الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ فَضْلِ الزَّرْعِ وَالْغَرْسِ إِذَا أُكِلَ مِنْهُ:
Bab: Khet bone aur darakht lagane ki fazilat jis se log khayen.
Show diacritics
Hadith Number: Q2320
وقول الله تعالى: افرايتم ما تحرثون {63} اانتم تزرعونه ام نحن الزارعون {64} لو نشاء لجعلناه حطاما سورة الواقعة آية 62-64.
Aur (Surah Al-Waqiah mein) Allah Ta'ala ka farman «أفرأيتم ما تحرثون * أأنتم تزرعونه أم نحن الزارعون * لو نشاء لجعلناه حطاما» ”Ye to batao jo tum bote ho kya ise tum ugate ho, ya is ke ugane wale hum hain, agar hum chahein to ise choora choora bana dein.“
.


Show diacritics
Hadith Number: 2320
حدثنا قتيبة بن سعيد، حدثنا ابو عوانة. ح وحدثني عبد الرحمن بن المبارك، حدثنا ابو عوانة، عن قتادة، عن انس بن مالك رضي الله عنه، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" ما من مسلم يغرس غرسا او يزرع زرعا فياكل منه طير او إنسان او بهيمة إلا كان له به صدقة". وقال لنا مسلم: حدثنا ابان، حدثنا قتادة، حدثنا انس، عن النبي صلى الله عليه وسلم.
Hum se Qutaiba Bin Saeed ne bayan kiya, kaha ke hum se Abu Awanah ne bayan kiya, (doosri sanad) aur mujh se Abdur Rahman Bin Mubarak ne bayan kiya un se Abu Awanah ne bayan kiya, un se Qatadah ne aur un se Anas Bin Malik (Radi Allahu Anhu) ne ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, koi bhi Musalman jo ek darakht ka pauda lagaye ya kheti mein beej boye, phir is mein se parind ya insan ya janwar jo bhi khate hain wo is ki taraf se sadaqah hai Muslim ne bayan kiya ke hum se Aban ne bayan kiya, un se Qatadah ne bayan kiya, aur un se Anas (Radi Allahu Anhu) ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke hawala se
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَا يُحْذَرُ مِنْ عَوَاقِبِ الاِشْتِغَالِ بِآلَةِ الزَّرْعِ أَوْ مُجَاوَزَةِ الْحَدِّ الَّذِي أُمِرَ بِهِ:
Bab: Kheti ke samaan mein bohot zyada masroof rehna ya hadd se zyada is mein lag jana, is ka anjaam bura hai.
Show diacritics
Hadith Number: 2321
حدثنا عبد الله بن يوسف، حدثنا عبد الله بن سالم الحمصي، حدثنا محمد بن زياد الالهاني، عن ابي امامة الباهلي، قال: وراى سكة وشيئا من آلة الحرث، فقال: سمعت النبي صلى الله عليه وسلم، يقول:" لا يدخل هذا بيت قوم إلا ادخله الله الذل". قال ابو عبد الله: واسمابي امامة صدي بن عجلان.
Hum se Abdullah Bin Yusuf ne bayan kiya, kaha ke hum se Abdullah Bin Salim Himsi ne bayan kiya, un se Muhammad Bin Ziyad Al-Haani ne bayan kiya, un se Abu Umamah Bahili (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya Aap ki nazar phaali aur kheti ke baaz doosre aalat par pari. Aap ne bayan kiya ke mein ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se suna hai. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke jis qaum ke ghar mein ye cheez dakhil hoti hai to apne sath zillat bhi lati hai
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ اقْتِنَاءِ الْكَلْبِ لِلْحَرْثِ:
Bab: Kheti ke liye kutta paalna.
Show diacritics
Hadith Number: 2322
حدثنا معاذ بن فضالة، حدثنا هشام، عن يحيى بن ابي كثير، عن ابي سلمة، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" من امسك كلبا فإنه ينقص كل يوم من عمله قيراط، إلا كلب حرث او ماشية". قال ابن سيرين، وابو صالح: عن ابي هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، إلا كلب غنم او حرث او صيد. وقال ابو حازم: عن ابي هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، كلب صيد او ماشية.
Hum se Muaz Bin Fadalah ne bayan kiya, kaha ke hum se Hisham ne bayan kiya, un se Yahya Bin Abi Kaseer ne bayan kiya, un se Abu Salama ne aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, jis shakhs ne koi kutta rakkha, us ne rozana apne amal se ek qiraat ki kami kar li. Albatta kheti ya maveshi (ki hifazat ke liye) kutte is se alag hain. Ibn Sirin aur Abu Salih ne Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ke waste se bayan kiya bahawala Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke bakri ke rewar, kheti aur shikar ke kutte alag hain. Abu Hazim ne kaha Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se ke shikari aur maveshi ke kutte (alag hain)
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2323
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، عن يزيد بن خصيفة، ان السائب بن يزيد حدثه، انه سمع سفيان بن ابي زهير رجلا من ازد شنوءة، وكان من اصحاب النبي صلى الله عليه وسلم، قال: سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم، يقول:" من اقتنى كلبا لا يغني عنه زرعا ولا ضرعا، نقص كل يوم من عمله قيراط". قلت: انت سمعت هذا من رسول الله صلى الله عليه وسلم؟ قال: إي ورب هذا المسجد.
Hum se Abdullah Bin Yusuf ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum ko Imam Malik ne khabar di, unhon ne kaha ke humein Yazid Bin Khusaifah ne, un se Saib Bin Yazid ne bayan kiya ke Sufyan Bin Zuhair ne Azdshanwah qabeele ke ek buzurg se suna jo Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke Sahabi thay. Unhon ne kaha ke mein ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se suna tha ke jis ne kutta pala, jo na kheti ke liye hai aur na maveshi ke liye, to is ki naikiyon se rozana ek qiraat kam ho jata hai. Mein ne poocha ke kya aap ne Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) se ye suna hai ? Unhon ne kaha han han! is masjid ke Rabb ki qasam! (mein ne zaroor Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) se ye suna hai)
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ اسْتِعْمَالِ الْبَقَرِ لِلْحِرَاثَةِ:
Bab: Kheti ke liye bail se kaam lena.
Show diacritics
Hadith Number: 2324
حدثنا محمد بن بشار، حدثنا غندر، حدثنا شعبة، عن سعد بن إبراهيم، قال: سمعت ابا سلمة، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" بينما رجل راكب على بقرة التفتت إليه، فقالت: لم اخلق لهذا خلقت للحراثة، قال: آمنت به انا، وابو بكر، وعمر، واخذ الذئب شاة، فتبعها الراعي، فقال له الذئب: من لها يوم السبع، يوم لا راعي لها غيري، قال: آمنت به انا، وابو بكر، وعمر". قال ابو سلمة: وما هما يومئذ في القوم.
Hum se Muhammad Bin Bashar ne bayan kiya, kaha ke hum se Ghundar ne bayan kiya, kaha hum se Shuba ne bayan kiya, un se Saad Bin Ibrahim ne unhon ne Abu Salama se suna aur unhon ne Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) se ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya (Bani Israel mein se) ek shakhs bail par sawar ho kar ja raha tha ke is bail ne is ki taraf dekha aur is sawar se kaha ke mein is ke liye nahi paida hua hoon. Meri paidaish to khet jotne ke liye hui hai. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke mein is par iman laya aur Abu Bakr aur Umar bhi iman laye. Aur ek dafa ek bhediye ne ek bakri pakar li thi to gadriye ne is ka peecha kiya. Bhediya bola! aaj to tu ise bachata hai. Jis din (Madinah ujaar hoga) darinde hi darinde reh jayeinge. Is din mere siwa kaun bakriyon ka charane wala hoga. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke mein is par iman laya aur Abu Bakr aur Umar bhi. Abu Salama ne kaha ke Abu Bakr aur Umar (Radi Allahu Anhuma) is majlis mein maujood nahi thay
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ إِذَا قَالَ اكْفِنِي مَئُونَةَ النَّخْلِ أَوْ غَيْرِهِ، وَتُشْرِكُنِي فِي الثَّمَرِ:
Bab: Bagh wala kisi se kahe ke tu sab darakhton waghera ki dekh bhaal kar, tu aur mein phal mein shareek rahen ge.
Show diacritics
Hadith Number: 2325
حدثنا الحكم بن نافع، اخبرنا شعيب، حدثنا ابو الزناد، عن الاعرج، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال:" قالت الانصار للنبي صلى الله عليه وسلم: اقسم بيننا وبين إخواننا النخيل، قال: لا، فقالوا: تكفونا المئونة ونشرككم في الثمرة، قالوا: سمعنا واطعنا".
Hum se Hakam Bin Nafi ne bayan kiya, kaha ke hum ko Shuayb ne khabar di, un se Abuz Zanad ne bayan kiya, un se Aaraj ne aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Ansar ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se kaha ke humare baghat Aap hum mein aur humare (Muhajir) bhaiyon mein taqseem farma dein. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne inkar kiya to Ansar ne (Muhajireen se) kaha ke aap log darakhton mein mehnat karo. Hum tum mewe mein shareek raheinge. Unhon ne kaha accha hum ne suna aur qabool kiya
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَطْعِ الشَّجَرِ وَالنَّخْلِ:
Bab: Meva daar darakht aur khajoor ke darakht kaatna.
Show diacritics
Hadith Number: Q2326
وقال انس: امر النبي صلى الله عليه وسلم بالنخل فقطع.
Aur Anas (Radi Allahu Anhu) ne kaha ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne khajoor ke darakhton ke mutalliq hukum diya aur wo kaat diye gaye
.


Show diacritics
Hadith Number: 2326
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا جويرية، عن نافع، عن عبد الله رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم،" انه حرق نخل بني النضير، وقطع وهي البويرة"، ولها يقول حسان: وهان على سراة بني لؤي حريق بالبويرة مستطير.
Hum se Musa Bin Ismail ne bayan kiya, ke hum se Juwairiyah ne bayan kiya, un se Nafi ne, aur un se Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Bani Nadheer ke khajooron ke bagh jala diye aur kaat diye. In hi ke baghat ka naam Buairah tha. Aur Hassan (Radi Allahu Anhu) ka ye sher isi ke mutalliq hai. Bani Luwayi (Quraish) ke sardaron par (ghalba ko) Buairah ki aag ne aasan bana diya jo har taraf phailti hi ja rahi thi
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابٌ:
Bab: ...
Show diacritics
Hadith Number: 2327
حدثنا محمد بن مقاتل، اخبرنا عبد الله، اخبرنا يحيى بن سعيد، عن حنظلة بن قيس الانصاري، سمع رافع بن خديج، قال:" كنا اكثر اهل المدينة مزدرعا، كنا نكري الارض بالناحية منها مسمى لسيد الارض، قال: فمما يصاب ذلك وتسلم الارض، ومما يصاب الارض ويسلم ذلك، فنهينا واما الذهب والورق فلم يكن يومئذ".
Hum se Muhammad ne bayan kiya, kaha hum ko Abdullah ne khabar di, kaha hum ko Yahya Bin Saeed ne khabar di, unhein Hanzalah Bin Qais Ansari ne, unhon ne Rafi Bin Khadij (Radi Allahu Anhu) se suna, wo bayan karte thay ke Madinah mein humare paas khet doosron se ziyada thay. Hum kheton ko is shart ke sath doosron ko jotne aur bone ke liye diya karte thay ke khet ke ek muqarrara hisse (ki paidawar) malik-e-zameen lay ga. Baaz dafa aisa hota ke khas isi hisse ki paidawar maari jati aur sara khet salamat rehta. Aur baaz dafa saare khet ki paidawar maari jati aur ye khas hissa bach jata. Is liye humein is tarah ke muamla karne se rok diya gaya aur sona aur chandi ke badla theka dene ka to is waqt rawaj hi na tha
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة