الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ مَا كَانَ مِنْ أَصْحَابِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يُوَاسِي بَعْضُهُمْ بَعْضًا فِي الزِّرَاعَةِ وَالثَّمَرَةِ:
Bab: Nabi Karim Sallallahu Alaihi Wasallam ke Sahaba Kiram kheti baari mein ek doosre ki madad kis tarah karte the.
Show diacritics
Hadith Number: 2345
حدثنا يحيى بن بكير، حدثنا الليث، عن عقيل، عن ابن شهاب، اخبرني سالم، ان عبد الله بن عمر رضي الله عنهما، قال:"كنت اعلم في عهد رسول الله صلى الله عليه وسلم ان الارض تكرى، ثم خشي عبد الله ان يكون النبي صلى الله عليه وسلم قد احدث في ذلك شيئا لم يكن يعلمه، فترك كراء الارض".
Hum se Yahya Bin Bukair ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum se Laith Bin Saad ne bayan kiya, un se Aqeel ne bayan kiya, un se Ibn Shihab ne, unhein Salim ne khabar di ke Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) ne bayan kiya ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke zamana mein mujhe maloom tha ke zameen ko batayi par diya jata tha. Phir unhein dar hua ke mumkin hai ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne is silsile mein koi nayi hidayat farmayi ho jis ka ilm unhein na hua ho. Chunanche unhon ne (ihtiyatan) zameen ko batayi par dena chhor diya
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ كِرَاءِ الأَرْضِ بِالذَّهَبِ وَالْفِضَّةِ:
Bab: Naqdi lagaan par sona chandi ke badle zameen dena.
Show diacritics
Hadith Number: Q2346
وقال ابن عباس: إن امثل ما انتم صانعون، ان تستاجروا الارض البيضاء من السنة إلى السنة.
Aur Abdullah Bin Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne farmaya ke behtar kaam jo tum karna chaho ye hai ke apni khali zameen ko ek saal se doosre saal tak kiraya par do
.


Show diacritics
Hadith Number: 2346
حدثنا عمرو بن خالد، حدثنا الليث، عن ربيعة بن ابي عبد الرحمن، عن حنظلة بن قيس، عن رافع بن خديج، قال: حدثني عماي،" انهم كانوا يكرون الارض على عهد النبي صلى الله عليه وسلم بما ينبت على الاربعاء او شيء يستثنيه صاحب الارض، فنهى النبي صلى الله عليه وسلم عن ذلك". فقلت لرافع: فكيف هي بالدينار والدرهم؟ فقال رافع: ليس بها باس بالدينار والدرهم، وقال الليث: وكان الذي نهي عن ذلك ما لو نظر فيه ذوو الفهم بالحلال والحرام، لم يجيزوه لما فيه من المخاطرة.
Hum se Amr Bin Khalid ne bayan kiya, kaha ke hum se Laith Bin Saad ne bayan kiya, un se Rabia Bin Abi Abdur Rahman ne bayan kiya, un se Hanzalah Bin Qais ne bayan kiya, un se Rafi Bin Khadij (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke mere chacha (Zuhair aur Muhair Radi Allahu Anhuma) ne bayan kiya ke wo log Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke zamane mein zameen ko batayi par nehar (ke qareeb ki paidawar) ki shart par diya karte. Ya koi bhi aisa khitta hota jise malik-e-zameen (apne liye) chhaant leta. Is liye Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne is se mana farma diya. Hanzalah ne kaha ke is par mein ne Rafi Bin Khadij (Radi Allahu Anhu) se poocha, agar dirham-o-dinar ke badle ye muamla kiya jaye to kya hukum hai ? Unhon ne farmaya ke agar dinar-o-dirham ke badle mein ho to is mein koi haraj nahi. Aur Laith ne kaha ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne jis tarah ki batayi se mana farmaya tha, wo aisi surat hai ke halal-o-haram ki tameez rakhne wala koi bhi shakhs ise jayez nahi qarar day sakta. Kyunke is mein khula dhoka hai
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2347
حدثنا عمرو بن خالد، حدثنا الليث، عن ربيعة بن ابي عبد الرحمن، عن حنظلة بن قيس، عن رافع بن خديج، قال: حدثني عماي،" انهم كانوا يكرون الارض على عهد النبي صلى الله عليه وسلم بما ينبت على الاربعاء او شيء يستثنيه صاحب الارض، فنهى النبي صلى الله عليه وسلم عن ذلك". فقلت لرافع: فكيف هي بالدينار والدرهم؟ فقال رافع: ليس بها باس بالدينار والدرهم، وقال الليث: وكان الذي نهي عن ذلك ما لو نظر فيه ذوو الفهم بالحلال والحرام، لم يجيزوه لما فيه من المخاطرة.
Hum se Amr Bin Khalid ne bayan kiya, kaha ke hum se Laith Bin Saad ne bayan kiya, un se Rabia Bin Abi Abdur Rahman ne bayan kiya, un se Hanzalah Bin Qais ne bayan kiya, un se Rafi Bin Khadij (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke mere chacha (Zuhair aur Muhair Radi Allahu Anhuma) ne bayan kiya ke wo log Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke zamane mein zameen ko batayi par nehar (ke qareeb ki paidawar) ki shart par diya karte. Ya koi bhi aisa khitta hota jise malik-e-zameen (apne liye) chhaant leta. Is liye Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne is se mana farma diya. Hanzalah ne kaha ke is par mein ne Rafi Bin Khadij (Radi Allahu Anhu) se poocha, agar dirham-o-dinar ke badle ye muamla kiya jaye to kya hukum hai ? Unhon ne farmaya ke agar dinar-o-dirham ke badle mein ho to is mein koi haraj nahi. Aur Laith ne kaha ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne jis tarah ki batayi se mana farmaya tha, wo aisi surat hai ke halal-o-haram ki tameez rakhne wala koi bhi shakhs ise jayez nahi qarar day sakta. Kyunke is mein khula dhoka hai
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابٌ:
Bab: ...
Show diacritics
Hadith Number: 2348
حدثنا محمد بن سنان، حدثنا فليح، حدثنا هلال. ح وحدثنا عبد الله بن محمد، حدثنا ابو عامر، حدثنا فليح، عن هلال بن علي، عن عطاء بن يسار، عن ابي هريرة رضي الله عنه،" ان النبي صلى الله عليه وسلم كان يوما يحدث وعنده رجل من اهل البادية، ان رجلا من اهل الجنة استاذن ربه في الزرع، فقال له: الست فيما شئت؟ قال: بلى، ولكني احب ان ازرع، قال: فبذر، فبادر الطرف نباته واستواؤه واستحصاده، فكان امثال الجبال، فيقول: الله دونك يا ابن آدم، فإنه لا يشبعك شيء، فقال الاعرابي: والله لا تجده إلا قرشيا او انصاريا، فإنهم اصحاب زرع، واما نحن فلسنا باصحاب زرع، فضحك النبي صلى الله عليه وسلم".
Hum se Muhammad Bin Sinan ne bayan kiya, kaha ke hum se Fulaih ne bayan kiya, un se Hilal Bin Ali ne bayan kiya, (doosri sanad) aur hum se Abdullah Bin Muhammad ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum se Abu Aamir ne bayan kiya, un se Fulaih ne bayan kiya, un se Hilal Bin Ali ne, un se Ata Bin Yasar ne aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ek din bayan farma rahe thay ek dehati bhi majlis mein hazir tha ke ahl-e-Jannat mein se ek shakhs apne Rabb se kheti karne ki ijazat chahega. Allah Ta'ala us se farmaye ga kya apni maujooda halat par to razi nahi hai ? Wo kahe ga kyun nahi! lekin mera ji kheti karne ko chahta hai. Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke phir us ne beej dala. Palak jhapkne mein wo ug bhi aya. Pak bhi gaya aur kaat bhi liya gaya. Aur is ke dane paharon ki tarah hue. Ab Allah Ta'ala farmata hai, ay Ibn Adam! ise rakh lay, tujhe koi cheez aasooda nahi kar sakti. Ye sun kar dehati ne kaha ke qasam Allah ki wo to koi Quraishi ya Ansari hi hoga. Kyunke yahi log kheti karne wale hain. Hum to kheti hi nahi karte. Is baat par Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko hansi aa gayi
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَا جَاءَ فِي الْغَرْسِ:
Bab: Darakht bone ka bayan.
Show diacritics
Hadith Number: 2349
حدثنا قتيبة بن سعيد، حدثنا يعقوب بن عبد الرحمن، عن ابي حازم، عن سهل بن سعد رضي الله عنه، انه قال:" إنا كنا نفرح بيوم الجمعة، كانت لنا عجوز تاخذ من اصول سلق لنا كنا نغرسه في اربعائنا، فتجعله في قدر لها، فتجعل فيه حبات من شعير، لا اعلم إلا انه قال: ليس فيه شحم ولا ودك، فإذا صلينا الجمعة زرناها فقربته إلينا، فكنا نفرح بيوم الجمعة من اجل ذلك، وما كنا نتغدى ولا نقيل إلا بعد الجمعة".
Hum se Qutaiba Bin Saeed ne bayan kiya, kaha ke hum se Yaqub Bin Abdur Rahman ne bayan kiya, un se Abu Hazim Salama Bin Dinar ne, un se Sahl Bin Saad (Radi Allahu Anhu) ne ke Jummah ke din humein bahut khushi (is baat ki) hoti thi ke humari ek boorhi aurat theen jo is chaqundar ko ukhara latin jise hum apne bagh ki maindon par bo diya karte thay. Wo in ko apni haandi mein pakatin aur is mein thore se jau bhi daal detein. Abu Hazim ne kaha mein nahi janta ke Sahl ne yun kaha na is mein charbi hoti na chiknayi. Phir jab hum Jummah ki namaz parh lete to in ki khidmat mein hazir hote. Wo apna pakwan humare samne kar detein. Aur is liye humein Jummah ke din ki khushi hoti thi. Aur hum dopahar ka khana aur qayloolah Jummah ke baad kiya karte thay
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2350
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا إبراهيم بن سعد، عن ابن شهاب، عن الاعرج، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال:" يقولون إن ابا هريرة يكثر الحديث والله الموعد، ويقولون ما للمهاجرين، والانصار لا يحدثون مثل احاديثه، وإن إخوتي من المهاجرين كان يشغلهم الصفق بالاسواق، وإن إخوتي من الانصار كان يشغلهم عمل اموالهم، وكنت امرا مسكينا الزم رسول الله صلى الله عليه وسلم على ملء بطني، فاحضر حين يغيبون، واعي حين ينسون، وقال النبي صلى الله عليه وسلم:" يوما لن يبسط احد منكم ثوبه حتى اقضي مقالتي هذه، ثم يجمعه إلى صدره فينسى من مقالتي شيئا ابدا، فبسطت نمرة ليس علي ثوب غيرها حتى قضى النبي صلى الله عليه وسلم مقالته، ثم جمعتها إلى صدري، فوالذي بعثه بالحق ما نسيت من مقالته تلك إلى يومي هذا، والله لولا آيتان في كتاب الله ما حدثتكم شيئا ابد إن الذين يكتمون ما انزلنا من البينات والهدى إلى قوله الرحيم سورة البقرة آية 160".
Hum se Musa Bin Ismail ne bayan kiya kaha ke hum se Ibrahim Bin Saad ne bayan kiya, un se Ibn Shihab ne, un se Aaraj ne aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne, Aap ne farmaya ke log kehte hain Abu Hurairah bahut hadees bayan karte hain. Halankay mujhe bhi Allah se milna hai (mein ghalat bayani kaise kar sakta hoon) ye log ye bhi kehte hain ke Muhajireen aur Ansar aakhir is ki tarah kyun ahadees bayan nahi karte ? Baat ye hai ke mere bhai Muhajireen bazaron mein khareed-o-farokht mein mashghool raha karte aur mere bhai Ansar ko in ki jayedad (khet aur baghat waghairah) mashghool rakkha karti thi. Sirf mein ek miskeen aadmi tha. Pait bhar lene ke baad mein Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki khidmat hi mein barabar hazir raha karta. Jab ye sab hazrat ghair-hazir rehte to mein hazir hota. Is liye jin ahadees ko ye yaad nahi kar sakte thay, mein unhein yaad rakhta tha, aur ek din Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya tha ke tum mein se jo shakhs bhi apne kapre ko meri is taqreer ke khatam hone tak phailaye rakkhe phir (taqreer khatam hone par) ise apne seene se laga lay to wo meri ahadees ko kabhi nahi bhoole ga. Mein ne apni kamli ko phaila diya. Jis ke siwa mera badan par aur koi kapra nahi tha. Jab Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne apni taqreer khatam farmayi to mein ne wo chadar apne seene se laga li. Is zaat ki qasam jis ne Aap ko haq ke sath Nabi bana kar mabous kiya, phir aaj tak mein Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke isi irshad ki wajah se (Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki koi hadees nahi bhoola) Allah gawah hai ke agar Quran ki do aayatein na hotein to mein tum se koi hadees kabhi bayan na karta ayat «إن الذين يكتمون ما أنزلنا من البينات» se Allah Ta'ala ke irshad «الرحيم» tak. (Jis mein) is deen ke chhupane wale par, jise Allah Ta'ala ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke zariya duniya mein bheja hai, sakht laanat ki gayi hai
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة