الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ قَوْلِ اللَّهِ تَعَالَى: {وَهُوَ أَلَدُّ الْخِصَامِ}:
Bab: Allah Taala ka (Surah Al-Baqarah mein) ye farmana“aur woh bara sakht jhagraalu hai“.
Hadith Number: 2457
حدثنا ابو عاصم، عن ابن جريج، عن ابن ابي مليكة، عن عائشة رضي الله عنها، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" إن ابغض الرجال إلى الله الالد الخصم".
Hum se Abu Asim ne bayan kiya, un se Ibn Jurayj ne, un se Ibn Abi Mulaikah ne aur un se Aisha (Radi Allahu Anha) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, Allah Ta'ala ke yahan sab se ziyada napasand wo aadmi hai jo sakht jhagralu ho
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ إِثْمِ مَنْ خَاصَمَ فِي بَاطِلٍ وَهْوَ يَعْلَمُهُ:
Bab: Is shakhs ka gunah jo jaan boojh kar jhoot ke liye jhagra kare.
Hadith Number: 2458
حدثنا عبد العزيز بن عبد الله، قال: حدثني إبراهيم بن سعد، عن صالح، عن ابن شهاب، قال: اخبرني عروة بن الزبير، ان زينب بنت ام سلمة اخبرته، ان امها ام سلمة رضي الله عنها زوج النبي صلى الله عليه وسلم اخبرتها، عن رسول الله صلى الله عليه وسلم، انه سمع خصومة بباب حجرته فخرج إليهم، فقال:" إنما انا بشر، وإنه ياتيني الخصم، فلعل بعضكم ان يكون ابلغ من بعض، فاحسب انه صدق، فاقضي له بذلك، فمن قضيت له بحق مسلم، فإنما هي قطعة من النار فلياخذها او فليتركها".
Hum se Abdul Aziz Bin Abdullah ne bayan kiya, kaha ke mujh se Ibrahim Bin Saad ne bayan kiya, un se Salih Bin Kaisan ne aur un se Ibn Shihab ne ke mujhe Urwah Bin Zubair (Radi Allahu Anhu) ne khabar di, unhein Zainab Bint Umm-e-Salama (Radi Allahu Anhuma) ne khabar di aur unhein Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki zauja mutahira Umm-e-Salama (Radi Allahu Anha) ne ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne apne hujre ke darwaze ke samne jhagrey ki aawaz suni aur jhagrah karne walon ke paas tashreef laye. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne in se farmaya ke mein bhi ek insan hoon. Is liye jab mere yahan koi jhagrah lay kar aata hai to ho sakta hai ke (fareeqain mein se) ek fareeq ki behas doosre fareeq se umdah ho, mein samajhta hoon ke wo saccha hai. Aur is tarah mein is ke haq mein faisla kar deta hoon, lekin agar mein is ko (is ke ظahiri bayan par bharosa kar ke) kisi Musalman ka haq dila doon to dozakh ka ek tukra is ko dila raha hoon, wo lay lay ya chhor day
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ إِذَا خَاصَمَ فَجَرَ:
Bab: Is shakhs ka bayan ke jab is ne jhagra kiya to bad-zabani par utar aya.
Hadith Number: 2459
حدثنا بشر بن خالد، اخبرنا محمد بن جعفر، عن شعبة، عن سليمان، عن عبد الله بن مرة، عن مسروق، عن عبد الله بن عمرو رضي الله عنهما، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" اربع من كن فيه كان منافقا او كانت فيه خصلة من اربعة كانت فيه خصلة من النفاق حتى يدعها: إذا حدث كذب، وإذا وعد اخلف، وإذا عاهد غدر، وإذا خاصم فجر".
Hum se Bishr Bin Khalid ne bayan kiya kaha hum ko Muhammad ne khabar di Shuba se, unhein Sulaiman ne, unhein Abdullah Bin Murrah ne, unhein Masruq ne aur unhein Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya chaar khaslatein aisi hain ke jis shakhs mein bhi wo honge, wo munafiq ho ga. Ya in chaar mein se agar ek khaslat bhi is mein hai to is mein nifaq ki ek khaslat hai. Yahan tak ke wo ise chhor day. Jab bole to jhoot bole, jab waada kare to poora na kare, jab muahida kare to bay-wafayi kare, aur jab jhagrey to bad-zabani par utar aaye
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قِصَاصِ الْمَظْلُومِ إِذَا وَجَدَ مَالَ ظَالِمِهِ:
Bab: Mazloom ko agar zalim ka maal mil jaye to woh apne maal ke mutabiq is mein se le sakta hai.
Hadith Number: Q2460
وقال ابن سيرين: يقاصه، وقرا وإن عاقبتم فعاقبوا بمثل ما عوقبتم به سورة النحل آية 126.
Aur Muhammad Bin Sirin (Rahimahullah) ne kaha apna haq barabar lay sakta hai. Phir unhon ne (Surah An-Nahl ki) ye ayat parhi, «وإن عاقبتم فعاقبوا بمثل ما عوقبتم به» ”Agar tum badla lo to itna hi jitna tumhe sataya gaya ho.“
.
.
Hadith Number: 2460
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، عن الزهري، حدثني عروة، ان عائشة رضي الله عنها، قالت: جاءت هند بنت عتبة بن ربيعة، فقالت" يا رسول الله، إن ابا سفيان رجل مسيك، فهل علي حرج ان اطعم من الذي له عيالنا؟ فقال: لا حرج عليك ان تطعميهم بالمعروف".
Hum se Abul Yaman ne bayan kiya, kaha hum ko Shuayb ne khabar di, unhein Zuhri ne, un se Urwah ne bayan kiya, aur un se Aisha (Radi Allahu Anha) ne ke Utbah Bin Rabia ki beti Hind (Radi Allahu Anha) hazir khidmat huiein aur arz kiya, Ya Rasul Allah! Abu Sufyan (jo in ke shohar hain wo) bakheel hain. To kya is mein koi haraj hai agar mein un ke maal mein se lay kar apne baal bacchon ko khilaya karoon ? Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke tum dastoor ke mutabiq un ke maal se lay kar khilao to is mein koi haraj nahi
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2461
حدثنا عبد الله بن يوسف، حدثنا الليث، قال: حدثني يزيد، عن ابي الخير، عن عقبة بن عامر، قال: قلنا للنبي صلى الله عليه وسلم: إنك تبعثنا فننزل بقوم لا يقرونا، فما ترى فيه؟ فقال: لنا إن نزلتم بقوم فامر لكم بما ينبغي للضيف فاقبلوا، فإن لم يفعلوا فخذوا منهم حق الضيف".
Hum se Abdullah Bin Yusuf ne bayan kiya, kaha hum se Laith ne bayan kiya, kaha ke mujh se Yazid ne bayan kiya, un se Abul Khair ne aur un se Uqbah Bin Aamir (Radi Allahu Anhu) ne ke hum ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se arz kiya Aap humein mukhtalif mulk walon ke paas bhejte hain aur (baaz dafa) humein aise logon ke paas jana parta hai ke wo humari ziyafat tak nahi karte. Aap ki aise mauqon par kya hidayat hai ? Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne hum se farmaya, agar tumhara qayam kisi qabeela mein ho aur tum se aisa bartao kiya jaye jo kisi mehman ke liye munasib hai to tum ise qabool kar lo, lekin agar wo na karein to tum khud mehmani ka haq un se wasool kar lo
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَا جَاءَ فِي السَّقَائِفِ:
Bab: Chaupalon ke bare mein.
Hadith Number: Q2462
وجلس النبي صلى الله عليه وسلم واصحابه في سقيفة بني ساعدة.
Aur Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) apne Sahaba ke sath Banu Saida ke chopalon mein baithe thay
.
.
Hadith Number: 2462
حدثنا يحيى بن سليمان، قال: حدثني ابن وهب، قال: حدثني مالك، واخبرني يونس، عن ابن شهاب، اخبرني عبيد الله بن عبد الله بن عتبة، ان ابن عباس اخبره، عن عمر رضي الله عنهم، قال:" حين توفى الله نبيه صلى الله عليه وسلم إن الانصار اجتمعوا في سقيفة بني ساعدة، فقلت لابي بكر: انطلق بنا، فجئناهم في سقيفة بني ساعدة".
Hum se Yahya Bin Sulaiman ne bayan kiya, unhon ne kaha ke mujh se Ibn Wahb ne bayan kiya, unhon ne kaha ke mujh se Imam Malik ne bayan kiya (doosri sanad) aur mujh ko Yunus ne khabar di ke Ibn Shihab ne kaha, mujh ko khabar di Ubaidullah Bin Abdullah Bin Utbah ne, unhein Abdullah Bin Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne khabar di ke Umar (Radi Allahu Anhu) ne kaha, jab apne Nabi (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko Allah Ta'ala ne wafat day di to Ansar Banu Saida ke «سقيفة» chopal mein jama hue. Mein ne Abu Bakr (Radi Allahu Anhu) se kaha ke Aap humein bhi wahin lay chaliye. Chunanche hum Ansar ke yahan Saqeefah Banu Saida mein pahunche
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ لاَ يَمْنَعُ جَارٌ جَارَهُ أَنْ يَغْرِزَ خَشَبَهُ فِي جِدَارِهِ:
Bab: Koi shakhs apne parosi ko apni deewar mein lakri gaarne se na roke.
Hadith Number: 2463
حدثنا عبد الله بن مسلمة، عن مالك، عن ابن شهاب، عن الاعرج، عن ابي هريرة رضي الله عنه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" لا يمنع جار جاره ان يغرز خشبه في جداره"، ثم يقول ابو هريرة: ما لي اراكم عنها معرضين، والله لارمين بها بين اكتافكم.
Hum se Abdullah Bin Maslamah ne bayan kiya, kaha hum se Imam Malik (Rahimahullah) ne, un se Ibn Shihab ne, un se Aaraj ne, aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, koi shakhs apne parosi ko apni deewar mein khounti gaarne se na roke. Phir Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) kaha karte thay, ye kya baat hai ke mein tumhe is se munh pherne wala pata hoon. Qasam Allah! is khounti ko tumhare kandhon ke darmiyan gaar donga
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ صَبِّ الْخَمْرِ فِي الطَّرِيقِ:
Bab: Raste mein sharab ka baha dena durust hai.
Hadith Number: 2464
حدثنا محمد بن عبد الرحيم ابو يحيى، اخبرنا عفان، حدثنا حماد بن زيد، حدثنا ثابت، عن انس رضي الله عنه،" كنت ساقي القوم في منزل ابي طلحة، وكان خمرهم يومئذ الفضيخ، فامر رسول الله صلى الله عليه وسلم مناديا ينادي، الا إن الخمر قد حرمت، قال: فقال لي ابو طلحة: اخرج فاهرقها، فخرجت فهرقتها فجرت في سكك المدينة، فقال بعض القوم: قد قتل قوم وهي في بطونهم، فانزل الله ليس على الذين آمنوا وعملوا الصالحات جناح فيما طعموا سورة المائدة آية 93 الآية".
Hum se Abuy Yahya Muhammad Bin Abdur Rahim ne bayan kiya, kaha hum ko Affan Bin Muslim ne khabar di, kaha hum se Hammad Bin Zaid ne bayan kiya, kaha hum se Sabit ne bayan kiya, aur un se Anas (Radi Allahu Anhu) ne ke mein Abu Talha (Radi Allahu Anhu) ke makan mein logon ko sharab pila raha tha. In dinon khajoor hi ki sharab piya karte thay. (Phir jonhi sharab ki hurmat par ayat-e-Qurani utri) to Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne ek munadi se nida karayi ke sharab haram ho gayi hai. Unhon ne kaha (ye sunte hi) Abu Talha (Radi Allahu Anhu) ne kaha ke bahar lay ja kar is sharab ko baha day. Chunanche mein ne bahar nikal kar sari sharab baha di. Sharab Madinah ki galiyon mein behne lagi, to baaz logon ne kaha, yun maloom hota hai ke bahut se log is halat mein qatal kar diye gaye hain ke sharab in ke pait mein maujood thi. Phir Allah Ta'ala ne ye ayat nazil farmayi «ليس على الذين آمنوا وعملوا الصالحات جناح فيما طعموا» ”Wo log jo iman laye aur amal-e-salih kiye, un par in cheezon ka koi gunah nahi hai. Jo pehle kha chuke hain (aakhir ayat tak)
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة