الجهر بالسوء من القول إلا من ظلم وكان الله سميعا عليما» ”Allah Ta'ala buri baat ke elan ko pasand nahi karta. Siwa is ke jis par zulm kiya gaya ho, aur Allah Ta'ala sunne wala aur janne wala hai.“ (Aur Allah Ta'ala ka farman ke) «والذين إذا أصابهم البغى هم ينتصرون» ”Aur wo log ke jin par zulm hota hai to wo is ka badla lay lete hain.“ Ibrahim ne kaha ke salaf zaleel hona pasand nahi karte thay, lekin jab unhein (zalim par) qabu hasil ho jata to ise maaf kar diya karte thay
.
.
بَابُ عَفْوِ الْمَظْلُومِ:
Bab: Zalim ko maaf kar dena.
Hadith Number: Q2447
، لقوله تعالى: إن تبدوا خيرا او تخفوه او تعفوا عن سوء فإن الله كان عفوا قديرا سورة النساء آية 149 وجزاء سيئة سيئة مثلها فمن عفا واصلح فاجره على الله إنه لا يحب الظالمين {40} ولمن انتصر بعد ظلمه فاولئك ما عليهم من سبيل {41} إنما السبيل على الذين يظلمون الناس ويبغون في الارض بغير الحق اولئك لهم عذاب اليم {42} ولمن صبر وغفر إن ذلك لمن عزم الامور {43} ومن يضلل الله فما له من ولي من بعده وترى الظالمين لما راوا العذاب يقولون هل إلى مرد من سبيل {44} سورة الشورى آية 40-44.
Aur Allah Ta'ala ne farmaya ke «إن تبدوا خيرا أو تخفوه أو تعفوا عن سوء فإن الله كان عفوا قديرا» ”Agar tum khullam khulla taur par koi naiki karo ya poshida taur par ya kisi ke bure muamla par maafi se kaam lo, to Allah Ta'ala bahut ziyada maaf karne wala aur bahut badi quwat wala hai.“ (Surah Shura mein farmaya) «وجزاء سيئة سيئة مثلها فمن عفا وأصلح فأجره على الله إنه لا يحب الظالمين * ولمن انتصر بعد ظلمه فأولئك ما عليهم من سبيل * إنما السبيل على الذين يظلمون الناس ويبغون في الأرض بغیر الحق أولئك لهم عذاب أليم * ولمن صبر وغفر إن ذلك لمن عزم الأمور، وترى الظالمين لما رأوا العذاب يقولون هل إلى مرد من سبيل» ”Aur burayi ka badla isi jaisi burayi se bhi ho sakta hai, lekin jo maaf kar day aur durustagi muamla ko baqi rakkhe to is ka ajr Allah Ta'ala hi par hai. Beshak Allah Ta'ala zulm karne walon ko pasand nahi karta. Aur jis ne apne par zulm kiye jane ke baad is ka (jayez) badla liya to in par koi gunah nahi hai. Gunah to in par hai jo logon par zulm karte hain aur zameen par nahak fasad karte hain, yahi hain wo log jin ko dard naak azab ho ga. Lekin jis shakhs ne (zulm par) sabr kiya aur (zalim ko) maaf kiya to ye nihayat hi bahaduri ka kaam hai. Aur ay Paighambar! tu zalimon ko dekhega jab wo azab dekh leinge to kaheinge ab koi duniya mein laut jane ki bhi surat hai ?“
.
.